Recently updated on September 10th, 2017
Jo na hota Tera Jamaal hi To Jahan tha khawab-o-khayal hi Sallu Alayhe Wa A’alehi. Ye post ‘Story essay on Prophet Muhammad Personality Type Qualities Manners’ hame aj hamare aqa ke jalwo ka bayan karegi. Wo ek muqaddas bete the, ek bap the aur ek shauhar the. Lekin jis maqsad ke liye wo aye uska haq unhone pura-pura ada kiya.
﷽
Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Physical Features of Prophet Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Description of Manners and Qualities of Beloved Prophet Muhammad
Jisme Mubarak Jasade Athar ka Rang Gora Safed tha
جو نہ ہوتا تیرا جمال ہی
تو جہاں تھا خواب و خیال ہی
صٙلُّ عٙلٙیہِ وٙاٙلِہِ
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam Sarapa-e-Aqdas SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Ye haqeeqat hai ke sari makhluqaat mein koi bhi Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke siffaat-e-kamal-o-jamal ke mumasil nahi.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Chehra-e-Anwar, Ayena-e-Jamal-e-Ilahi (Chehra Mubarak)
Mere Aaqa Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Chehra Mubarak ayenah Jamal-e-Ilahi aur Mazhare Anwar-e-La-mutnaahi tha. (Yani Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Chehra Mubarak par Noor hi noor tha).
Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Maine Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se zyadah haseen koi chiz na dekhi.”
Chehra Mubarak pur-gosht aur kisi qadar gol tha. Aise roshan chehre ko dekhte hi Hazrat Abdullah bin Salam Radi ALLAHU Anhu pukar uthte hain.
“Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka chehra jhute ka chehra nahi.”
Ibne Asakar ne Hazrat Ayesha Radi ALLAHU Anha ki riwayat se beyan kiya hai.
“Mein sehar ke waqt koi kapda si rahi thi. Mujh se sui gir padi. Maine har jagah talash ki magar na mili. Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam tashreef laye. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Chehra Mubarak ki roshni mein wo sui nazar ayi. Maine ye majrah ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se arz kiya.
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya.
“Ay Humairah (Hazrat Ayesha Radi ALLAHU Anha ka laqab)! Us shakhs ke liye sakhti aur azab hai jo Mere chechre ki taraf dekhne se mahrum rah gaya.”
Ye lafaz ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne teen bar dohraye.”
(Khasais Kubra Alsewti)
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Chashm-e-Mubarak aur Daraz Palkein (Aankhein aur Palkein Mubarak)
Hazrat Ali Radi ALLAHU Anhu ne farmaya ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki ankhein badi aur palkein lambi thein. Ankhein Mubarak ka bade hone ka matlb bohat badi nahi par tang ya choti ankhein qatayi nahi thein. Yani na itni choti thein aur na itni badi ke baher ko nikli hui malum hon. Ankhon ki safedi mein barik surkh dore the.
Chunache Ahadees mein iske liye ‘Ashkul A’enain’ ya ‘Ash’halul A’enain’ ke alfaz istemal kiye gaye hain. Aur Nahaya mein ash’hal ke mani ‘hamrah fi savad’ (seyahi mein surkhi) ke kiye gaye hain.
Lekin sahih ‘Ashkal’ul A’enain’ hi hain, jis ke mani ‘safedi mein surkhi’ hain. Ye bhi Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki nubuwwat ki ek nishani beyan ki jati jai.
Yahi wajah thi jab Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne 35 sal ki umar mein Hazrat Khadijah Radi ALLAHU Anha ki taraf se unke ghulam Maysarah ke sath Sham ki taraf tijarat ke liye safar kiya to wahan ek rahab ke some’a ke samne ek darakht ke saye mein qayam farmaya, to rahab ne Maysarah se Hazrat Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam ke mutaliq ye pucha.
“Kya Unki ankhon mein surkhi hai”?
Maysarah ne bataya.
How yaALLAH Followers got Benefits, Read their Own Words below
- Muslim Dating Halal Wazifa for Love ya ALLAH Website Testimonials
- Money Problem Solving Quick Islamic Prayer for 100% Results
- Definition of Life Troubleshooting Difficulties Winning Stories
“Han wo surkhi ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se kabhi alag nahi hoti.”
(Khasais Kubra-Jazawal Suad:91)
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Gosh-e-Mubarak aur Khudadad Sama’at
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke dono Gosh Mubarak (Gaal Mubarak) kaamil-o-taam (barabar) the.
Dekhne ki quwwat ki tarah ALLAH Ta’ala ne ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ko sunne ki quwwat bhi ghair mamuli ata farmayi thi.
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Quwwat-e-Sama’at (sunne ki taqat) ke bare mein ek Hadees Mubarikah mein kuch yun irshad hai.
“Main un chizon ko dekhta hon jinhe tum nahi dekh sakte aur main un awazon ko sunta hon jinhe tum nahi sun sakte. Main asmaan ki awaz (Ateet) bhi sun leta hon.”
Ye ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Khudadaad Quwwat-e-Sama’at ka hi kamal tha ke ek roz Hazrat Jibraeel Ameen Alayhis Salam Bargaah-e-Aqdas SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam mein hazir the.
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne uper ki janib se ek awaz suni aur fauran Sar Mubarak uthaya.
Hazrat Jibraeel Alayhis Salam ne arz ki ke ye asman ka ek darwaza hai jo aj hi khula hai, aj se pahle kabhi nahi khula.
(Mishkat Shareef)
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Jabeen Mubarak (Peshani Mubarak) Andhere mein Roshan Charagh
Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Peshani Mubarak ki tareef karte hue Hazrat Ali Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Ap SallALLAHU‘Alayhe Wasallam ki Peshani kushaadah thi.”
Ahle Ser beyan karte hain ke ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Peshani se sa’adat mandi aur noor-aezdi ki barish hoti rahti thi.
Hazrat Hasaan bin Sabut Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Jab andheri rat mein ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki peshani zaher hoti to andhere ke roshan charagh ki tarah chamakti.”
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Abru Mubarak (Ankhon ke Upar Bhawe)
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki bhanwein lambi aur barik thein. Darmeyan se dono is qadar mili hui thein ke dur se baham judi hui dikhayi deti thein. In dono ke darmeyan ek rag (vein thi), jo ghussa ke waqt khoon se bhar kar harkat mein aa jati thi.
Isi bat ko Hazrat Ali Radi ALLAHU Anhu ne ‘Wazehul Jabeen, Maqroonul Haa-jabeen’ yani (kushadah peshani aur mili hui bhanwein) ke alfaaz se yad kiya hai.
Arbabe Ser kahte hain ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki bhanwein (eyebrows) ke chand balo ka itsal tha. (Yani chand bal apas mein mile hue the). Hazrat Hind bin Abi Hala Radi ALLAHU Anhu ne is bat ko ‘Azajul hawajib’ se ada kiya hai jiske mani hain ‘kaman ki tarah lambi aur ghani bhanwein’.
Ek dusri riwayet mein isi bat ko ‘Azajul hawajib sawabigh’ (kasheedah abru aur ghane bal) kaha gya hai.
Behaqqi ki kitab Alsanan Kubra mein ba’az jagah beyan kiya gya hai ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka chehra nehayat haseen, peshani buland aur abru barik the.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Nak Mubarak
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Ki nak khoobsurat aur draz (lambi) thi aur darmeyani ubhar numayan tha.
Riwayet mein iske mutaliq aya hai.
“Aqnal anfa wa aqnal arnain”
‘Arnain’ ke mani bulandi ke hain jo eyebrows ki jagah mili hui hai uske theek niche hai.
‘Beeni’ aur ‘awni’ ka matlab hai darmeyan se ubhri hui.
Jis se murad nak ki lambayi aur bariki mein ek gonah hamwari ke hain.
Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Nak Mubarak aisi noorani aur roshan thi ke dekhne wala jab tak ghaur se na dekhe yahi guman karta tha ke Nak Mubarak buland hai, halanke wo buland na thi balke ye bulandi noor ki thi jo ise har waqt ghere rehta tha.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Zuban Mubarak
Sahih Muslim mein Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Zuban Mubarak se mutaliq Hazrat Jabar Radi ALLAHU Anhu ki ye riwayet ayi hai.
“Rasool Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam kushaadah dahan the.”
Ap SallALLAHU‘Alayhe Wasallam ki Zuban Mubarak faraakh, Gaal Mubarak hamwar, Dant Mubarak pesh kushaadah aur roshan-o-taban the.
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam jab kalaam farmate to agle danto se noor ke fawaare phut-te nazar ate the.
Hazrar Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke jab Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam masroor (khush) hote to Rukh-e-Anwar ki deewarien roshan ho jatein.
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ko kabhi jamayi nahi ayi thi.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Zuban Mubarak Fasahat-o-Balaghat mein apni Misal ap
Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya.
“Mere Rab ne mujhe adab sikhaya aur mere adab ko achha kar diya.”
Ye tadeeb-e-Khudawandi ka hi karishma tha ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ‘Fasih-ul-lisaan’ the.
Ap SallALLAHU‘Alayhe Wasallam ke jawame-al-kalaam, bada-e-hukam, imsale sairah, dare manshur, mawa’ez-o-makaatib mashhur afaaq hain jinki khubiyom ka beyan qalam ki zuban se na-mumkin hai.
Ek bar Sayyedna Farooq-e-Azam Radi ALLAHU Anhu ne arz kiya.
“Ya Rasool ALLAH SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam! Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam na kabhi baher tashreef le gaye aur na kabhi Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki logo ke sath nashist-o-barkhaast rahi phir Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam aisi fasaahat kahan se laye?”
Ap SallALLAHU‘Alayhe Wasallam ne farmaya.
“Hazrat Isma’eel Alayhis Salam ki lughat aur muhawarah jo na-paid aur fana ho chuka tha, use Jibraeel Amin Alayhis Salam mere pas laye jise maine yad kar liya.”
Niz Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya.
“Meri tarbiyat qabilah Bani Sa’ad mein hui hai jo pure Arab mein fasaahat-o-balaaghat mein apni misal ap tha.”
Hazrat Ayesha Radi ALLAHU Anha farmati hain ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka kalaam tumhare kalaam ki tarah na tha ke sunne walon ko sunne mein dilchaspi na rahe balke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka kalaam waze aur bain hua karta tha.
Chunache Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Sahabah Radi ALLAHU Anhu use achi tarah yad kar lete the.
Hazrat Umme Ma’abud Radi ALLAHU Anha farmati hain ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka kalaam sheerein, haq aur batil mein faraq karne wala aur na had se kam aur na had se zyadah balke dare manshur hota tha.
yaALLAH Testimonials
- Impossible to Possible 7 Days Job Wazifa Worked
- Best Wazifa Website ya ALLAH Follower Review Comments
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Sar Mubarak
Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Sar Mubarak ki tareef (tareef) in alfaaz mein ki gayi hai.
“Huzoor Pak SallALLAHU‘ Alayhe Wasallam ka Sar Mubarak bada tha.”
Sar ke bada hone mein buzurgi, behad aqal hone aur judate fikr hone ki taraf isharah hai. Ye wahi sar hai jis par ba’as se pahle batareeqe arbaas badal saya kiye rahte the.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Baal Mubarak
Balon ke mutaliq mukhtaliq riwayaat hain.
Hazrat Ans Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke baal nisf kano tak the.”
Hazrat Ayesha Radi ALLAHU Anha ki riwayat ke mutabiq Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke baal na zyadah lambe the na zyadah chote balke darmeyane size ke the.
Isi bat ki ta’ed Hazrat Bura’a Radi ALLAHU Anhu ne in alfaz mein ki hai.
“Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke baal kano ki low tak the.”
Hazrat Ans Radi ALLAHU Anhu ne isi masle ki mazid wazahat karte hue farmaya.
“Na baal bilkul pechidah the na bilkul khule hue the balke thodi si pechidgi aur ghungreyalah pan liye hue the aur kano ki low tak pauhanchte the.”
Hazrat Ibn Abbas Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam balo ki baghair mang nikale waise hi chod diya karte the. Iski wajah ye thi ke mushrakeen mang nikala karte the air Ahle kitab nahi nikalte the.
Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam shuru mein in umoor mein jin mein koi hukam nazil nahi hota tha, Ahle kitab ki mawafqat pasand farmate the. Lekin is ke bad ye hukam mansukh ho gya. Yun Huzoor-e-Aqdas SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam Ahle kitab ki mukhalfat karne lage.
Hazrat Umme Yani Radi ALLAHU Anha farmati hain.
“Maine Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ko char gaisu’oon wala dekha.”
Uper ki tamam riwaiyaat mein koi tazaad nahi.
Baal badhne wali chiz hain. Ek zamana mein agar ye kan ki low tak the to dusre waqt mein is se zayed the. Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne chand bar Sar Mubarak mundwaya bhi hai. Is liye jis Rawi ne Ap SallALLAHU Alayhe Wasallam ko jis halat kein dekha, usi halat mein beyan kar diya.
Jumla riwaiyaat mein Ulma Karaam ne yun mutabqat di hai ke sar ke agle hissa ke baal nisf kano tak pauhanch jate the. Sar ke darmeyan ke baal is se niche tak aur akhir sar ke bal kandhon ke qareeb tak the.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Resh Mubarak (Darhi Mubarak)
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Dadhi Mubarak ghani thi. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam is mein kanga pherte aur ayenah dekhte the. Sone se pahle ankhon mein teen teen bar surmah lagate. Mounch ko katwaya karte aur farmaya karte the ke mushrakeen ki mukhalfat karo yani dadhiyon ko badhaao aur mouncho ko khub katwao.
Umr Shareef ke akhri hissa mein Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Resh Mubarak mein taqreeban bees bal safed the. Gale aur naf ke darmeyan balon ka ek bar khat tha.
Iske ilawa pet aur kamar par bal na the. Dono bazuon, shano aur seenah ke balayi hissa mein bal zyadah the.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Gardan Mubarak
Gardan kya thi goya bute aaj (hathi dant ki putli) ki gardan thi. Chandi ki manind saf thi.
Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam Ki gardan itni safed thi goya ke wo chandi se banayi gayi hai.”
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Awaz Mubarak
Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam bohat khush awaz the. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
ki awaz zara bhari thi jo ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke ausaaf-e-hameeda (khas khubiyan) mein shumar hoti thi. Khush awaz hone ke ilawa Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ‘Jaheer-al-Saut’ (buland awaz) the.
Awaz mein bulandi is qadar thi ke jahan tak Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki awaz pauhanchti aur kisi ki awaz na pauhanchti thi. Khusoosan khutbaat mein Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki awaz itni buland hoti ke gharon mein pardah naseen khawateen tak pauhanch jati thi.
Hazrat Abdur-Rahman bin Ma’az Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne Mina mein khutbah parha jis se hamare kan khul gaye. Yahan tak ke ham apni apni jagah bethe asaani se Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka kalaam sunte the.”
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Tabassum (Muskurahat Mubarak)
Hazrat Ayesha Siddiqah Radi ALLAHU Anha se riwayet hai.
“Maine Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ko kabhi qahqaha laga kar hanste na dekha balke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam hamesha tabssum farmaya karte the jis se danto ki safedi zaher ho jati thi.”
Hafiz Ibn Hazar Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Huzoor Pak SallALLAHU‘ Alayhe Wasallam jab behad masrur hote to tab bhi izhare musarrat ke liye tabassum se age tajawaz na farmate the.”
Behaqqi ne bariwayet Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu naqal kiya hai ke jab Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam zohak farmate the diwaren roshan ho jati thein aur un par Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke dandaan ka noor aftab ki shu’aaon ki tarah jalwa rez hota tha. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam qahqaha kabhi na lagate the kyunke ye makruh hai.
Niz Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam kabhi jamayi na lete kyunke ye kasalmandi aur ai’za ki susti ki alamat hai.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Garyah Mubarak
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka giryah bhi tabassum ki tarah tha ke is mein bilkul bhi awaz buland na hoti thi. Albatta ankhon se ansu bahne lagte aur seena-e-athar se ek khas qisam ki awaz sunayi deti jo deg ke josh se mushabah hoti thi. Ba’az Ahadees mein is awaz ko chakki ki awaz se mumasil qaraar diya gya hai.
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka giryah, Sift-e-Jalali-e-Ilahi ki tajalli ummat par shafqat aur rahmat ke sabab hua karta aur aksar Qur’an Pak ke istam’a aur gahe bagahe namaz-e-shab mein bhi hua karta tha.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Dast-e-Mubarak
Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke bazu aur kaf-e-dast pur-gosht tha.
Hazrat Sa’ad bin Abi Waqas Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Ek bar Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam meri ayadat ko tashrif laye aur apna Dast-e-Mubarak meri peshani par rakha. Phir Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne mere chehre, sinah, aur pet par masah farmaya aur main aj tak Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Dast-e-Aqdas ki thandak apne jigar mein mahsus krta hon.”
Hazrat Yazid bin Aswad Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Huzoor Akram SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne apna Daste-e-Mubarak mere hatho mein diya to mujhe Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Dast-e-Mubarak baraf se zyadah thanda aur mushk se zyadah khushbudar mahsus hua.”
Hazrat Ans Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Maine resham ya deeba ko Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke kaf-e-Mubarak se zyadah naram nahi paya aur na kisi khushbu ko badh kar paya hai.”
(Sahih Bukhari)
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Paon Mubarak
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Paon Mubarak pur-gosht the. Khubsurat aise ke kisi insan ke na the aur narm aur saf aise ke un par pani zra bhi na thaharta.
Hazrat Abdullah bin Baridah Radi ALLAHU Anhu se riwayet hai.
“Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke Qadam Mubarak be inteha khubsurat the.”
Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Jab Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam zamin par qadam rakh kar chalte to pura qadam rakh kar chalte yani Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke paon mein akhmas (ubhaar) na tha.”
Muhaddaseen kahte hain ke Hazrat Eesa Alyhis Salam ko ‘Maseeh‘ kahne ka ye sabab hai ke unke paon mubarak mein bhi ubhaar na tha.
Aediya kam gosht thein. Har do saq Mubarak barik, safed aur lateef the goya khujoor ka ‘gabha‘ hain. Jab Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam chalte to Qadam Mubarak quwwat, tasabbut, waqar aur tawaze se uthate jaisa ke ahle himmat-o-shuja’at ka qaedah hai.
Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se badh kar maine kisi ko chalne mein tez nahi paya.”
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam chalte to yun malum hota goya zamin Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke liye lipat-ti ja rahi thi. Ham dauda karte aur chalne mein mushaqqat uthate aur Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ba-asaani aur be-takalluf chalte magar phir bhi sab se age rahte.
Ba’az auqaat Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam apne Sahaba Radi ALLAHU Anhu ke sath chalne ka qadad farmate to is surat mein Sahaba Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke age hote aur Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam umdan unke piche hote aur farmate ke meri pusht farishto ke liye khali chor do.”
(Zarqani Ali al-mawahib)
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Qad Mubarak
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Qad Mubarak lateef aur mauzo tha. Na chota na hi bohat lamba tha agarche mayel ba darazi tha. Chunache Hadees Shareef mein ata hai ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam mutwasat-ul-qamat the.
(Yani Ap SallALLAHU Darmeyane Qad ke maalik the).
Ek aur Hadees mein Qad Mubarak se mutaliq ye alfaz milte hain.
“Past qad se taweel qamat aur taweel qamat se kotah the.”
Hazrat Ali Radi ALLAHU Anhu farmate hain.
“Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam bohat draz qad na the aur mayel ba darazi hone ke sabab aust qad se zyadah the. Magar jab logo ke sath hote to sab se buland-o-sarfraz hote.”
(Mawahib Al-Laduniya)
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Jild Mubarak
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Jild Mubarak narm-o-nazuk thi. Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka ek khas wasf ye tha ke khushbu lagaye baghair Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se aisi khushbu ati thi ke koi khushbu uska muqabla na kar sakti thi.
Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki walidah majdah farmati hain.
“Jab Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam paidah hue to maine ghaur se Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki taraf dekha. Kya dekhti hon ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam badre kamil ki tarah hain aur Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se kasturi ki tarah ki tez mahek aa rahi hai.”
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Rang Mubarak
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Rang Mubarak roshan aur taaba tha. Sahaba Karaam Radi ALLAHU Anhu ka bhi is bat par itfaq hai ke Rang Mubarak mayel ba safedi tha.
Chunache riwaiyaat mein ata hai ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Rang Mubarak safedi aur malahat liye hue tha.
Ek riwayet mein ye bhi aya hai ke Ap
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Rukh-e-Anwar bohat safed aur Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke bal bohat seyah the.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki Raftar Mubarak
Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke maine kisi shakhs ko Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
se tez tar chalte hue nahi dekha.
Hazrat Ali Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam chalte hue zamin se pura qadam uthate, use kushaadah
rakhte aur asaan, sabuk aur tez raftari se baghair iztarab ke chalte.
Ek aur riwayet Mubarak mein ye alfaz warid hue hain.
“Goya Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam bulandi se nasheb ki taraf utar rahe hain.”
Buzaar ne Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu se riwayet kiya hai ke Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam zamin par hamesha bharpur qadam rakhte the jo be-panah quwwat ki alamat hai.
Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Libas Mubarak
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka aam labas chadar, qamis aur tahband tha. Yaman ki dhari dar chadrein (hairah) sab se zyadah marghube taba’a thein (sab se zyadah pasand thi). Ba’az auqaat Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne ooni jabbah, shameyah bhi istemal farmaya hai. Jiski asteenein is qadar tang thein ke wuzu ke waqt hath asteeno se nikalne padte the. Jabbah-e-kasarwani bhi zebe tan farma lete the jiski jeb aur dono chaakon par deeba ki sanjaaf thi.
Aisi ooni chadar bhi ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne pahani hai jis par kajawe ki shakal bani hui thi. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam safed libas pasand aur surakh na-pasand farmate the.
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam pehanne ke liye sab kapdo mein kurtah zyadah pasand farmate the.
Mulla Ali Qari ne Ramyati se naqal kiya hai ke Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka kurtah sut ka bana hua tha aur uski asteenein zyadah lambi na thein.
Hazrat Ibn Abbas Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka kurtah zyadah lamba na hota tha aur na uski asteenein lambi hoti thein.
Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke kurtah ko zyadah pasand karne ki wajah ye thi ke us se badan achi tarah dhanpa jata hai aur sath hi zinat bhi achhi tarah ho jati hai.
Amame ka shimlah kabhi choda karte aur kabhi na choda karte the. Shimlah aksar dono khando ke darmeyan aur kabhi kande par pada rahta. Ba’az auqaat dastaar ka ek pech bayen janib se thodi ke niche se guzaar kar sar par lapet lete.
Amamah aksar seyah rang ka hota tha. Amame ke niche sar se lipti hui topi hua karti thi. Unchi topi Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne istemal nahi farmayi.
Na’alain Shareefain chapli ki shakal ki thein. Har ek ke tasme dohri tah wale the. Ek tasmah anguthe aur anguthe ke sath wali ungli ke bich mein aur dusra darmeyani ungli aur bansar ke bich mein hua karta.
Pajamah ke pahanne mein ikhtalaf hai. Ba’az is bat par yaqin rakthe hain ke Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne pajamah nahi pahna. Lekin Shurah Shif’a mein hai ke Ap
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne saraweel pahni hai. Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke saraweel kharidne par mutfiqaa raye maujud hai.
Ibne Qaim apni kitab ‘Hadi Al-Nabi SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam’ mein kahte hain ke zaher hai saraweel kharidna pahane ke liye tha. Aur riwaiyaat mein maujud hai Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne saraweel pahni.
Muhaddaseen riwayat karte hain ke Sayyedna Usman Zin Nurain Radi ALLAHU Anhu jis din shahid hue, wo saraweel pahne hue the.
Imam Jalal-ud-Din Sevti Rahmatullah Alayhe ne ‘Jama al-jawame‘ mein Hazrat Ali Radi ALLAHU Anhu se riwayet ki hai.
“Main Huzoor PakbSallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke pas Baqe’e mein barish ke din baitha hua tha ke ek aurat gadhe par sawar guzri. Uske sath bojh tha. Gadhe ka paon phisla aur aurat zamin par gr padi. Huzoor Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne apna Rukh-e-Mubarak us taraf se pher liya.
“Shabah Radi ALLAHU Anhu ne arz kiya, ya Rasool ALLAH SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam!
Wo shalwar pahne hue hai.”
“Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne du’a farmayi, Ae ALLAH! Meri ummat ke pajamah pahane walo ko bakhsh de. Ae logo! Pajamah pahane ko lazim kar lo. Ye tumhare kapdo mein sab se zyadah satar posh hai aur tumhari masturaat to ise khas taur par pahanein.””
Jannat mein Dakhila hasil karne ke liye Khas Hadees-e-Mubarikah
“Hadees-e-Mubarikah hai ke jo shakhs har farz namaz ke bad ayat-al-kursi parhe to use jannat mein dakhil hone se sirf maut roke hue hain.”
(Rawah Al-Nisayi)
Story essay on Prophet Muhammad Personality Type Qualities Manners
Urdu Version
سراپائے اقدسؐ
یہ حقیقت ہے کہ ساری مخلوقات میں کوئی بھی آپؐ کی صفاتِ کمال و جمال کے مماثل نہیں ہے۔
چہرہ آئینہِ جمالِ الٰہی
میرے آقا و مولا ﷺ کا روئے مبارک آئینہ جمالِ الٰہی اور مظہرِ انوارِ لامتناہی تھا۔
حضرت ابو ہریرہ رضی اللّه عنہ فرماتے ہیں۔
“میں نے حضرت رسول اللّه ﷺ سے زیادہ حسین کوئی چیز نہیں دیکھی۔”
چہرہ پُر گوشت اور کسی قدر گول تھا۔ اسی رخِ انور کو دیکھتے ہی حضرت عبدالله بن سلام رضی اللّه عنہ پکار اٹھتے تھے۔
“آپ ﷺ کا چہرہ جھوٹے کا چہرہ نہیں۔”
ابن عساکر نے حضرت عائشہؓ کی روایت سے بیان کیا ہے۔
“میں سحر کے وقت کوئی کپڑا سی رہی تھی۔ مجھ سے سوئی گر پڑی۔ میں نے ہر چند تلاش کی مگر نہ ملی۔ حضور اکرم ﷺ تشریف لاۓ ۔ آپؐ کے روۓ مبارک کی ضیا میں وہ سوئی نظر آئی۔ میں نے یہ ماجرہ آپؐ سے عرض کیا۔ آپؐ نے فرمایا۔
“اے حمیراؓ (حضرت عائشہؓ کا لقب) اس شخص کے لئے سختی و عذاب ہے جو میرے چہرے کی طرف دیکھنے سے محروم رہ گیا ہو۔”
یہ الفاظ آپؐ نے تین بار دوہرائے۔”
(خصائص کبریٰ السیوطی)
چشمِ مبارک اور دراز پلکیں
حضرت علیؓ نے فرمایا کہ آپؐ کی آنکھیں بڑ ی اور پلکیں دراز تھیں۔ چشمِ مبارک کے بڑے ہونے کا مطلب تنگی اور کوتاہی کی نفی کرنا ہے۔ یعنی نہ اتنی چھوٹی تھی اور نہ اتنی بڑی کہ باہر نکلی ہوئی معلوم ہوں۔ آنکھوں کی سفیدی میں باریک سرخ ڈورے تھے۔
چنانچہ احادیث میں اس کے لئے “اشکل العینین” اور “اشہل العینین” کے نام وارد ہوئے ہیں۔ اور نہایہ میں اشہل کے معنی حمرہ فی سواد (یعنی سیاہی میں سُرخی) کے کیے گئے ہیں۔ لیکن صحیح اشکل العینین ہی ہے جس کے معنی سفیدی میں سُرخی ہیں۔ یہ بھی آپُ کی نبوّت کی ایک علامت بیان کی جاتی ہے۔ یہی وجہ تھی کہ جب آپؐ نے 35 سال کے سن مبارک میں حضرت خدیجہؓ کی طرف سے ان کے غلام میسرہ کی ہمراہی میں شام کا سفرِ تجارت کیا تو وہاں ایک راہب کے صومعہ کے سامنے ایک درخت کے سایے میں قیام فرمایا۔ تو راہب مذکور نے میسرہ سے حضور اکرم ﷺ سے متعلق یہ دریافت کیا۔
“کیا انکی آنکھوں میں سرخی ہے؟”
میسرہ نے بتایا۔
“ہاں وہ سرخی آپؐ سے کبھی الگ نہیں ہوتی۔”
(خصائص کبریٰ۔ جزاول ص:91(
گوشِ مبارک اور خداداد سماعت
حضور پاک ﷺ کے ہر دو گوش کامل و تام تھے۔ قوّتِ بصر کی طرح خدائے قدّوس نے آپؐ کو قوّتِ سماعت بھی غیر معمولی عنایت فرمائی تھی۔ حضور اکرم ﷺ کی قوّتِ سماعت کے بارے میں ایک حدیث میں آیا ہے کہ آپؐ نے فرمایا۔
“میں ان چیزوں کو دیکھتا ہوں جنہیں تم نہیں دیکھتے اور میں ان آوازوں کو سنتا ہوں جنہیں تم نہیں سن سکتے۔ میں آسمان کی آواز (اطیط) بھی سن لیتا ہوں”۔
یہ آپؐ کی خداداد قوّتِ سماعت کا ہی کمال تھا کہ ایک روز حضرت جبرئیل امینؑ بارگاہِ اقدس ﷺ میں حاضر تھے۔
اچانک حضور اکرم ﷺ نے اوپر کی جانب سے ایک آواز سنی اور فورا سر مبارک اٹھایا۔
حضرت جبرئیل علیہ السلام نے عرض کی کہ یہ آسمان کا ایک دروازہ ہے جو آج ہی کھلا ہے، آج سے پہلے کبھی نہیں کھلا۔
(مشکٰوة شریف)
جبینِ مبارک اندھیرے میں روشن چراغ
حضور کریم ﷺ کی پیشانی مبارک کی تعریف کرتے ہوئے حضرت علیؑ فرماتے ہیں کہ آپؐ کی پیشانی کشادہ تھی۔
اہل سیر بیان کرتے ہیں کہ آپؐ کی پیشانی سے سعادت مندی اور نورایزدی کی بارش ہوتی رہتی تھی۔
حضرت حسانؓ بن ثابت فرماتے ہیں۔
“جب اندھیری رات میں آپؐ کی پیشانی ظاہر ہوتی تو
اندھیرے کے روشن چراغ کی طرح چمکتی”۔
ابروئے مبارک
آپؐ کی بھوئیں لمبی اور بارک تھیں۔ درمیان میں دونوں اس قدر ملی ہوئی تھیں کہ دور سے باہم متصل دکھائی دیتی تھیں۔ دونوں کے درمیان میں ایک رگ تھی جو غصہ کے وقت خون سے بھر کر حرکت میں آ جاتی۔
اسی بات کو حضرت علیؓ نے “واضح الجبین، مقرون الحاجبین” (کشادہ پیشانی اور ملی ہوئی بھوئیں) کے الفاظ سے یاد کیا ہے۔
اربابِ سیر کہتے ہیں کہ آپؐ کی بھوؤں کے چند بالوں کا اتصال تھا۔
حضرت ہندؓ بن ابی ہالہ نے اس بات کو “اٙزٙجُ الحٙوٙاجِب” سے ادا کیا ہے۔ جسکے معنی ہیں ‘کمان کی طرح لمبی اور گھنی بھوئیں’۔
ایک دوسری روایت میں اسی بات کو “اٙزٙجُ الحٙوٙاجِب سوابغ” (کشیدہ ابرو اور گھنے بال) کہا گیا ہے۔
بیہقی کی کتاب السنن الکبریٰ میں بعض خدام بارگاہ رسالت سے منقول ہے کہ انہوں نے کہا کہ آپؐ کا چہرہ مبارک نہایت حسین، پیشانی بلند اور ابرو باریک تھے۔
بینی مبارک جو نورانی اور روشن تھی
آپؐ کی ناک مبارک خوبصورت اور دراز تھی اور درمیان سی ابھار نمایاں تھا۔
روایت میں اسکے متعلق آیا ہے۔
اٙقنی الْانْف وٙاٙقْنٙی الْعرنٙیْن
عرنین کے معنی ہیں ‘بلندی’ جو موئے ابرو کے اتصال کے نیچے ہے۔ بینی اور اقنی کا مطلب ہے ‘درمیان سی ابھری ہوئی’ ۔ جس سی مراد ناک کی لمبائی اور باریکی میں ایک گونہ ہمواری کے ہیں۔
حضور اکرم ﷺ کی ناک مبارک ایسی نورانی اور روشن تھی کہ دیکھنے والا جب تک بغور نہ دیکھے یہی گمان کرتا تھا کہ بینی شریف بلند ہے۔ حالانکہ وہ بلند نہ تھی بلکہ یہ بلندی نور کی تھی جو اسے ہر وقت گھیرے رہتا تھا۔
دھانِ مبارک
صحیح مسلم میں حضور پاک ﷺ کے دہان سے متعلق حضرت جابرؓ کی یہ روایت آئی ہے۔
ترجمہ: “حضور پاک ﷺ کشادہ دہن تھے”۔
آپؐ کا دہن فراخ، رخسار ہموار، دندا نہائے پیش کشادہ اور روشن و تابان تھے۔ آپؐ جب کلام فرماتے تو اگلے دانتوں سے نور کے فوارے پھوٹتے نظر آتے تھے۔
حضرت ابو ہریرہ ؓ فرماتے ہیں کہ جب حضور اکرم ﷺ مسرور ہوتے تو رخِ انور کی دیواریں روشن ہو جاتیں۔ آپؐ کو کبھی جمائی نہیں آئی تھی۔
زبانِ مبارک فصاحت و بلاغت میں اپنی مثال آپ
حضور اکرم ﷺ نے فرمایا۔
“میرے رب نے مجھے ادب سکھایا اور میرے ادب کو اچھا کر دیا۔”
یہ تادیبِ خداوندی ہی کا کرشمہ تھا کہ آپؐ ‘فصیح اللسان’ تھے۔
آپؐ کے جوامع الکلم، بدائع حکم، امثال سائرہ، درِ منشور، مواعظ ومکاتیب مشہور آفاق ہیں۔ جن کی خوبیوں کا بیان زبانِ قلم سے ناممکن ہے۔
ایک بار سیدنا عمر فاروقؓ نے عرض کیا۔
“یا رسول اللّه ﷺ! آپؐ نہ باہر کہیں تشریف لے گئے اور نہ آپؐ کی لوگوں کے ساتھ نشست و برخاست رہی، پھر آپؐ ایسی فصاحت کہاں سے لائے ہیں؟
آپؐ نے فرمایا۔
“حضرت اسماعیل علیہ السلام کی لغت اور محاوره جو نا پید اور فنا ہو چکا تھا اسے جبرئیل امین علیہ السلام میرے پاس لائے جسے میں نے یاد کر لیا۔”
نیز آپ ؐ نے فرمایا۔
“میری تربیت قبلہ بنی سعد میں ہوئی ہے جو پورے عرب میں فصاحت و بلاغت میں اپنی مثال آپ تھا۔”
حضرت عائشہؓ فرماتی ہیں کہ حضور اکرم ﷺ کا کلام تمہارے کلام کی طرح نہ تھا کہ بوجہ عجلت سامع پر ملتبس ہو بلکہ آپؐ کا کلام واضح اور بین ہوا کرتا تھا۔ چنانچہ آپؐ کے صحابہ اسے اچھی طرح یاد کر لیتے تھے۔
حضرت ام معبدؓ فرماتی ہیں کہ آپؐ کا کلام شیریں، حق و باطل میں فرق کرنے والا اور نہ حد سے کم نہ حد سے زیادہ بلکہ در منشور ہوتا تھا۔
سر مبارک
حضور اکرم ﷺ کے سر مبارک کی توصیف ان الفاظ میں کی گئی ہے۔
“حضور اکرم ﷺ کا سر مبارک بڑا تھا۔”
سر کے بڑا ہونے میں بزرگی، وفورِ عقل اور جودتِ فکر کی طرف اشارہ ہے۔
یہ وہی سر ہے جس پر بعث سے پہلے بطریقِ ارباص بادل سایہ کیے رکھتے تھے۔
موئے مبارک
بالوں کے متعلق مختلف روایات ہیں۔
حضرت انسؓ فرماتے ہیں۔
“حضور پاک ﷺ کے بال نصف کانوں تک تھے۔”
حضرت عائشہؓ کی روایت کے مطابق حضور اکرم ﷺ کے بال نہ زیادہ لمبے تھے نہ زیادہ چھوٹے تھے بلکہ متوسط درجے کے تھے۔
اسی بات کی تائید حضرت براءؓ نے ان الفاظ میں کی ہے۔
“حضور پاک ﷺ کے بال کانوں کی لو تک تھے۔”
حضرت انسؓ نے اس مسئلے کی مزید وضاحت کرتے ہوئے فرمایا۔
“نہ بال بالکل پیچیدہ تھے اور نہ بالکل کالے تھے بلکہ تھوڑی سی پیچیدگی اور گھنگریالہ پن لئے تھے
اور کانوں کی لو تک پہنچتے تھے۔”
حضرت ابن عبّاسؓ فرماتے ہیں کہ حضور پاک ﷺ بالوں کو بغیر مانگ نکالے ویسے ہی چھوڑ دیا کرتے تھے۔ اس کی وجہ یہ تھی کہ مشرکین مانگ
نکالا کرتے تھے اور اہلِ کتاب نہیں نکالتے تھے۔
حضور اکرم ﷺ شروع میں ان امور میں جن میں کوئی حکم نازل نہیں ہوتا تھا، اہلِ کتاب کی موافقت پسند فرماتے تھے۔ لیکن اس کے بعد یہ حکم منسوخ ہو گیا۔ یوں حضورِ اقدس اہلِ کتاب کی مخالفت کرنے لگے۔
حضرت امِ ہانیؓ فرماتی ہیں۔
“میں نے حضور پاک ﷺ کو چار گیسوؤں والا دیکھا۔”
اوپر کی تمام روایات میں کوئی تضاد نہیں۔
بال بڑھنے والی چیز ہیں۔ ایک زمانہ میں اگر یہ کان کی لو تک تھے تو دوسرے وقت میں اس سے زائد تھے۔ حضور اکرم ﷺ نے چند مرتبہ سر مبارک منڈوایا بھی ہے۔
اسلئے جس راوی نے آپؐ کو جس حالت میں دیکھا، اسی حالت کو بیان کر دیا۔
جملہ روایات میں علما کرام نے یوں مطابقت دی ہے کہ سر کے اگلے حصہ کے بال نصف کانوں تک پہنچ جاتے تھے۔ سر کے وسط کے بال اس سے نیچے تک اور آخر سر کے بال مونڈھوں کے قریب تک تھے۔
ریش مبارک
حضور پاک ﷺ کی ریش مبارک گھنی تھی۔ آپؐ اس میں کنگھا کرتے اور آئینہ دیکھتے تھے۔ سونے سے پہلے آنکھوں میں تین تین بار سرمہ لگاتے۔ شوارب (مونچھ ) کو کٹوایا کرتے اور فرمایا کرتے تھے کہ مشرکین کی مخالفت کرو یعنی داڑھیوں کو بڑھاؤ اور مونچھوں کو خوب کٹواؤ۔
عمر شریف کے آخر میں آپؐ کی ریش میں تقریباً بیس بال سفید تھے۔ گلے اور ناف کے درمیان بالوں کا ایک بار خط تھا۔ اسکے علاوہ شکم اور پستان پر بال نہ تھے۔ دونوں بازؤں، شانون اور سینہ کے بالائی حصہ میں بال زیادہ تھے۔
گردن مبارک
گردن کیا تھی گویا بتِ عاج (ہاتھی دانت کی پتلی ) کی گردن تھی۔ چاندی کی مانند صاف۔
حضرت ابو ہریرہؓ فرماتے ہیں۔
“حضور اکرم ﷺ کی گردن مبارک اتنی سفید تھی گویا کہ وہ چاندی سے بنائی گئی ہے۔”
آواز مبارک
حضور اکرم ﷺ کی نہایت خوبرو اور خوش آواز تھے۔ آپؐ کی آواز ذرا بھاری تھی جو آپؐ کے اوصاف حمیدہ میں شمار ہوتی تھی۔ خوش آواز ہونے
کے علاوہ آپؐ جہیرالصوت (بلند آواز) تھے۔ آواز میں بلندی اس قدر تھی کہ جہاں تک آپؐ کی آواز پہنچتی اور کسی کی آواز نہ پہنچتی تھی۔
خصوصاً خطباط میں آپ ؐ کی آواز اتنی بلند ہوتی کہ گھروں میں پردہ نشین خواتین تک پہنچ جاتی تھی۔
حضرت عبدالرحمن بن معاذ ؓ فرماتے ہیں کہ
“حضور اکرم ﷺ نے منیٰ میں خطبہ پڑھا جس سے ہمارے کان کھل گئے۔ یہاں تک کہ ہم اپنی اپنی جگہ بیٹھے آسانی سے آپؐ کا کلام سنتے تھے۔”
تبسّم شریف سے دیواریں روشن ہو جاتیں
حضرت عائشہ صدیقہؓ سے مروی ہے۔
“میں نے حضور اکرم ﷺ کو کبھی قہقہہ لگا کر ہنستے نہ دیکھا بلکہ آپؐ ہمیشہ تبسّم فرمایا کرتے تھے جس سے دانتوں کی سفیدی ظاہر ہو جاتی تھی۔”
حافظ ابن حجرؓ فرماتے ہیں کہ حضور اکرم ﷺ جب بیحد مسرور ہوتے تب بھی اظہارِ مسرّت کے لئے
تبسّم سے آگے تجاوز نہ فرماتے تھے۔
بیہقی نے بروایت حضرت ابو ہریرہؓ نقل کیا ہے کہ جب حضور اکرم ﷺ ضحک فرماتے تھے دیواریں روشن ہو جاتی تھیں۔ اور ان پر آپؐ کے دندان کا نور آفتاب کی شعاؤں کی طرح جلوہ ریز ہوتا تھا۔
آپؐ قہقہہ کبھی نہ لگاتے کیونکہ یہ مکروہ ہے۔ نیزآپؐ جمائی نہ لیتے کیونکہ یہ کسلمندی اور اعضاء کی سستی کی علامت ہے۔
گریہ مبارک صفتِ جلالِ الٰہی کی تجلّی
آپؐ کا گریہ بھی تبسّم کی طرح تھا کہ اس میں قطعاً آواز بلند نہ ہوتی تھی۔ البتہ چشم سے آنسو رواں ہو جاتے اور سینہ اطہر سے ایک خاص آواز سنائی دیتی جو دیگ کے جوش سے مشابہ ہوتی تھی۔ بعض احادیث میں اس آواز کو چکی کی آواز سے مماثل قرار دیا گیا ہے۔
آپؐ کا گریہ مبارک صفتِ جلالِ الٰہی کی تجلّی امّت پر شفقت اور رحمت کے سبب ہوا کرتا اور اکثر قرآن پاک کے استما ع اور گاہے بگاہے نماز شب میں بھی ہوا کرتا تھا۔
دستِ مبارک برف سے زیادہ ٹھنڈا
حضور اکرم ﷺ کے بازو اور کفِ دست پُر گوشت تھا۔
حضرت سعد بن ابھی وقاصؓ فرماتے ہیں۔
“ایک بار حضور اکرم ﷺ میری عیادت کو تشریف لاۓ اور اپنا دست مبارک میری پیشانی پر رکھا۔ پھر آپؐ نے میرے چہرے، سینہ اور شکم پر مسح فرمایا اور میں آج تک آپؐ کے دستِ اقدس کی ٹھنڈک اپنے جگر میں محسوس کرتا ہوں۔”
حضرت یزید بن اسودؓ فرماتے ہیں۔
“حضور اکرم ﷺ نے اپنا دست مبارک میرے ہاتھوں میں دیا تو مجھے آپؐ کا دست مبارک برف سے زیادہ ٹھنڈا اور مشک سے زیادہ خوشبودار محسوس ہوا۔”
حضرت انسؓ فرماتے ہیں۔
“میں نے ریشم یا دیبا کو آپؐ کے کف مبارک سے زیادہ نرم نہیں پایا اورنہ کسی خوشبو کو بڑھ کر پایا۔”
(صحیح بخاری)
پاۓ مبارک
حضور اکرم ﷺ کے پاؤں مبارک پُرگوشت تھے۔ خوبصورت ایسے کہ کسی انسان کے نہ تھے اور نرم اور صاف ایسے کہ ان پر پانی ذرا بھی نہ ٹھہرتا۔
حضرت عبدالله بن بریدہؓ سے روایت ہے۔
“حضور اکرم ﷺ کے قدم مبارک بے انتہا خوبصورت تھے۔”
حضرت ابو ہریرہ فرماتے ہیں کہ
“جب آپؐ زمین پر قدم رکھ کر چلتے تو پورا قدم رکھ کر چلتے یعنی آپؐ کے پاۓ مبارک میں اخمص (ابھار) نہ تھا۔”
محدثین کہتے ہیں کہ حضرت عیسیٰؑ کو مسیح کہنے کا سبب یہ ہے کہ ان کے پاۓ مبارک میں بھی ابھار نہ تھا۔
ایڑیاں کم گوشت تھیں۔ ہر دو ساق مبارک سفید اور لطیف تھے گویا کھجور کا ‘گابھا’ ہیں۔ جب آپؐ چلتے تو قدم مبارک قوّت، تثبت، وقار اور تواضع سے
اٹھاتے، جیسا کہ ہمّت و شجاعت کا قائدہ ہے۔
حضرت ابو ہریرہ ؓ فرماتے ہیں۔
“حضور اکرم ﷺ سے بڑھ کر میں نے کسی کو چلنے میں تیز نہیں پایا۔”
آپؐ چلتے تو یوں معلوم ہوتا گویا زمین آپؐ کے لئے لپٹتی چلی جاتی تھی۔ ہم دوڑا کرتے اور تیز چلنے میں مشقت اٹھاتے اور آپؐ بآسانی بے تکلّف چلتے مگر پھر بھی سب سے آگے رہتے۔
بعض اوقات حضور اکرم ﷺ اپنے صحابہ کرام کے ساتھ چلنے کا قصد فرماتے تو اس صورت میں صحابہ آپؐ کے آگے ہوتے اور آپؐ عمداً انکے پیچھے ہوتے اور فرماتے کہ میری پشت فرشتوں کے لئے خالی چھوڑ دو۔
(زرقانی علی المواہب )
قامتِ زیبا
حضور پاک ﷺ کا قد مبارک لطیف اور موزوں تھا۔ نہ کوتاہ نہ بہت دراز تھا اگرچہ مائل بہ درازی تھا۔
چناچہ حدیث شریف میں آتا ہے کہ آپؐ ‘متوسط القامت’ تھے۔
ایک اور حدیث میں قامتِ زیبا سے متعلق یہ الفاظ ملتے ہیں۔
پست قد سے طویل قامت اور طویل قامت سے کوتاہ تھے۔
حضرت علیؓ فرماتے ہیں کہ حضور اکرم ﷺ بہت دراز قد نہ تھے اور مائل بہ درازی ہونے کے سبب اوسط قد سے زیادہ تھے۔ مگر جب لوگوں کے ساتھ ہوتے تو سب سے بلند و سرفراز ہوتے۔
(مواہب لدنیہ)
جلد مبارک
آپؐ کی جلد مبارک نازک تھی۔ حضور اکرم ﷺ کا ایک وصفِ خاص یہ تھا کہ خوشبو لگائے بغیر آپؐ سے ایسی خوشبو آتی تھی کہ کوئی خوشبو اسکے پاسنگ نہ تھی۔
آپؐ کی والدہ ماجدہ فرماتی ہیں۔
“جب آپؐ پیدا ہوئے تو میں نے غور سے آپؐ کی طرف دیکھا۔ کیا دیکھتی ہوں کہ آپؐ بدر کامل کی طرح ہیں اور آپؐ سے کستوری کی طرح کی تیز مہک آ رہی ہے۔”
رنگ مبارک
حضور پاک ﷺ کا رنگ روشن اور تاباں تھا۔ جمہورِ صحابہؓ کا اس امر پر اتفاق ہے کہ رنگ مائل بہ سفیدی تھا۔ چناچہ روایات میں آتا ہے کہ آپؐ کا رنگ مبارک سفیدی اور ملاحت لئے ہوئے تھا۔ ایک روایت
میں یہ بھی آیا ہے کہ آپؐ کا رخِ انور بہت سفید اور آپؐ کے بال بہت سیاہ تھے۔
رفتار مبارک
حضرت ابو ہریرہؓ فرماتے ہیں کہ
“میں نے کس شخص کو حضور ﷺ سے تیز چلتے ہوئے نہیں دیکھا۔”
حضرت علیؓ سے ایک حدیث میں مروی ہے کہ آپؐ چلتے ہوئے زمین سے پورا قدم اٹھاتے اسے کشادہ رکھتے اور آسان، سبک اور تیز رفتاری سے بغیر اضطراب کے چلتے۔
ایک اور روایت میں یہ الفاظ وارد ہوئے ہیں۔
گویا آپؐ بلندی سے نشیب کی طرف اتر رہے ہیں۔
بزار نے ابو ہریرہؓ سے روایت کیا ہے کہ
“حضور اکرم ﷺ زمین پر ہمیشہ بھرپور قدم رکھتے تھے جو بے پناہ قوّت کی علامت ہے۔”
لباسِ مبارک
حضور پاک ﷺ کا عام لباس چادر، قمیص اور تہبند تھا۔ یمن کی دھاری دار چادریں (حیرہ) سب سے زیادہ مرغوبِ طبع تھیں۔ بعض اوقات آپؐ نے اونی جبہ، شامیہ بھی استمال فرمایا ہے جس کی آستینیں اس قدر تنگ تھیں کہ وضو کے وقت ہاتھ آستینوں سے نکالنے پڑتے تھے۔ جبّہ کسروانی بھی زیب تن فرما لیتے تھے جس کی جیب اور دونوں چاکوں پر
دیبا کی سنجاف تھی۔
ایسی اونی چادر بھی آپؐ نے پہنی ہے جس پر کجاوے کی شکل بنی ہوئی تھی۔ سفید لباس پسند اور سرخ ناپسند فرماتے تھے۔
حضور اکرم ﷺ پہننے کے لئے سب کپڑوں میں کرتہ زیادہ پسند فرماتے۔
ملا علی قاری نے رمیاطی سے نقل کیا ہے کہ
حضور پاک ﷺ کا کرتہ سوت کا بنا ہوا تھا اور اسکی آستینیں زیادہ لمبی نہ تھیں۔
حضرت ابن عبّاسؓ فرماتے ہیں۔
“حضور اکرم ﷺ کا کرتہ زیادہ لمبا نہ ہوتا تھا اور نہ اسکی آستینیں لمبی ہوتی تھیں۔”
حضور اکرم ﷺ کے کرتہ کو زیادہ پسند کرنے کی وجہ یہ تھی کہ اس سے بدن اچھی طرح ڈھانپا جاتا تھا اور ساتھ ہی زینت بھی اچھی طرح ہو جاتی تھی۔
عمامے کا شملہ چھوڑا کرتے اور کبھی نہ چھوڑا کرتے۔ شملہ اکثر دونوں شانوں کے درمیان اور کبھی شانے پر پڑا رہتا۔ بعض اوقات دستار کا ایک پیچ بائیں جانب سے ٹھوڑی کے نیچے سے گزار کر سر
پر لپیٹ لیتے۔
عمامہ اکثر سیاہ رنگ کا ہوتا تھا۔ عمامے کے نیچے سر سے لپٹی ہوئی ٹوپی ہوا کرتی تھی۔ اونچی ٹوپی آپُ نے استمال نہیں فرمائی۔
نعلین شریفین چپلی کی شکل کی تھیں۔ ہر ایک کے تسمے دوہری تہ والے تھے۔ ایک تسمہ انگوٹھے
اور متصل انگلی کے بیچ میں اور دوسرا انگشت
میانہ اور بنصر کے بیچ میں ہوا کرتا۔
پاجامہ کے پہننے میں اختلاف ہے۔ بعض اس بات پر یقین رکھتے ہیں کہ آپؐ نے پاجامہ نہیں پہنا، لیکن شرح شفا میں ہے کہ حضور پاکُ نے سراویل پہنی ہے۔
حضور پاک ﷺ کا سراویل خریدنا معلوم و متفق علیہ ہے۔ ابن قیم اپنی کتاب ‘ہدی النبیؐ’ میں کہتے ہیں کہ ظاہر ہے کہ سراویل خریدنا پہننے کے لئے تھا اور روایات میں موجود ہے کہ حضور ﷺ نے سراویل پہنی۔
محدثین روایت کرتے ہیں کہ سیدنا عثمان ذی النورین ؓ جس دن شہید ہوئے وہ سراویل پہنے ہوئے تھے۔
امام جلال الدین سیوطی نے ‘جمع الجوامع‘ میں
حضرت علیؓ سے روایت کی ہے۔
میں حضور اکرم کے پاس بقیع میں بارش کے روز بیٹھا ہوا تھا کہ ایک عورت گدھے پر سوار گزری۔ اس کے ساتھ بوجھ تھا۔ گدھے کا پاؤں پھسل گیا اور عورت زمین پر گر پڑی۔ حضور اکرم ﷺ نے اپنا رخِ انور ادھر سے پھیر لیا۔
صحابہؓ نے عرض کیا یا رسول اللّهؐ!
“وہ شلوار پہنے ہوئے ہے۔’
آپؐ نے دعا فرمائی۔
“اے اللّه! میری امّت کے پاجامہ پہننے والوں کو بخش دے۔ اے لوگو! پاجامہ پہننے کو لازم کر لو۔یہ تمہارے کپڑوں میں سب سے زیادہ ستر پوش ہے اور تمہاری مستورات تو اسے خاص طور پر پہنیں۔”
جنّت میں داخلہ
حدیث شریف میں ہے کہ جو شخص ہر فرض نماز کے بعد آیت الکرسی پڑھے اسے جنّت میں داخل ہونے سے صرف موت روکے ہوئے ہے۔
(رواه نسائی)
Assalamu Alaimum bhai MashaAllah Aapne Sarkare Do Aalm Sallallahu Tala Alaihi Wassallam ki Shaan to bayan ki lekin Mazirat aapne shuruaat me likha he ke Wo bhi humari tarah bete the baap the mujhe he Alfaaz Sahi nahi lage kyu k Nabiy kareem to Allah k habib h Hazrio Nazir he unke jesi koi Misaal nahi wo be Misalm be hm unke jese ya wo humare jese to hohi nahi sakte na bhai ?
Jaza kALLAHU khair sis, aapne sahi hi kaha hai. Agreed. edited. 🙂 be with us.
ji mene how to check black magic in Islam wala wazifa kia us ke bad Allah ka shukar hn ami kujh behtr lag rh hn..to kia black magic hn ami p…? ab kia karu konsa wazifa….?? plz jaldi reply dy
agar koi alamat nahi lag rahi apko un par to ap nahi karein.
Assalamualaikum brother pls i really need to contact you because i have a problem and need ur help pls can this be possible but dont knw hw to get to you i dnt also use facebook nor tweeter
Dear Sis, we have started our web chat on the website. We are online and you can ask any question. All you need to do is to follow ya ALLAH Website here- http://www.yaALLAH.in/2015/04/03/follow-us/
Aslamoalikum mujay apnay rishtay k baray mai puchna ha k mero age 28 ho gai ha lakin koi rishta ni aa raha acha sal mai eik dafa ata ha r wo b dakh k chly jty ha mujy aksar dream mai ata ha k mai apny school mai paper dai ri ho r mujy kch ni ata paper mai mujy is khuwab ke tabeer bataye plz r kya mujh py koi bundish ha
Rishte ki bandish ke liye ap ye amal kijiye – https://www.yaallah.in/2016/04/16/black-magic-marriage-islam-rishte-ki-bandish-ka-tor/
Agar ap yaALLAH.in ke follower hain to apko ‘yaALLAH Dua Wazaif’ ki ijazat hai. Agar follower nahi hain to abhi is link se website ko subscribe kijiye phir apko sab wazaif ki ijazat mil jayegi- http://www.yaALLAH.in/2015/04/03/follow-us
Mere personal FB profile page ke zariyah mujhse judiye, baraye meherbani is page ko apni star ratings zarur dijiye-https://www.fb.me/alimraanraza
#yaALLAHcomments
I need to contact you regarding a problem.
I don’t use Facebook.
Please tell me where can I contact you.
Jazak Allah
You can make an Fb a/c and drop your private message at http://m.me/yaALLAHyaRasul. Inbox opens from Monday-Saturday between 12:30PM-6:30PM Indian Standard Time. You will get a quick response there, Insha ALLAH. #yaALLAHcomments
Assalamuakaikum pls can u translate this in english
I will publish it in English soon. Kindly wait for this dear sister. You need to Follow yaALLAH.in from this link- http://www.yaALLAH.in/2015/04/03/follow-us/ before starting amal. Join Now!!- https://www.facebook.com/groups/yaALLAHU
Mere personal FB profile page ke zariyah mujhse judiye, baraye meherbani is page ko apni star ratings zarur dijiye-https://www.fb.me/alimraanraza
#yaALLAHcomments
AssalamuAlaikum
Ye sarkar ki hadis hindi me ya gujarati me mil sakti he mil jaye to hame bhi jankar ho jaye.mil jaye to badi maher bani hogi.
Physical Features of Prophet Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam.
Okay brother I will definitely try for this but apko uske liye mujhe remind karate rehna hoga yahan aur chahe to yahan- https://www.fb.me/yaALLAHyaRasul Mere personal FB profile page hai ke zariyah mujhse judiye, baraye meherbani is page ko apni star ratings zarur dijiye- https://www.fb.me/alimraanraza