Recently updated on September 18th, 2017
In the name of ALLAH, The Most Compassionate, The Most Merciful. All praises are only due to ALLAH. Who is The Creator and Lord of the Worlds? Peace and blessings are upon all the Prophets of ALLAH and HIS Last Messenger, Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam. Afterward, to His family subsequently to the blessed companions. I am grateful to all those who have contributed their hard work, counsel, insight and vision to the compilation of this post ‘Quran Recitation to Safeguard Farms & Gardens’ which is the only one of its kind in the history of Internet.
﷽
Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Quranic Prayers to Safeguard your Valuable Farms and Gardens
Kheton Ki Fasal Ki Hifazat Ke Liye Amal
- Planning,
- Prepare,
- Plant,
- Provide
- Protect and
- Produce.
Islam mein Baghaat ke falon ki hifazat kaise Kare?
Baghaat ki hifazat ke liye khas-o-Mujarrab Wazaif
Har mulk mein zara’at ka shoba bohat khas ahmiyat rakhta hai. Hum sab tak achi sabziyan aur phal hamare payare kisan bhiyon ki mehnat ki wajah se hi pohanchte hain. Ye shoba sirf khane peene ki cheezein hi muhayya nahi karta bul ke hamare pehanne aur istemal ki bhi bohat c cheezein isi Zara’at ke shoba ki wajah se hamain hasil hoti hain.
Baaz auqaat zarkhaiz zameen, pani ki sahee miqdar, sakht mausam se hifazat aur jaraseem kush adwiyat ke istemal ke bawajud fasal kharab ho jati hai ya man chahi paidawar nahi milti. Jis ki wajah se is shoba se taulq rakhne wale sabhi afraad ko nuqsan ka samna karna parta hai. Zimaindar ko alag nuqsan uthana parhta hai aur mehnat kash kisan bhaiyon ki mehnat alag zaeya jati hai.
Paidawar kum ho jane ki wajah se bazar mein us sabzi ya phal ki qeemat barh jati hai aur aam tabqaat ko is mehangayi ka samna karna parta hai. Algharz, ek fasal achi na hone ki wajah se bohat se tabqaat ko farq parta hai aur mushkilaat ka samna karna parhta hai. Find Rights of Women in Islam Muslim Khawateen Ke Huqooq here.
Taahum, Aj mein apne payare kisan bhaiyon ke liye bohat hi umda wazaif ki post publish kar raha hon. Jin se un ki sab pareshaniyan anqareeb khatam ho jayengi.
Wazaif karne ki Suratein
Kin-Kin suraton mein/Haalaat mein ye amal kiye ja sakte hain?
- Agar kisi waqt ap ke baaghat weeran hone lagein. (Chahe wo baagh ghar hi mein kyu na ho.)
- Khet-khalihaano mein agar paidawar bahot hi kum hone lage.
- Agar apko mehsoos hota hai aur ye sahi bhi hai ke baaghaan mein maujud darakht sookhne lagein hai.
- Ya fir un maujuda darakhto ne phal dena band kar diya hai.
- Ya fir ke wo darakht kharab ya keera lage phal dene lagein hai.
- Kisi aandhi ya tufan ka khadsha agar unhein ho to.
- Tamam faslein kharab hone ka khadsha ho raha ho.
- Paidawar hoti hi na ho ya bohat kum miqdar mein hoti ho.
- Apko unmein nuqsan ya tabahi ka khadsha ho.
- Faslon ki tabahi ki wajah se musalsal nuqsan utha rahe ho.
In sab suraton ya in mein se kisi bhi ek surat mein ap ya ALLAH ki is Post mein maujud koi ek wazifa shuru kar sakte hain.
Insha ALLAH, apki ye tamam pareshaniyan dur hongi. Ap ke har nuqsan se bachao hoga, apki fasal sahee salamat chalti rahegi. Ap ka baagh sar sabz-o-shadaab ho jayega aur khoob phal dega. Apka nuqsan nafa mein badal jayga. Algharz, faslein lehlahaayein gi aur baagh muskurayen ge. Ameen!
Aaiye ab apke baagh ki khush hali ke liye intehayi asaan aur mujarrab ya ALLAH wazaif dekhte hain.
Baagh Mein Barkat ke liye Khas Wazifa
Agar apka baagh achi paidawar nahi de raha yani ya tou baagh ke phal aur sabziyan naqas qisam ki hon ya phir paidawar hi bohat kum ho rahi ho tou ese mein ye wazifa shuru karein. Insha ALLAH, apki ye pareshani dur ho jayegi.
- Kisi bhi din ye amal shuru kar sakte hain.
- Sab se pahle taza wuzu banaiye.
- Pak saf kaghaz aur qalam lijiye.
- Us pe Surat Al-mo’min likhiye.
- Ab us kaghaz ko rat ke waqt apne baagh mein kisi saf jagah pe rakh dein.
- Ye amal bus ek martaba hi karna hai.
Insha ALLAH, kuch hi dino mein ap ke bagh mein esi barkat hogi ke bagh khoob phal dene lage ga. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
باغ میں برکت
اگر کوئی شخص رات کے وقت سورت المومن )سورة نمبر ۴۰)کو لکھ کر اپنے باغ میں رکھےگا تو انشاء اللّٰه العزیز اس باغ سے بہت زیادہ پھل حاصل ہونگے۔
Sar Sabz-o-Shadaab Baagh ke liye Amal
Agar kisi shakhs ka baagh weeran ho gaya ho ya darakht sookh gaye hon ya darakhton ne phal dena band kar diya ho tou wo ye amal fauran shuru kar de. Insha ALLAH, bohat faydah milega.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi munasib waqt ap ye amal shuru kar sakte hain.
- Sab se pahle taza wuzu banaiye.
- Pak saf kaghaz aur qalam lijiye.
- Ab kaghaz par Surah Maryam likhiye.
- Ab us kaghaz ko kisi bade bartan mein 5-10 kilo pani mein bhigo dijiye.
- Thori deir bad wo pani baagh ke sabhi darakhton ko thora thora dal dijiye.
Insha ALLAH-ul-Aziz baagh ki sari weerani khatam ho jaye gi aur sab darakht bohat hare bhare nazar ayenge. Pura baagh bohat sar sabz-o-shadaab aur tarotaza ho jayega. Kabhi darakhton ke phal ki qillat nahi hogi. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
باغ کی سر سبزی
اگر کسی شخص کا باغ ویران ہو گیا ہو یا درخت سوکھ گۓ ہوں یا درختوں نے پھل دینا بند کر دیا ہو تو ایک پاک صاف کاغذ پر سورۂ مریم ( سورة نمبر ۱۹ ) لکھ کر اسکو پانچ دس کلو پانی سے دھوئے اور وہ پانی باغ کے درختوں کو دے۔ انشاء اللّٰه العزیز باغ پھر سے تروتازہ اور سرسبز و شاداب ہو جائیگا اور خوب پھل دیگا۔
Baagh ke Darakhton ki Hifazat ka Wazifa
Agar kisi shakhs ko kisi wajah se apne baagh ke nuqsan ka dar ho ya kisi aafat ya khazan ki wajah se uske baagh ko nuqsan pohanch chuka ho tou use chahiye ke wo shakhs ye wazifa shuru kare. Insha ALLAH, iski barkat se uske baagh ke nuqsan ki bharpayi ho jayegi.
Amal karne ka tareeqa
- Ye wazifa kisi bhi din aur kisi bhi munasib waqt shuru kar sakte hain.
- Wuzu ki halat mein karein.
- Saf kaghaz aur qalam pakrein.
- Kaghaz par Surah Al-Naml likhiye.
- Ab is kaghaz ko apne baagh ki bad (baher wali hifazati had) par chispan kar dein.
- Ye amal ek martaba hi karna hai. Kaghaz phatne ki surat mein dubara Surat likh kar laga sakte hain.
Insha ALLAH-ul-Aziz apka baagh har tarah ki aafat aur khazan se mehfuz rahega aur paidawar khoob hogi ke sare nuqsan ka azala ho jayega. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
باغ کے درختوں کی حفاظت
اگر کوئی شخص سورۂ النمل )سورة نمبر ۱۶(کو لکھ کر اپنے
باغ کی باڑ پر آویزاں کردیگا تو اللّٰه تعالیٰ کے فضل و کرم سے اسکے باغ کے سارے درخت ہر طرح کی آفت اور خزاں سے محفوظ رہینگے ۔
Baagh ki Tabahi ka Khadsha
Agar kisi shakhs ko kisi wajah se apne baagh ki tabahi ka khadsha ho tou wo shakhs ye wazifa kare. Insha ALLAH, uske sare khadshat dur ho jayenge. Yahan Qaza e Hajat ka Mujarrab Amal Rizq ki Kushadgi Daulatmand Hona dekhiye.
Amal karne ka tareeqa
- Ye amal kisi bhi waqt aur kisi bhi din kar sakte hain.
- Wuzu ki halat mein karein tou behtar hoga.
- Pak saf 4 theekriyan (matke ki theekriyan) lijiye.
- Ab bari bari har ek theekri Isme Mubarik “ALLAH Baqi” (اللّٰه باقی) likhiye.
- Ab har ek theekri ko baagh ke charon kono mein dafan kar dijiye.
- Ye amal ek bar hi karna hai.
Insha ALLAH-ul-Aziz, baagh baagh har tarah ki aafat, tabahi aur weerani se mehfuz rahega. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
باغ کی تباہی کا خدشہ
اگر کسی شخص کو کسی وجہ سے اپنے باغ کی تباہی کا خدشہ ہو تو وہ اسم مبارک “اللّٰه باقی” تین تین مرتبہ چار عدد کوری ٹھیکریوں پر لکھ کر ایک ایک ٹھیکری باغ کے چاروں کونوں میں دفن کردے۔ انشاء اللّٰه العزیز باغ تباہی اور ویرانی سے محفوظ رہیگا۔
Baagh ke Phal Gir jane ka Khauf
Jis shakhs ko aandhi ya kisi aur wajah se apne baagh ke phal gir jane aur zaeya ho jane ka khadsha ho tou wo ye amal kare. Behad mujarrab amal hai. Insha ALLAH, har khadsha aur nuqsan se bachao hoga.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din ye amal shuru kar sakte hain.
- Sab se pahle taza wuzu banaiye.
- Fajar ki namaz ada kijiye.
- Phir 3000 martaba Isme Mubarik “ya Mun’imu” (یٙا مُنْعِمُ) parhiye.
- Phir apne baagh ki hifazat aur achi paidawar ke liye khood dil se du’a kijiye.
- Jab tak chahein ap ye amal kar sakte hain.
Insha ALLAH-ul-Aziz, baagh ke phalon ka koi nuqsan nahi hoga aur darkhton ko phal bhi bohat zyada miqdar mein lageinge. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
باغ کے پھل گر جانے کا خوف
جس شخص کو آندھی یا کسی اور وجہ سے اپنے باغ کے پھل گر جانےکا اندیشہ ہو وہ اسمِ مبارک “یٙا مُنْعِمُ” کو روزانہ فجر کی نماز کے بعد تین ہزار مرتبہ پڑھے۔ انشاء اللّٰه العزیز اسکے باغ کے پھل گرنے یا کسی اور وجہ سے ضائع ہونے سے محفوظ رہینگے۔
Phaldar Darakht ke Khoob phal dene ka Mu’assir Wazifa
Agar kisi shakhs ki fasal achi na ugti ho ya darakht phal na dete hon tou wo ye wazifa shuru kare. Insha ALLAH, bohat naf’a hoga.
Amal karne ka tareeqa
Kisi bhi behtar waqt aur kisi bhi din ye amal kar sakte hain.
- Sab se pahle wuzu kijiye.
- Pak saf kaghaz lijiye.
- Ab kaghaz par zafraz aur arq-e-gulab k madad se Surah Al Imran likhiye.
- Ab kisi saf bartan mein thorsa sa pani lijiye.
- Surat likhe huye kaghaz ko pani mein thori deir ke liye dal kar rakh dein.
- Kuch deir bad wo pani apne darakht pe chirak dein.
- Ye amal ek mausam ke liye ek martaba hi karna hai. Agle mausam mein karna chahein tou dubara kar sakte hain.
Insha ALLAH-ul-Aziz, ap ke darakht aur faslein khoob phal aur sabziyan dene lagein ge. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
پھلدار درخت کا پھل نہ لانا
اگر کوئی پھلدار درخت پھل نہ دیتا ہو تو سورۂ آل عمران )سورة نمبر ۳ (زعفران اور عرقِ گلاب سے لکھ کر اس تحریر کو پانی سے دھو کر اس درخت پر چھڑکا جائے تو وہ درخت انشاء اللّٰه العزیز خوب پھل دینے لگےگا۔
Quran Recitation to Safeguard Farms & Gardens in English
How to Protect/Safeguard Gardens/Kitchen Gardens/Agricultural Farms in Islam?
Tested and Tried Amal for Safety of Gardens/ Kitchen Gardens/ Agricultural Farms
Every country needs a good agricultural system. This helps in developing the economy of that nation. We all get good fruits and vegetables from the farms and gardens in our nation. This is due to our dear farmers, the way they do hard work in their farms.
Farms not only provide us things to eat but also it provides us clothes to wear. Agriculture affects our day-to-day lives in positive aspects we tend to overlook.
Agriculture farms impacts our live in more ways than we realize. In several ways, it also provides fobs for the farmer, the factory worker and for the grocery store workers. Find Ruqya Sharia Islamic Prayers Healing Love Via Quran Verses here.
Terms & Conditions to Perform these Wazaif
- If you are encountering the destruction of the crops in your farms. No matter if they are the crops in your home or kitchen garden.
- If the yield/produce in the agricultural farms are noticeably lower than standard.
- If you are noticing that the trees in the farms are destroying and not nourishing properly.
- If the trees have become barren and stopped producing fruits and vegetables.
- In case if the trees, crops or farms have been ruined with disease like wheat rusts, desert locust and cassava virus diseases etc.
- If the trees are producing the fruits with insects threatening its quality.
- If there is a chance of serious storm or any kind of natural calamity etc.
- If there is a chance of destruction of entire crops, trees, farms or garden.
- When there is no produce or a very low production of the crops, trees, farms or garden.
- When you think that crops, trees, farms or garden could be destroyed in any way.
- In the circumstances when there is a monetary or any kind of loss due to the destruction of destruction of crops, trees, farms or garden.
A Very Special Wazifa for Barkat and Blessings in Gardens/ Kitchen Gardens/ Agricultural Farms
- One can perform this wazifa on any day and at any suitable time.
- Make a fresh ablution.
- Get one pure white paper and a pen.
- Write Surah Al Mo’min on it.
- Wrap this paper up with a plastic or similar material for it’s protection.
- During night, place this paper in your garden or farm at any safe place where so that one can walk on it.
- Insha ALLAH soon you will feel positive changes and favorable results, Ameen. The garden/farm will start giving good quality fruits and vegetables soon Ameen!
Note: Females are not going to write this amulet during the days of their menses/periods.
To Get Fresh and Nutritious Fruits and Vegetables in Gardens or Farms
If a farm or a garden has destroyed and gives no produce, this amal will best suits in this condition. Find Acne and Skin Whitening Wazifa Jild Ke Amraz se Shifa here.
How to Perform a Wazifa to Get Fresh and Nutritious Fruits and Vegetables in Gardens or Farms
- One can perform this wazifa on any day and at any suitable time.
- In the very beginning make a fresh ablution.
- Get one clean and pure pen and paper.
- Write the entire Surah Maryam on this paper.
- Rinse this written paper in a 5-10 litres of clean and pure water in a big clean utensil.
- Pour this water into the trees, plants and other parts of the entire garden.
- Insha ALLAH-ul-Aziz you will definitely see that the entire garden/farm will become green and and their quality will become good, Ameen.
Note: Females are not going to write this amulet during the days of their menses/periods.
For Safety of Garden Trees and Plants
This wazifa can also be performed for kitchen garden or any type of garden.
If an owner wants to safeguard his garden or farm. Then this amal will Insha ALLAH help him. This will protect from every thing like pests, storm and rest of any other possible harms to it. This wazifa will compensate the loss in the gardens and farms if occur in future.
How to Perform Wazifa For Safety of Garden Trees and Plants
As usual, any one among the family member can perform this amal. Start this Wazifa on any day and at any suitable time.
- Don’t forget to make a fresh ablution.
- Get one clean paper and pen.
- Write Surah Al-Naml on this paper in Arabic. You can copy it from The Noble Qur’an also.
- Now, place this written paper on the border line/fence of your garden/farm. You should place this paper on the board or likewise on outer line only at a safe place.
- Do this once and Insha ALLAH you will see the positive results soon, Ameen.
- You can laminate this paper in order to protect it from sunlight and rainwater.
Find How to Pray in Islam Salah Qaza-e-Umri & Kaffarah here.
Note: Females are not going to write this amulet during the days of their menses/periods.
To Safeguard the Garden or a Farm from Any Calamity or Destruction
If an owner has a risk of destruction of the garden or the crops of the farms. In this case one can definitely perform this amal. Insha ALLAH with the help of this Wazifa the farm or a garden will remain in safety by The Grace of ALLAH Jalla Jalaaluhoo, Ameen.
How to Perform the Wazifa To Safeguard the Garden or a Farm from Any Calamity or Destruction
- Start this Wazifa on any day and at any suitable time.
- Don’t forget to make a fresh ablution.
- Get 4 clean, pure and washed pieces/plates of any mud clay. These are the pieces of broken earthen pot which is popularly known as theekri’ in hindi.
- Now, write one-by-one on all the four pieces the lovely name “ALLAH Baqi” (اللّٰه باقی) as written here.Now, bury these pieces on the four corner of the garden/farm safely.
- Insha ALLAH-ul-Aziz, the garden/farm will remain safe from every type of calamity and destruction. Ameen.
Note: Females are not going to write this amulet during the days of their menses/periods.
How to Perform this wazifa to Protect the Fruits and Vegetables of Farm/Garden Trees from Destroying/Dropping
When there is a risk of fruits and vegetables of any garden or farm keep falling down due to heavy or normal wind. In these circumstances, this wazifa will definitely help the owner to keep fruits and vegetables safe from falling down.
- Start this Wazifa on any day and at any suitable time.
- offer Don’t forget to make a fresh ablution.
- After performing the prayers of morning (Fajr).
- Recite three thousand times (3000) The Lovely Name “ya Muni’mu“
- Afterwards, pray for the safety and prevention of falling of the fruits and vegetables of your farm/garden.
- One can recite this wazifa every day till want. So there is no time limit.
- Insha ALLAH you will see the favorable results and the fruits and vegetables will increase in number and will stop falling and remain protected.
Note: Females are not going to write this amulet during the days of their menses/periods.