Recently updated on December 26th, 2017
Ayat-e-Karima Kya Hoti Hai? Qu’ran Kareem ke Para ‘adad 21 Surah Al-Anbiya ki Ayat ‘adad 87 ka ek khoobsurat hissa hai. Ye du’a Paighambar Younus Alayhis Salam ki du’a ke nam se bhi jani jati hai jo ke bohat hi mu’assir du’a hai. Hazrat Yunus Alayhis Salam par jab afat ayi, ek machhli ne unhe nigal liya,, aur isi musibat se nijat hasil karne ke maqsad se unhone ALLAH se ye ayat parhkar madad mangi. ALLAH Jalla Jalaaluhoo ke shaan-e-kareemi dekhiye, unpar fauran reham-o-karam ka mamla hua. Qur’an Kareem mein jis qadar ayaat hain wo lafz ‘Rab’ se shuru hoti hain ye wahid du’a hai jo lafz ‘ALLAH’ se shuru hoti hai.
﷽
Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Great Power of Ayat-e-Karima Wazifa and The Virtues
Also known as
Dua of Hazrat Yunus Alayhis Salam
Ayat-e-Karima K Fazail, Ahmiyat Aur Barkat in Urdu
The Significance and Super Power of Ayat-e-Karima
Roman English Version
Ayat-e-kareema ki quwwat-e-taseer mein koi shak nahi hai kyunke esa koi amal nahi hai jiski sehat Qur’an Majeed se bhi ho, Ahadees se bhi ho aur Mashaikh ke aqwaal se bhi ho. Khud Qur’an Majeed is par shahid hai.
Ayat-e-kareema ke bare mein ba’az logon ka kehna hai ke ye ek jalali du’a hai kyunke ba’az wazaif mein ise parhte huye pani pas rakha jata hai aur badan pe lagaya jata hai jiski wajah se log ye sochte hain ke ye jalali du’a hai ise nahi parhna chahiye. Jabke ye khayal ghalat hai. Pani to Hazrat Younus Alayhis Salam ki nisbat se hai aur is du’a ko parhne ka hukam khud ALLAH Zille Shanahu ne farmaya hai.
Rasul ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya hai aur Mashaikh-e-Deen ne aazmaya hai tou jalali tou na rahi aur ye aur bhi behtar hai ke jalali hone ki wajah se jald asar karti hai lekin parhne wale par iske parhne ka koi ulta asar nahi hota. Ye du’a Paighambar ki du’a hai jo ke bohat zayadah ahmiyat rakhti hai. Iske mu’assir aur mufeed hone par koi shak nahi kar sakta.
Hazrat Younus Alayhis Salam yehi du’a yani Ayat-e-Kareema machhli ke pait mein parhte the aur isi du’a ki fazeelat se ALLAH Azzawajal ne unhe andhere aur gham se nijat di. Musibat ko dafah karne ke liye unhone is ayat-e-karima ka wird kiya. To unpar ALLAH ki rahmat nazil hui.
“Laa Illaha Illaa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz-Zalimeen”
لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ
There is no god but You (O my Lord!). Glory be to You! Verily, I have been of the wrongdoers.
تیرے سوا کوئی معبود نہیں ہے تو بے عیب ہے بے شک میں بے انصافوں میں سے تھا
या अल्लाह तेरे सिवा कोई मा ‘अबूद नहीं है, तू बे ‘ऐब है, बेशक़ मैं क़ुसूरवार था|
(Surah # 21, Al-Anbiya, Verse # 87)
Is Ayat-e-Muqaddasa mein ALLAH Ta’ala ki tareef beyan ki gayi hai aur apni ghaltiyon ka iqrar kiya gaya hai jo du’a ki qubooliyat ka sabab banta hai. ALLAH Ta’ala Qur’an Majeed mein is du’a ke jawab mein farmata hai
فَاسْتَجَبْنَا لَهُ وَنَجَّيْنَاهُ مِنَ الْغَمِّ وَكَذَلِكَ نُنْجِي الْمُؤْمِنِينَ
“Fa-stajabna lahu wanajjaynaahu mina alghammi wakazaalika nunjee almumineen”
So We responded to him and saved him from the distress. And thus do We save the believers.
پھر ہم نے اس کی دعا قبول کی اور اسے غم سے نجات دی اور ہم ایمان داروں کو یونہی نجات دیا کرتے ہیں
फिर हमने इसकी दु ‘आ क़ुबूल की और इसे ग़म से निजात दी और हम ईमानदारों को यूहीं निजात दिया करते है|
(Surah #21, Al-Anbiya, Ayat No.88)
Instant Power of Ayat-e-Karima Wazifa Adhkar Virtues Benefits Fawaid
Ayat-e-Kareema ke Fawaid, Fazilat Aur Wazaif- Pareshaniyon Se Nijat Ke Liye
Ye du’a har gham aur pareshani dur karne aur har jayez khawahish ko pura karne ke liye bohat mujarrab du’a hai. Aksar buzurg ise har waqt parhte rahte hain.Tilawat ke savab ka dohra faydah hai. Hazrat Imam Jafar Sadiq RadiALLAHU Anhu farmate hain ke koi ranj-o-gham nahi jise dur karne ke liye ye ayat kafi na ho. Janab Nawab Hassan Saheb likhte hain mujhe kasrat-e-gham ne ghair liya. Maine is Ayat-e-Kareema ki bakasrat tilawat ki. ALLAH Azzawajal ne mere sare ranj-o-gham dur kar diye aur farmaya yehi wo du’a hai jo Qur’an aur Hadees dono se sabit hai. Yehi wo du’a hai jis ne paighamber ko qaid-e-ghum se nijat dilayi.
آیتِ کریمہ کے فضائل اور وظائف
قرآن کریم میں جس قدر دعائیں ہیں وہ لفظ رب سے شروع ہوتی ہیں۔ صرف یہ اکیلی دعا ہے جو لفظ اللّٰه سے شروع ہوتی ہے۔ یہ پیغمبر یونسؑ کی دعا ہے اور بہت ہی مؤثر دعا ہے۔
لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ
“Laa illaha illaa anta subhanaka inni kuntu minaz-zalimeen”
There is no god but You (O My Lord!). Glory be to You! Verily, I have been of the wrongdoers.
(Surah # 21, Al-Anbiya, Verse # 87)
آیتِ کریمہ کی قوّتِ تاثیر میں کوئی شک نہیں ہے کیونکہ ایسا کوئی عمل نہیں ہے جس کی صحت قرآن مجید سے بھی ہو۔ صحیح حدیث شریف سے بھی ہو اور مشائخ کے اقوال سے بھی ہو۔ قرآن مجید میں اسکی شان میں وارد ہے۔
فَاسْتَجَبْنَا لَهُ وَنَجَّيْنَاهُ مِنَ الْغَمِّ وَكَذَلِكَ نُنْجِي الْمُؤْمِنِينَ
(Surah Al-Anbiya, Ayat No. 88)
حضرت امام جعفر صادق ؓ فرماتے ہیں کوئی رنج و غم ایسا نہیں جسے دور کرنے کے لئے آیتِ کریمہ کافی نہ ہو۔ اس آیتِ کریمہ کی بہت فضیلتیں لکھی گئی ہیں۔ خاص کر رات کو اٹھ کر پڑھنا ہر مشکل کا حل ہے۔ قرآن کریم اس پر شاہد ہے ۔ یہ دعا دفعِ غم میں اور کشائشِ حاجت میں بہت مجرّب ہے ۔ اس آیتِ مقدّسہ میں اللّٰه تعالٰی کی تعریف ہے اور اپنے عجز و خطا کا اقرار ہے جو باعثِ قبولیت ہے اسکی تلاوت کا دوہرا ثواب ہے۔ جناب حسن صاحب لکھتے ہیں مجھے کثرتِ غم نےگھیر لیا تھا۔ میں نے اسی آیتِ کریمہ کی بکثرت تلاوت کی۔ الله نے میرے تمام رنج و غم دور کر دئیے۔ اور فرمایا یہ ہی وہ دعا ہے جو قرآن اور حدیث دونوں سے ثابت ہے۔ یہ ہی وہ دعا ہے جس نے پیغمبر کو قیدِ غم سے نجات دلائی۔
Ranj-o-Gham ke liye Umdah Du’a
Hazrat Sad Bin Abi Waqas Rehmatullah Alayh kahte hain ke Rasul ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya ke
لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ
har ranj-o-gham ki du’a hai. Jo shakhs apni kisi mushkil mein parhega aur is Ayat-e-Kareema ke tufail se hajat talab karega. Uski du’a qubool hogi aur mushkil hal hogi.
Taahum, kisi bhi mushkil ya pareshani ki halat mein zayadah se zayadah is du’a ka wird karein. Insha ALLAH, apki pareshani aur ranj-o-gham hamesha ke liye dur ho jayenge. Ameen!
رنج و غم کے لئے عمدہ ددعا
حضرت سعد بن ابی وقاصؓ کہتے ہیں فرمایا رسول اللّٰه صلّ اللّٰه علیہ وسلّم نے کہ
لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ ہر رنج و غم کی دعا ہے۔ جو شخص اپنی کسی مشکل میں پڑھےگا اور اس آیتِ کریمہ کے طفیل سے حاجت طلب کریگا۔ اسکی دعا قبول ہوگی اور مشکل حل ھوگی۔
Har Hajat ke liye Behtareen Du’a
Har hajat ko pura karne ke liye ye bohat hi asaan aur behtareen wazifa hai.
Ek hindu mu’azziz shakhs ka kahna hai ke mujhe jab bhi koi hajat paish aati tou main rat ko ye amal karta aur meri mushkil hal ho jati thi. Subhan ALLAH!Agar aap koi bhi hajat rakhte hain jo ke halal hajat hai aur usko kisi bhi surat pura nahi kar pa rahe tou pareshan mat hon aur ye wazifa shuru karein. Insha ALLAH aapki hajat laazman puri hogi.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din ye amal shuru kar sakte hain.
- Sab se awwal wuzu kijiye.
- Isha ya tahajjud ki namaz ada karne ke bad 200 martaba Ayat-e-Kareema parhiye.
- Phir dil ki gahraiyon se ALLAH Ta’ala se apni hajat talab kijiye.
- Ye amal rozana bila nagha kijiye jab tak ke apki hajat puri na ho jaye.
Insha ALLAH, kuch hi waqt mein apki hajat puri ho jayegi aur ap sukoon se reh sakeinge. Ameen!
Ghaur talab : Khawateen haiz/maahwari ke dino mein namaz ada kiye baghair ye amal kar sakti hain.
ہر حاجت کے لئے بہترین دعا
حضرت شاہ ولی اللّٰه رحمتہ اللّٰه علیہ فرماتے ہیں کہ جو شخص تہجّد یا عشاء کے وقت باوضو دو سو بار آیتِ کریمہ کو جس حاجت کے لئے پڑھےگا اللّٰه تعالیٰ اسکی حاجت ضرور پوری کریگا۔
ایک ہندو معزز شخص بھی اسی طور سے رات کو پڑھتا تھا اسکا کہنا تھا کہ مجھے جب بھی کوئی مشکل پڑتی ہے میں یہ پڑھتا ہوں اور میری مشکل دور ہو جاتی ہے سبحان اللّٰه!
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں نماز ادا کیے بغیر یہ عمل کر سکتی ہیں ۔
Beemari se Shif’a ki Nayaab Du’a
Agar ap kisi bhi beemari mein mubtila hain aur sehatyaab nahi ho pa rahe tou pareshan na hon aur fauran ye amal shuru kijiye. Insha ALLAH , iski fazeelat se apki beemari dur ho jayegi aur apko shif’a-e-kamila naseeb hogi.
Amal karne ka tareeqa
- Behtar hai ke mareez khud ye du’a parhe, agar wo khud parhne se qasir ho tou uska koi aziz bhi uske liye ye amal kar sakta hai.
- Sab se pahle wuzu kijiye.
- Chalis (40) martaba Ayat-e-kareema ka wird kijiye.
- Phir apni beemari se shif’a ke liye du’a kijiye.
- Jab tak aram mahsus na ho ye amal karte rahiye.
Insha ALLAH, jald hi aapko aram milega aur apki beemari rafa ho jayegi.
Ghaur talab: Khawateen haiz/mahwaari ke dino mein wuzu kiye baghair ye amal kar sakti hain.
بیماری سے شفاء کی نایاب دعا
حضرت محمّد صلّ اللّٰه علیہ وسلّم فرماتے ہیں جس مومن نے اپنی بیماری میں آیتِ کریمہ کو چالیس مرتبہ پڑھا اور اگر اسی بیماری میں مر گیا تو اللّٰه اسے شہید کا اجر دیگا اور صحت یاب ہوا تو اسکے سارے گناہ معاف کر دیگا۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل کر سکتی ہیں۔
Har Mushkil ke liye Mujarrab Du’a
Tirmazi aur Hakim ne Saad Bin Abi Waqas RadiALLAHU Anhu se riwayet ki hai ke AnHazrat SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya ke “mein ek ese kalme ko janta hon ke koi maghmoom aur makroob shakhs is kalme ko parhega tou ALLAH Ta’ala uske gham ko us se dur kar dega aur wo kalma mere bhai Younus Alayhis Salam ka hai jo us ne tareeki mein kaha tha.”
Agar ap kisi bhi pareshani ya mushkil mein mubtila hain aur us se nikalne ka koi sabab nazar nahi aa raha tou aap ye amal shuru kijiye. Insha ALLAH, apki pareshani aur mushkil dur ho jayegi aur apko sukoon naseeb hoga.
Amal karne ka taeeqa
- Wuzu ki halat mein amal karein tou behtar hai warna baghair wuzu ke bhi kar sakte hain.
- Sara din mein chalte, phirte, uthte aur bethte ayat-e-Kareema ka kasrat se wird karte rahiye.
- Parhne ke bad apni muskil ke asaan hal ke liye ALLAH Azzawajal se du’a kijiye.
- Is amal ki muddat husool-e-maqsad tak hai.
Insha ALLAH, jald hi apki pareshani aur mushkil tal jayegi aur halaat apke haq mein ho jayenge. Ameen!
Ghaur talab: Khawateen ye amal haiz/ mahwaari ke dauran kar sakti hain.
ہر مشکل کے لئے مجرّب دعا
ترمذی اور حاکم نے سعد بن ابی وقاصؓ سے روایت کی ہے کہ آنحضرت ؐ نےفرمایا کہ میں ایکايسے کلمے کو جانتا ہوں کہ کوئی مغموم اور مکروب شخص اسکو پڑھےگا تو اللّٰه تعالیٰ اسکے غم کو اس سے دور کر دیگا اور وہ کلمہ میرے بھائی یونسؑ کا ہے جو اس نے تاریکی میں کہا تھا۔
تاہم جب بھی کوئی غم گھیرے تو آیتِ کریمہ کا کثرت سے ذکر کریں۔ غم سے ضرور نجات ملےگی۔ انشاء اللّٰه !
Du’a ki Qubooliyat ke liye Mufid Amal
Agar ap koi bhi esi hajat rakhte hain jis ke pura hone ka ap be sabri se intezar kar rahe hain tou ye amal apki hajat puri karne mein bohat madadgar sabit hoga. Apki hajat bohat jald aur asaani se puri ho jayegi. Insha ALLAH.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi ek farz namaz ke bad ap ye amal kar sakte hain.
- Sab se awwal wuzu kijiye.
- Jaye namaz par sajde ki halat ikhtiyar kijiye.
- Aur chalis (40) martaba apni ungliyon ke sath ishara karte huye Ayat-e-Kareema parhiye.
- Phir ALLAH Azzawajal se apni hajat talab kijiye.
- Rozana bila nagha ye amal kijiye.
- Is amal ki meyad takmeel-e-hajat tak hai.
Insha ALLAH, bohat jald apki du’a qubool ho jayegi aur apki hajat puri ho jayegi. Ameen!
Ghaur talab: Khawateen haiz/mahwaari ke dino mein ye amal na karein.
دعا کی قبولیت کیلئے مفید عمل
ایک شخص نے رسول اللّٰهؐ سے عرض کیا کہ یا رسول اللہ میری تعالیٰ کے پاس ایک حاجت ہے میں کس چیز کے ساتھ اللّٰه سے توسل کروں ؟ آپؐ نے فرمایا جس شخص کی اللّٰه تعالیٰ کے پاس کوئی حاجت ہو تو وہ سجدے میں چالیس مرتبہ اپنی انگلیوں کیساتھ اشارہ کرتے ہوئےآیتِ کریمہ پڑھے تو اسکی دعا ضرور منظور کی جائے گی۔
Har Gham se Nijat Pane ki Khas Du’a
Hafiz se hikayet hai ke maine ek badshah ke khazanon mein ek sandoqcha dekha. Is mein ek kaghaz tha jis par likha huya tha ke jis shakhs ko koi ghum paida go jaye tou wo rat ko 2 rakat nafal parh kar du’a mange ( du’a ka tareeqa niche bataya gaya hai), uska gham dur ho jayega.
Jab bhi koi ghum ya pareshani ghere tou is tareeqe se du’a karein. Insha ALLAH, apki pareshani aur gham khatam ho jayega.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi munasib waqt ye amal shuru kar sakte hain.
- Sab se awwal taza wuzu banaiye.
- 2 rakat nafal hajat
- Phir ALLAH Azzawajal se is tareeqe se khoob dil se du’a kijiye.
- Ay ALLAH! Tu ne apne Zun-noon ko jo machhli ke pait mein qaid the, لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ
kehne se du’a qubool ki aur unko gham aur maut se nijat di. Main tera banda tere Nabi SallALLAHU Alayhe Wasallam ki Ummat se hon aur Hazrat Younus Alayhis Salam ki is du’a ka wasta deta hon mujhe gham se nijat de jesa ke tu ne Hazrat Younus Alayhis Salam ko di thi.
- Ye amal jab tak apki pareshani dur nahi ho jati tab tak ap rozana kar sakte hain.
Insha ALLAH, kuch hi dino mein apki pareshani aur gham ka khatma ko jayega. Ameen!
Ghaur talab: Khawateen haiz/mahwaari ke dauran ye du’a nafal ada kiye baghair kar sakti hain.
ہر غم سے نجات پانے کی خاص دعا
حافظ سے ایک حکایت ہے کہ میں نے ایک بادشاہ کے خزانوں میں ایک صندوقچہ پایا۔ اس میں ایک ورق تھا جس پر لکھا ہوا تھا کہ جس شخص کو کوئی غم پیدا ہو جائے تو وہ رات کو دو رکعت نفل پڑھ کر یہ دعا پڑھے۔ اے اللّه! تو نے اپنے ذوالنون کو جو مچھلی کے پیٹ میں قید تھے لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ کہنے سے دعا قبول کی اور انکو غم اور موت سے نجات دی۔ میں تیرہ بندہ تیرے نبی کی امّت سے ہوں اور حضرت یونسؑ کی اس دعا کا واسطہ دیتا ہوں مجھے غم سے نجات دے جیسا کہ تو نے حضرت یونسؑ کو دی تھی۔
Har Pareshani ke Hal ke liye Mu’assir Du’a
Agar koi shakhs kisi gham, pareshani ya museebat mein mubtila ho gaya ho tou wo ye amal shuru kare aur iski fazeelat se apni museebat ka khatma hote huye dekhe.
Kin maqasid ke liye ye amal kiya ja sakta hai?
Mandarja zail maqasid ke liye ap ye amal kar sakte hain.
- Agar ap kisi bhi museebat ka samna kar rahe hon.
- Agar ap koi bhi esa jayez maqsad rakhte hon jo pura karna chahte hon par pura na kar pa rahe hon.
- Kisi kam mein nakami ka samna karna parh raha ho, us mein kamyabi hasil karne ke liye.
- Rozgar ke masail ke liye.
- Agar apko naukri se nikal diya gaya ho tou dubara naukri hasil karne ke liye ap ye amal kar sakte hain.
Amal karne ka tareeqa
- Tanha jagah par khamoshi ke sath ye amal karna hai jahan koi apke amal mein khalal na dal sake.
- Sab se awwal wuzu kijiye.
- Fajar ki namaz ada kijiye.
- 40 martaba khoob dehan ke sath Ayat-e-Kareema لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ ka wird kijiye.
- Phir apne maqsad ke liye khushu khuzu ke sath du’a kijiye.
- Lagatar 40 din tak ye amal karna hai.
Ye amal mujarrabaat mein se hai. Insha ALLAH, 40 din ke andar andar lazman apki pareshani ka hal nikal aayega. Ameen!
Ghaur talab: Khawateen haiz/mahwaari ke dino mein ye amal na karein. Jo din choot jayen unhe aage jod lein.
ہر پریشانی کے حل کے لئے مؤثر دعا
بعض بزرگوں نے بتایا ہے کہ جو شخص کسی مصیبت یا غم میں مبتلا ہو گیا ہو یا کسی مطلوب کو وہ حاصل نہ کر سکتا ہو یا اپنے منصب سے معزول ہو گیا ہو اور اسے پھیر لینا چاہتا ہو تو آیتِ کریمہ اکتالیس مرتبہ پڑھے اور پڑھنے کے دوران کسی سے کلام نہ کرے۔ تنہا جگہ پر پڑھے اور چالیس روز تک متواتر صبح کی نماز کے بعد بلا سکتہ پڑھے۔ مجربات میں سے ہے اور اسکا اذن عام ہے۔
Har Manzil ko Pane ki Munfarid Du’a
Har manzil aur maqsad ko hasil karne ke liye Ayat-e-Kareema ka ye amal bohat hi khas hai. Zindagi ke kisi bhi mod par kisi bhi mushkil se bachne ke liye ap ye amal shuru kar sakte hain.
Kin suraton mein ye amal karna chahiye?
Mandarza zail suraton mein ye amal bohat kargar sabit hoga.
- Kushada/khula rizq hasil karne ke liye
- Rozgar ke masail ke liye
- Kisi bhi gham se nijat ke liye
- Kisi bhi mushkil ko talne ke liye
- Hukkam aur Salateen ke zulm se hifazat ke liye
- Shetan ke shar se panah ke liye
Gharz ke kisi bhi jayez maqsad ke liye ap ye amal kar sakte hain.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi munasib waqt aur kisi bhi din ap ye amal shuru kar sakte hain.
- Mukammal taharat aur pakeezgi ki halat mein.
- Sab se awwal wuzu banaiye.
- Ek hazar (1000) martaba Ayat-e-Kareema parhiye.
- Phir apne maqsad ke liye roti hui aankhon se ALLAH Zille Shanahu se du’a kijiye.
- Ye amal rozana kijiye jab tak ke apka maqsad pura na ho jaye.
Insha ALLAH, is barkat wali du’a se apka har maqsad pura ho jayega. Har gham dur ho jayega. Behtareen rizq mile ga aur ap par ALLAH Ta’ala ki taraf se khairat ke darwaze khul jayenge. Har zalim ke zulm aur shetan ke shar se hifazat hogi. Ameen
ہر منزل کو پانے کی منفرد دعا
بعض اہل خواص نے کہا ہے کہ جو شخص آیتِ کریمہ کا ہر روز ایک ہزار بار ورد کرے وہ جس منزل کو چاہے گا پاۓ گا اور اللّه تعالیٰ اسکے رزق کو کشادہ کریگا اور اس پر خیرات کے دروازے کھول کر ہر قسم کے غم سے نجات دے گا اسکو سلاطین کے ظلم اور شیطان کے شر سے بچائےگا۔
Har Amar ke liye Ayat-e-Kareema ka Mujarrab-ut-Taseer Amal
Ayat-e-Kareema ka ye amal bohat mujarrab aur kamal ka asar rakhta hai. Kisi bhi amar/kam ke liye bohat mufid sabit hota hai. Isko parhna bhi bohat asaan hai kyunke ye amal koi mushkil sharait nahi rakhta. Bus zarurat hai tou tawajjuh aur kamil yaqeen ki. Halal kamon aur aqeedat-o-parhaizgari ki.
Agar apka koi bhi amar/kam mukammal nahi ho pa raha ya uske mukammal hone ki rah mein bohat si rukawatein aur dushwariyan aa rahi hain tou ap baghair koi dair kiya fauran ye amal shuru kijiye aur iski taseer dekhiye. Apka kam jhat se pura ho jayega. Insha ALLAH!
Ayat-e-Karima ka Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi munasib waqt ap ye amal shuru kar sakte hain. Din ka ek khas pehar is amal ke liye muqarrar kar lein tou behtar hai.
- Sab se awwal Khuloos-e-dil se wuzu banaiye.
- 11 martaba koi sab bhi ek Durood Shareef
- Phir intehayi aqeedat aur tawajjuh ke sath 12,000 martaba Ayat-e-Kareema parhiye
- Parhne ke dauran apne maqsad ko zehan mein rakhiye.
- Agar 12,000 martaba parhna apko mushkil lag raha ho tou ap 1,200 martaba bhi Ayat-e-kareema parh sakte hain.
- Aakhir mein dubara 11 martaba wohi Durood Shareef parhiye jo shuru mein parha tha.
- Phir apne amar ke pura hone ki du’a kijiye.
- Ye amal bila sakta 12 din tak kijiye.
Apka amal pura hote hi ap ke kam mein shamil sabhi rukawatein dur ho jayengi aur apka kam bakhoobi pura ho jayega. Ameen!
Ghaur talab: Khawateen haiz/mahwaari ke dino mein ye amal na karein. Jo din unke choot jayen unhe aage jod liya jaye.
ہر امر کے لئے آیتِ کریمہ کا مجرّب التاثیرعمل
آیتِ کریمہ بہت مجرّب التاثیر اور کمال الاثر ہے۔ جس امر میں چاہیں دعا کریں۔ شفاءالعلیل میں لکھا ہے کہ آیتِ کریمہ کے دو خاص اور آسان وظائف ہیں۔ ایک یہ کہ بارہ دن تک بہ نیتِ حصول مطلب بارہ ہزار بار پڑھیں۔ اگر یہ نہ ہو سکے تو بارہ سو بار پڑھیں۔ اوّل آخر گیارہ گیارہ بار درود شریف پڑھیں۔ آپکا امر لازماً پورا ہوگا۔ انشاء اللّٰه
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل قطعى نہ کریں۔
Har Khawahish ki Takmeel ke liye Ayat-e-Kareema ka Kamal-ul-Asar Amal
Agar apke dil mein koi khas khawahish janam le rahi hai ya phir barson se ap apne dil mein apni kisi khawahish ko dubaye chale aa rahe hain kyunke uske pure hone ki koi surat nahi dikhayi deti ya yun lagta ho ke uska pura hona namumkin hai tou namumkin ko mumkin karne ka waqt aa chuka hai. Fauran ye amal shuru kijiye aur ALLAH Azzawajal ki rahmat dekhiye. Ye bohat hi mujarrab amal hai aur iski quwwat-e-taseer pe koi shak nahi kiya ja sakta. Har khawahish ke liye bohat tezi se asar karta hai. Bus apki khawahish halal honi chahiye.
Ayat-e-Karima Wazifa Karne ka Tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi behtar waqt (siwaye zawal ke waqt ke) ap ye amal shuru kar sakte hain.
- Kamil taharat aur wuzu ki halat mein.
- Ayat-e-Kareema ko is tarah se parhna hai ke barah (12) dino mein ek lakh pachis hazar yani sawa lakh (1,25,000) martaba puri ho jaye.
- Parhne ke dauran apni khawahish ki niyat banaye rakhiye.
- Lagatar 12 din tak ye amal pura karein.
- Rozana parhne ke bad apni khawahish ki takmeel ke liye ALLAH Azzawajal se khuloos-e-dil se du’a kijiye.
- Agar ap akele ye amal nahi kar sakte tou chand hazrat ki majlis karwaiye aur mil kar sawa lakh (1,25,000) martaba parhiye.
Ye amal aag ki tezi ki tarah kam karega ke ap khud hairan reh jayenge aur Insha ALLAH, yaqeeni taur pe apki khawahish ki takmeel hogi. Ameen!
Ghaur talab: Khawateen haiz/mahwaari ke dauran ye amal qatayi na karein.
ہر خواہش کی تکمیل کے لئے آیتِ کریمہ کا کمال الاثر عمل
آیتِ کریمہ کو باوضو بارہ روز تک ایک لاکھ پچیس ہزار مرتبہ پڑھنا بہت زیادہ اہمیت کا حامل ہے۔ سوا لاکھ باراکیلےنہ پڑھ سکتے ہوں تو مجموعی ایک مجلس میں چند حضرات کو بلا کر پڑھوا لیں۔ جس مقصد کے لئے پڑھینگے وہ یقینی طور پر پورا ہوگا اس عمل کی قوّتِ تاثیر میں کوئی شک نہیں ہے
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل قطعى نہ کریں ۔
Jayez Hajaat ke Liye Ayat-e-Karima ka Be Misal Amal
Agar ap ek ya ek se zayadah hajaat rakhte hain aur unka pura hona apki zarurat aur khushi dono ka sabab ban sakta hai par unke pura hone ke koi asaar nazar nahi aa rahe tou ap jhat se ye amal shuru kijiye aur is mein di gayi sab sharait ko pura kijiye. Jayez hajaat ke liye ek be misal amal hai. Insha ALLAH, anqareeb apki hajaat puri ho jayengi.
Ayat-e-Karima Amal Karne ka Tareeqa
- Kisi bhi din ap ye amal shuru kar sakte hain.
- Ye amal khali makan mein karna hai.
- Mukammal taharat aur pakizgi ki halat mein karein.
- Pani ka bartan apne pas rakhein.
- Isha ki namaz ada kijiye.
- Jaye namaz pe qibla ruh bethe rahiye.
- Teen sou (300) martaba Ayat-e-Kareema ko nehayet aajzi aur aqeeedat se parhiye.
- Parhne ke dauran apne pas rakhe huye pani ke bartan mein bar bar hath daliye aur apne chehre aur badan par lagate jaiye.
- Phir ALLAH Ta’ala ki bargah mein ro ro ke apni hajat ki faryad kijiye.
- Esa ap ne rozana bila nagha 3, 7 ya 40 din tak karna hai.
Apki hajat kum se kum 3 aur zayadah se zayadah 40 din mein puri ho jayegi. Insha ALLAH!
جائز حاجات کے لئے بے مثال دعا
اگر کسی جائز حاجت كى طلب ہو تو آیتِ کریمہ کو تنہا شخص اکیلے مکان میں تین سو مرتبہ بعد نمازِ عشاء شرائطِ طہارت اور استقبالِ قبلہ کے پڑھے اور ساتھ پانی کا پیالہ بھر کر رکھ لے اور لمحہ لمحہ اس پانی میں اپنا ہاتھ ڈال کر اپنے بدن اور منہ پر پھیرتا رہے۔ تین، سات یا چالیس روز تک لگاتار یہ عمل کرتا رہے۔ انشاء اللّٰه حاجت ضرور پوری ہوگی۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
As salamu alaykum bhae!Allah apki umar me afiat k sath barkat ataa farmay aameen!bhae pls ek baat clearly bataden.aayate karima ka wazifa jo 1,25,000 baar padhna hai ….usme likha h akele ni to majlis bulakr padhsakte hain.bhae isme jitne log padhenge unka eksath ekwaqt me ek jagah baithkr padhna zaroori hai??ya door rehkr kuchh log padhden aur mai dua karlun aisa karskte hain?aur kya shadi k ly krsakte hain??pasand ki shadi..
Ayat e karima will show more and quick results if recited in one time and at one place. Rest depends on you.
Istekhara b positive aya he ab sb namumkin lag rha he wo badal gya he kisi or larki ne usy badal dya he m ayat karima ka wazifa krna chahti hu m chahti hu wo mujhse nikkah kr le 6 sal se unka intezar kr rhi hu un k father b razi nai hen m chahti wo b razi hojaen or rishta leke ayen plzzz imran bhai help karen meri
Check this link- https://www.yaallah.in/2017/03/03/instant-power-of-ayat-e-karima-wazifa-adhkar-virtues-benefits-fawaid/
Please translate to english
You will get English Version soon, Insha ALLAH. Stay with us.
sir main ya allah nikah istakhara kernay ke ejazate chahte hon
Agar ap yaALLAH.in ke follower hai to apko kisi bhi ‘ya ALLAH Dua Wazaif’ karne ki ijazat hai. Apko har martaba alag se ijazat lene ki zarurat nahi hai. yaALLAH.in ke member kaise bane? 1. Follow- http://www.yaALLAH.in/2015/04/03/follow-us/ 2. Like FB page and kindly rate your stars also- https://www.fb.me/yaALLAHyaRasul that’s it. You are now a member Alhamdulillah!
Assalamualaikum 12000 ayate Karima ek din se kar sakta hai Kya ek hajat ka liya
Clearly bataya hai wahan sis ke 12 din karna hai ye amal ap ne.
We hereby express our deepest thanks for having this site full of
knowledge and just truthful “Dua” and Wazifa.
We would like to have “Ayat-E-Karima Wazifa” in English.
Best and warmest greetings
Abdoulrahmaan
Jazak ALLAHU khair and I welcome your feedback. You will find the translations of ‘ya ALLAH Dua Wazaif’ of this page by today Insha ALLAH.
sALAM
IN FRENCH PLEASE
Jazak ALLAHU khair for asking me to translate ‘ya ALLAH Dua Wazaif’ in french. I welcome your feedback regarding ya ALLAH Website. Please do check by today Insha ALLAH.