Recently updated on November 24th, 2017
Du’a kya hai? Du’a abid aur Ma’abud ke darmiyan ek raast rishta hai jo ijz-o-inkesari ki buneyaad par chalta hai. Ye post Rules & Verdict of Making Dua Ahkam-o-Sharait mein ham du’a ke aham pahlu par Qur’an-o-Sunnah ki roshni mein guftgoo karenge.
Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Dua Ke Ahkam-o-Sharait Dua Kaise Qubul Ho? Rules & Verdict of Making a Prayer
Sometimes It might waves in your mind..
- What to say before making dua?
- How to Make Dua for Something you Really want?
- How to Make Dua after Prayer?
- How to Make Dua for Marriage?
- How to Praise ALLAH when making Dua?
- How to Make ALLAH accept my Dua?
- How to Make Dua after Namaz?
Roman English Version
Khaatamul Anbiya Hazrat Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam ka irshad-e-Mubarak hai,
‘’Kya tumhen wo amal na bataon jo dushmano se bachaye aur tum par bharpur rozi ke darwaze khol de.’’
Sahaaba Karaam ne arz kiya. Ay ALLAH ke Rasool SallALLAHU Alayhe Wasallam! Hamein is na’imat se mahrum na kijiye. Ye amal to hamare liye mo’ajjabe khair-o-barkat hoga.
Ap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya,
‘’Raat ki tarikiyon aur din ke ujaalon mein apne Rab se du’a maango. Ye amal bande ka khas hatheyar hi nahi balke ibadat hai.’’
ALLAH Ta’ala ka farman hai,
‘’Tum du’a karo MAIN qubool karunga.’’
Is tarah jis ne du’a ki us ne ALLAH ke hukm ki t’ameel ki. Ahkamaat-e-Khudawandi ko baja lana hi ibadat hai. Is hukm par ghaur kijiye. Is mein ALLAH Ta’ala ki kitni be-paayan Rahmat chupi hui hai.
Du’a to wo cheez hai jo ham apne liye maangte hain. Is mein Khalistan hamari gharz aur fayedah chupa hai. Lekin Wo du’aaon ko qubool karne Wala is darja Raheem-o-Kareem hai ke us ne du’a ko juzw-e-ibadat (ibadat ka khas hissa) bana diya.
Isi liye Mukhbar-e-Saadiq SallALLAHU Alayhe Wasallam ka Irshad-e-Mubarak hai,
‘’Du’a ibadat ka maghz hai.’’
Also Read
- What is Dua in Islam Make a Prayer Meanings
- Symptoms of The Day of Resurrection in Islam Nishaniyan Asar e Qayamat
Du’a Kya Hai?
What is Du’a?
Du’a abid aur Ma’abud ke darmeyaan ek raast rishta hai jo ijz-o-inkasari ki buneyaad par chalta hai. Banda jis qadar aajzi aur aqeedat ke sath girgira kar Bargaah-e-Ilaahi mein zuban khole ga, wo us darja pasandeeda aur mahboob hoga. Ma’abud is se khush hota hai ke banda apna sar Uske aage jhukaye. Dast-e-sawaal Uski Bargaah mein phailaye. Zuban-e-shukr Uski Janab mein khole. Isiliye Huzoor Akram SallALLAHU Alayhe Wasallam ka Irshad-e-Mubarak hai ke,
‘’Maalik-e-Arz-o-Sama ke paas koi chiz aur amal du’a se zyadah pasandeeda nahi hai.’’
Jam’e Tirmazi jo Hadees ki chhay mashoor aur mustanad kitabon mein se ek hai. Is mein Huzoor Paak SallALLAHU Alayhe Wasallam ki ek hadees darj hai.
Hazrat Abu Hurairah RadiALLAHU Anhu bayan karte hain ke jo shakhs ALLAH ke aage dast-e-sawaal daraaz nahi karta, Wo us se bohat naraz ho jata hai. Us ki ada dekhiye, Shaan-e-Rahmat ka kya niraala dhang hai. Insani fitrat to ye hai ke agar koi bar-bar maange to tabiyat mein chirchir-pan paida ho jata hai. Saayel (maangne wala) ka samne aana bhi gawara nahi hota. Is se aankhein chura leta hai. Anjaan ban kar nazr andaz kar deta hai. Suni-an-suni kar deta hai. Is ke bilkul bar’aks Wo Daata aisa Raheem-o-Kareem hai ke baar-baar maangne, daaman phailane, dast-e-sawaal daraaz karne se naraz nahi hota, balke khush hota hai.
ALLAH Tabarak Wata ‘Ala farmata hai,
‘’Bande ne apni museebat aur mushkil mein Meri taraf ruj’u kiya. Mujh ko Qaazi-ul-Hajaat jana. Musabbab-ul-Asbaab samjha. Mushkil Kusha kaha. Isliye Main uski dastgeeri karunga.’’
Hazrat Salman Farsi RadiALLAHU Anhu rawayet karte hain ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya,
‘’Jab banda Uske samne hath phailata hai to Usay is baat se sharam aati hai ke Apne mangte ko khaali hath lauta de.’’
- Har chiz hai musabbab sabab se maango
- Minnat se samaajat se adab se maango
- Kyun ghair ke aage hath phailate ho
- Bande ho agar Rab ke to Rab se maango
Hamare dilon mein aksar ye khayal paida hota hai ke jab ALLAH Ta’ala ne du’aaon ko qubool farmane ka wada farmaya hai to phir hamari du’aaen qubool kyun nahi hoti? Ye sawaal har zehan mein paida hota hai. Baz logon ke dilon mein tarah-tarah ke waswase bhi paida hote hain. Kuch bad-bakht ALLAH Ta’ala ki Zaat se bad-zan ho jate hain. Hamare is sawaal ka javaab Hadeeson ki dusri mashoor kitab Sahih Muslim main milta hai. Jahan ek misal ke zariye du’a ki qubooliyat ke zaroori lawazmaat ki tashreeh ki gayi hai.
Is hadees mein farmaya gaya hai ke ek shakhs safar ki museebatein bardasht kar ke thaka haara ek muqaddas jagah par pohanchta hai. Aur asmaan ki taraf hath utha kar du’a karta hai. Ay ALLAH! Ay Mere Maalik! Ae Mere Parwardigaar! Uski zuban par ye alfaaz hain aur halat ye hai ke uski parwarish haram maal se hui hai. Uska khana na-jayez zaraye se hasil kiya hua hota hai. Uske jism ki nash-o-numa luqma-e-haram ki marhoon-e-minnat hai.
Bhala aise admi ki du’a kaise qubool hogi. Wo lakh roye, lakh girgiraye, lakh museebatein utha kar muqaddas jagah par pohanche. Aise shakhs ki du’a ALLAH Ta’ala ki nazr mein maqbool nahi. Malum hua ke qubooliyat-e-du’a ke liye aisi zubanein chahiyen jinhon ne luqma-e-haram ki tameez ki. Halal rozi aur paak rizq khane wale hon. Halal aur haram ki tameez rakhte hon. Jayez zaraaye se apna aur apne bachchon ka pet paalte hon.
Ek Irshad-e-Nabvi SallALLAHU Alayhe Wasallam ka matlab kuch yun hai ke,
‘’ALLAH Ta’ala ko farz ibadaat ke bad sab se zyadah Bait-ul-ALLAH ka tawaaf pasand hai. Iske bad Uski nazr mein mahboob-tareen amal bande ka halal aur jayez tareeqon se rozi kamana hai. Bataya gaya hai ke aakhirat ke maraahel mein se sab se mushkil marhala Pul Siraat par se guzarna hai. Is mauqa par haram maal se duniya mein apne jism-o-jan ki parwarish karne walon ko Naar-e-jahannum is tezi se apni janib khainch legi. Jis tarah maqnatees lohe ke zarraat ko apni taraf khainchta hai.’’
Ham apni danist mein ye samajhte hain ke ham ne jo du’a ki, wo waisi ki waisi qubool nahi hui to goya ke wo rad ho gayi. Ye khayal darust nahi hai. Hamara ilm mahdud aur naaqas hai. Hamein pata nahi ke konsi du’a hamare liye nuqsaandeh aur konsi fayedamand hai. Wo Zaat jis ke aage ham ne girgira kar du’a ki hai, Aleem-o-Khabeer hai. Wo behtar janta hai ke bande ke liye konsi baat muzir (nuqsaandeh) hai aur konsi mufeed. ALLAH jo Ra’oof-o-Raheem hai. Apne du’a maangne wale mohtaj aur bebas bande ko yaksar mahroom nahi rakhta. Balke aksar Apni Rahmat se wo sab kuch ata karta hai jo us ne maanga hai.
Agar wo uske haq mein mufeed nahi to us du’a ke badle usay aakhirat ki nekiyan ata karta hai. Is tarah uski maangi hui du’aaen zaaya nahi hoti balke aakhirat ka zakhira ban jati hain.
Ek jagah ye bhi irshad hua hai ke du’a zamin se asmaan ka rukh karti hai aur raste mein asmaanon se nazil hone wali balaon se gutham-gutha ho jati hai. Yun hamari mangi hui du’aaen balaon ko taalne ka kaam karti hain.
Hukm hai jab banda du’a ke liye hath uthaye to uska dil yaqeen se ma’amoor ho. Ye yaqeen ke du’aaon ko Sun-ne Wala uski du’a ko bhi zaroor qubool farmayega.
ALLAH ke Rasool SallALLAHU Alayhe Wasallam ne ek shakhs ko du’a karte hue suna. Us ne Rabbul ‘Aalameen ki Hamd ki na Sana, Rasool SallALLAHU Alayhe Wasallam par Salam bheja na Durood. Ap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne Sahaaba Karaam se farmaya ke is shakhs ne du’a mein ujlat (jald-baazi) se kam liye. Ap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne us Sahabi ko talb farmaya aur sab ke samne usay du’a ka tareeqa batlaya.
‘’Irshad hua jab tum mein se koi shakhs du’a ka irada kare to yaqeen ke sath dono hathon ko seene tak buland kare. Hatheliyon ka rukh asmaan ki taraf ho. Dono hath ek dusre se jure na hon bulke unke darmeyaan kuch faasla ho. Sab se pahle ALLAH Ta’ala ki Hamd-o-Sana kare. ‘’Alhamdulillahi Rabbil ‘Aalameen’’ Hamd-o-Sana se pur behtareen jumla hai. Iske bad Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam par Durood bheje. Phir Arhamar Rahimeen se jo chahe apne liye mange. Pahle apni zaat, apne ahal-o-ayaal, aziz-o-aqaarab phir dusron ke liye du’a kare. Du’a mein bukhal (kanjusi) se kam na le. Jis ke aage wo hath phaila raha hai uske khazana-e-Ghaib mein sab kuch hai. Zyadah maangne se us mein koi kami nahi hoti. Du’a khatm kar le to apne phaile hue hathon ko is yaqeen ke sath chehre par phere ke ALLAH ki Rahmat-o-Barkat ka kuch hissa is mein zaroor daala gaya hai.’’’
Hazrat Abi Zat Yar Nameeri RadiALLAHu Anhu se rawayat hai ke ek raat ham ALLAH ke Rasool SallALLAHU Alayhe Wasallam ke sath Masjid-e-Nabvi SallALLAHU Alayhe Wasallam se bahar nikle to hamara guzar ek shakhs ke pas se hua. Jo nehayat izj-o-inkesaar se ALLAH ke Huzoor ro-ro kar du’aaen kar raha tha. ALLAH ke Nabi SallALLAHU Alayhe Wasallam us muqam par thahar gaye aur uski alhaa-o-zaari se pur du’a sunte rahe. Phir farmaya agar is shakhs ne du’a ka ikhtataam thik taur par kiya, sahih mohar aur thappa lagaya. To samajh lo us ne jo kuch Bargaah-e-Haq se maanga hai, uska apne haq mein faisla karwa liya.
Ham mein se ek ne pucha, ya Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam du’a ke sahih khaatme aur us par theek mohar lagane ka kya tareeqa hai?
Irshad hua sab se aakhir mein lafz Ameen kah kar du’a khatm karo. Ye goya du’aaon ke khat ko sarbamohar karne ka tareeqa hai. Yani ye lafz du’aaon ki qubooliyat ka zariya banta hai.
Popular yaALLAH Dua Wazaif
To Download this Image ‘right click’ and click on ‘save image…’
Du’a ki Qubooliyat ke liye Mutbarrak Lamhaat
Best Time for Acceptance of Dua/Prayers
Nizam-e-zamaan-o-makaan mein ALLAH Ta’ala ne chand mahine, chand din, chand ratein, chand sa’atein aur chand lamhe bare mutbarrak banaye hain. Jin ke dauran agar suchche dil se du’a maangi jaye to kabhi rad nahi hoti. In khas auqaat mein jo du’aaen maangi jayen, wo dar-e-qubooliyat khatkhataati hain. ALLAH Zille Shanahu zaroor in du’aaon ko qubool farmata hai.
- Ramzan ka maheena
- Jum’ah ka din
- Jumu’ah ke Khutbah ke darmiyan ka waqfa
- Lailat-ul-Qadr
- Raat ka pichla paher
- Iftaar ke lamhaat
- Azaan aur aqaamat ke darmeyaan ka waqfa
- Farz namaz ada karne ke bad ka waqt
- Kalaam ALLAH ka daur mukammal kar ke maangi jane wali du’aaen
- Asmaan se baraan-e-rahmat nazil hone ka waqt maangi jane wali du’aaen. Yani Barish hote waqt.
- Ka’aba Shareef ke samne maangi jane wali du’a
- Hajj aur Arfaat ke qayaam wale din
In khas lamhaat mein du’a mangne ki khas fazilat bayan ki jati hai. Kyunke in lamhaat mein maangi jane wali du’a zaroor asar dikhati hai.
Shabb-e-qadr, waqt-e-iftaar aur jum’ah ke din ek khas ghari aisi hoti hai ke us waqt maangi hui du’aaen kabhi rad nahi hoti.
Raat ka pichla waqt jab ke duniya khawab-e-khargosh ke maze leti hai. Koi ALLAH se darne wala banda jismo ki garmi aur bistar ki narmi chhor kar tahajjud ke liye uthta hai. Aur ALLAH ke Huzoor sajda-rez ho kar du’aaen maangta hai to us waqt du’aaen qubooliyat se hamkanaar hoti hain.
Wo waqt jab asmaan se baraan-e-rahmat ka nazool ho raha ho, (barish ho rahi ho), wo khushqismat lamha jab Ka’aba Shareef nazron ke samne ho. Aise waqt mein hath ko uper utha kar du’a maangne ka hukm hai.
Hajj aur Arfaat ke qayam wale din dil ki gahraiyon se nikli hui du’aaen rahmat ke khazane loot-ti hain. Ye muqam, waqt aur gird-o-pesh ALLAH ke khazane ka waqt hai. Sara mahol rida-e-rahmat ki lapet mein hota hai. Qubooliyat khud bande ka istaqbal karti hai. Wo lazzat-o-suroor hota hai ke lafz-o-bayan mein iski akaasi mumkin nahi.
Du’aaon ke Asraat
Find How to Get your Prayers Answered by ALLAH-Ask Accept Dua here.
Insan chunke makhluqaat ke zumre mein hote hue bhi ALLAH Ta’ala ki nazr mein deegar makhluqaat se zyadah balke kayi guna zyadah mahboob hai. Isliye insan ka ikhlaqi balke fitri haq hai ke wo apna taluq sab se zyadah ALLAH Ta’ala se mazbut rakhe. Har dam ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ka shukar ada karta rahe. Aur ALLAH Zillle Shanahu se isi tarah mohabbat kare jaise ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ki Zaat-e-Aali ka haq aur taqaaza hai.
Khushiyon aur pareshaniyon ke waqt ALLAH Ta’ala ko yad karne se khushiyon mein izafa aur pareshaniyon ka khatma ho jata hai. Ye haqeeqat kisi daleel ki mohtaj nahi hai ke ALLAH Ta’ala bande se itna qarib hai ke jitni qarib shah-rag bhi nahi hai. Wo bande ke dil mein paida hone wale khayalaat-o-jazbaat ko itni wazahat se janta hai jaise ke suraj ki roshni mein nazr ane wale ruye zameen ki numayan cheezein wazeh taur par malum hoti hain.
Jo ALLAH Ta’ala tamam Qudarton aur Taaqaton ka Maalik hone ke bawajud insan se is qadar mohabbat rakhta ho. Aur is qadar Apna qurb zaher karta ho ke Wo to shah-rag se bhi zyadah qarib hai. Wo apne qurb ke izhaar ke zaman mein ye ishara bhi dena chahta hai ke agar koi museebat ya pareshani darpesh ho. Ya koi khushi-o-shaadmani ka bayes samne aaye to Us qareeb-tareen Maalik ka haq sab se muqaddam hai ke Us ko yad kiya jaye.
Aur yun bhi insani fitrat ka taqaaza hai ke jab koi na-gahaani surat pesh aati hai to wo fauri taur par apne qareeb-tareen parosi ko awaz deta hai ke wo uski madad kare. Kyunke wo is bat par aitmaad rakhta hai ke wo iska parosi hai. Jis waqt bhi madad talb karunga to wo madad karega. Theek isi tarah jab koi khushi ka mauqa hota hai to bhi apni khushiyon mein shirkat karne ke liye aur apni khushiyon ko daubala karne ke liye usay daawat deta hai.
Phir to taqaaza-e-fitrat yahi thahra ke ALLAH Ta’ala ko har waqt yad rakha jaye. Aur sirf yad rakhne tak hi hamari ye bat mukammal nahi ho jati balke ham ye batana chaheinge ke khushi aur pareshani ke mauqa par ALLAH Ta’ala ko ko yad karne se kis tarah khushiyon mein izafa aur pareshaniyon mein khatma ho jata hai.
Tamam Ahl-e-Imaan ko abhi se ye pukhta niyat kar leni chahiye ke jab bhi koi mushkil darpesh ho to sirf Usi ek ALLAH ko pukareinge. Aur Usi ko yad kareinge. Isi tarah khushiyon aur shadmaani ke hawale se bhi sirf Usi ALLAH ko yad rakhna chahiye, taa ke hamari khushiyon mein izafa ho.
Zail mein ham apne Aslaaf-e-Saleheen ki zindagiyon se kuch iqtabasaat pesh karna chahte hain. yahan se hamein malum hoga ke ALLAH Tabarak Wata ‘Ala Apne bandon par kis tarah rahmat nazil farmata hai. Ye bhi malum hoga ke hamein kin alfaaz mein aur kis andaaz mein apne Rab se du’a karni chahiye. Iske sath-sath hamein apne Aslaaf ki is azmat ka pata chalega ke jis ki barkat se bare-bare ma’arke ba-asaani sar kar liye gaye. Aur bari-bari karaamton ka mushahidah duniya ki aankhon ne kiya hai.
Hazrat ‘Ala Bin Al-Hazrami RadiALLAHU Anhu jo mashoor Sahaaba mein se hain. ALLAH ne unka intekhaab Sa’aadat-e-Darain ke liye farmaya. Chunache Alama Burhaan-ud-Deen Halbi Rahmatullah Alayh ne apni mashoor-e-zamana Tasneef Seerat-e-Halbiya jeem 2/109 par inka tazkirah karte hue likha hai. Ap buzurg Sahaaba mein se the. Kaha jata hai ka ap Mustajaab-ud-Du’a the. Ek martabah ka qissa hai ke ap Hazrat Umar RadiALLAHu Anhu ke zamana mein ek fauji daste ke ameer the. Raaste mein dariya waq’e tha. Ap ne sathiyon samet dariya mein ghore daura diye. Tareekh mein hai ke dariya khushk ho gaya hatta ke ghoron ki taapon se ghubaar urti hui nazr aati thi.
Ye us du’a ki barkat batlayi jati hai jo Hazrat ‘Ala Bin Al-Hazrami Rahmatullah Alayh ne ALLAH Tabarak Wala ‘Ala se ki thi. Du’a ye hai,
‘’Ae Buland Martabe Wale, Ae Hikmat Wale, Ae Bulandiyon Wale, Ae Azmat Wale, Ham Tere bande hain aur tere raaste mein nikle, Tere dushman se larte hain. Ae ALLAH hamein unki taraf jane ka raasta ata karna.’’
Ye dar-haqeeqat us maqbool du’a ki taseer thi ke dariya ko ghoron ne daurte hue aise aboor kiya ke dariya khushk ho gaya aur wahan se gard urne lagi.
Isi tarah ka waqe’a Tab’ee Hazrat Abu Muslim Al-Khaulaani Rahmatullah Alayh ke sath bhi pesh aya tha. Jab ke wo Romiyon ke sath jang mein masruf the. Dauran-e-safar ek dariya darmeyaan mein hayel ho gaya jo bohat was’ee tha. Dariya ke paar dushman ki fauj thi. Hazrat Abu Muslim ne ye du’a ki,
‘’Ae ALLAH! Tu ne Bani Israeel ko dariya aboor karaya tha to ham Tere bande hain aur Tere raaste mein hain, to aaj ke din hamein bhi is dariya ko aboor kara de.’’
Iske bad ap ne apne sathiyon se kaha ke ALLAH ka Naam le kar dariya aboor kar jao! Phir tamam sathi apne-apne ghore le kar dariya mein kood pare aur pani ghoron ki peeton tak bhi nahi pohancha.
Is se mlilta-julta ek aur waqe’a bhi hamare Aslaaf ki tareekh mein raqam hai. Jiska taluq bhi Hazrat Umar RadiALLAHU Anhu ke zamana-e-khalafat se hai.
Marawwi hai ke Hazrat Abaid-us-Saqfi Taab’ee Rahmatullah Alayh jo ke apne Lashkar ke Sippa Salaar the. Ek jangi muhim ke dauran Dariya-e-Dajla unke raaste mein hayel ho gaya. Aur dushman dariya ke dusre sahel par tha. Us waqt Hazrat ne ye du’a parhi.
Tarjuma:
‘’Koi bhi nafs ALLAH ki marzi ke baghair muqarrarah waqt se pahle nahi mar sakta.’’
Phir ap ne ALLAH ka naam liya aur ghora dauraate hue dariya mein kood pare. Phir ap ke naqsh-e-qadam par pura lashkar dariya mein kood para. Jab ye hairat-anghez manzar ajmiyon ne dekha to cheekh pare. ‘’deewaana deewaana’’ ya’ani majnu aur pagal log aa gaye. Phir dushman maidan chhor kar bhaag khare hue. Musalmanon ne inka ta’aqub kar ke unko bari ta’adaad mein maut ke ghaat utaar diya. Aur bohat sa samaan-e-ghaneemat jam’a kiya.
Taaham is baat mein kisi shuba ki gunjayesh nahi ke du’aaen bilkul theek-theek asar dikhlati hain.
Popular Read
- Surah Fatiha Islam Way Benefits Healings in Quran
- Al Fatiha Islamic Wazifa for Hajat Maqsad Wishes Desires
Du’a ki Fazilat
Benefits of Making Prayer to ALLAH
Du’a ke ma’ani pukaarne aur bulaane ke hain. Matlab ye hai ke apni hajat ke liye ALLAH Ta’ala ko pukaara jaye taa ke Wo us zaroorat ko puri kare.
ALLAH Zille Shanahu ka farmaan hai,
Tarjuma:
‘’Mujhe pukaaro Main tumhaari du’a qubool karunga.’’
(Surat Al-A’iraaf)
Aur farmaya,
Tarjuma:
‘’Jab pukaarne wala Mujhe pukaarta hai to Main uski pukaar ko qubool kar leta hun.’’
Mazeed farmaya,
Tarjuma: ‘
’Aur Apne Parwardigaar ko girgira kar aur chupke-chupke pukaaro.’’
(Surat Al-A’iraaf)
Farmaan-e-Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam
Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam du’a ki fazeelat bayan karte hue farmate hain ke,
‘’Du’a hi ibadat hai.’’
(Tirmazi Shareef)
‘’Du’a ibadat ka maghz-o-guda hai.’’
(Mishkaat-o-Tirmazi)
‘’Du’a momin ka hathiyaar hai.
(Mustadrak Hukam, Hasan Husain)
‘’ALLAH Ta’ala ke nazdeek du’a se zyadah izzat wali koi cheez nahi hai aur du’a taqdeer ko bhi pher deti hai, du’a har museebat ko rokne wali hai.’’
(Mishkaat-o-Tirmazi)
‘’Jo ALLAH se nahi maangta ALLAH us se na-khush hota hai.’’
(Tirmazi Shareef)
Duniya ke log maangne se na-khush hote hain magar ALLAH Ta’ala maangne se khush aur na maangne se na-khush hota hai. Kisi insan se apni hajat mat maango. Us se maango jiske Karam aur Sakhaawat ke darwaze har waqt khule rahte hain, band nahi hote.
Insan aur ALLAH Ta’ala ke darmeyaan yahi farq hai. Agar ALLAH Zille Shanahu se maangna chhor do ge to ALLAH na-khush ho jayega. Jab ke insan se maangne par insan gharoor ka shikaar bhi hota hai aur naraz bhi. Taa-ham Us Rab se jitna zyadah maang sakte ho maango, Us ke Ghar mein kisi cheez ki kami nahi hai. Wo deta hai aur deta hi chala jata hai. Bas hamein maangne ka saleeqa hi nahi aata.
ALLAH Ta’ala Ne Har Bimari ki Shifa Farmayi Hai
ALLAH has revealed the Cure of Every Disease
Hazrat Usaama bin Shareek RadiALLAHU Anhu farmate hain. Maine dekha dehaat wale, Nabi Kareem SallALLAHU Alayhe Wasallam se puch rahe hain ke is baat mein bhi hamein gunah hoga? Us baat mein bhi hamein gunah hoga?
Aap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne irshad farmaya,
‘’ALLAH ke bando! ALLAH Ta’ala ne kisi baat mein gunah nahi rakha albatta apne bhai ki aabroo-rezi (usko bura bhala kahna) gunah hai.”
Phir kahne lage agar ham ilaaj na karein to hamein gunah hoga?
Aap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya,
‘’ALLAH ke bando! Ilaaj kiya karo kyunke ALLAH Paak ne burhaape ke ilawa jo bhi bimari paida ki, uska ilaaj bhi paida farmaya.’’
Kahne lage, Ae Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam! Bande ko sab se achhi cheez kya ata ki gayi?
Aap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya,
‘’Khush khalqi’’ (achha ikhlaaq)
(Sanan ibne Maaja, baab maa anzalallah daa-ala anzalallah-ush-shifa)
Gunah Kise Kahte Hain?
What is Known as a Sin?
Abu Amaama se rawayet hai k ek aadmi ne Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam se sawaal kiya ke imaan kya hai?
Ap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya,
‘’jab neki tumhen musarrat bakhshe aur badi tumhen gham mein mubtila kar de tab tum momin ho.’’
Us ne kaha, ya Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam! Gunah kise kahte hain?
Aap SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya,
‘’Jab tumhare dil mein koi cheez khhatke to usay chhor do.’’
(Ahmad, Mishkaat)
Mulaqaat ke Adaab
Ettiquettes of Meeting Someone
- Muskuraate chehre se mulaaqati ka istaqbaal kijiye.
- As Salamu Alaykum se mulaqaat ka aaghaaz kijiye, ye bohat jaam’e alfaaz hain.
- Mulaqaat ke liye jate waqt saaf-suthre kapre pahen ke jaiye. Lekin wo aise na hon ke dusre ko mar’oob karne ki koshish ki jaye.
- Koshish kijiye ke milne se pahle waqt tay kar lein. Bila-itla’a aur bila-ijazat jana munasib nahi.
- Mulaqaat mein matlab ki baat karein. Mauz’u khatm ho jaye to khawa-makhawa na baithe rahein.
- Kisi se milne jayen to tohfa sath le kar jayen. Is se mohabbat barhti hai.
- Dusron ki baat zyadah suniye, khud kam baat kijiye.
- Aise waqt mein kisi ke paas na jayen jo uske araam ka waqt ho.
- Guftagu ke dauran dilchaspi zaher karein na ke bezaari.
ALLAH ka Sahara Dhoondo
Search for The Help of ALLAH
Find Muslim Prayer for Help from ALLAH here.
Muslim University Ali Garh mein namaz na parhne par Musaaman taliba ko saza milti thi. Maulana Abu Bakar Shauba-e-Deeniyaat ke Incharge the. Tulba un se jurmana mu’af karane aate to wo baaton-baaton mein ghair-hazri ki wajah ka andaza lagate. Rasheed Ahmad Siddiqi Marhoom likhte hain ke Maulana aise tulba ko ye kah kar tanbeeh karte ke Miyan! Tumhara ye zamana azaadi aur be-fikri ka bhi hai aur pabandi aur mehnat ka bhi. Bare hoge to aaj ki fursaton aur ghaflaton ko yad kar ke khush ya ranjeedah hoge.
Dekho! ye zamana ghaflat mein mat ganwao. Aaj dukh dard mein maa baap, buzurgon aur sar-paraston se taqwiyat hasil hai. Jab wo nahi rahenge tab bhi sahaare ki zaroorat yaqinan paregi. Isliye abhi se ALLAH ka sahaara dhoondo taa ke us waqt pachhtaawa na ho. Jao jurmana mu’af!
Dua Ke Ahkam-o-Sharait Dua Kaise Qubul Ho? Rules & Verdict of Making a Prayer
Urdu Version
دعا اور اسکے احکام
خاتم الانبیاء حضرت محمد صلی اللّٰه علیہ وسلم کا ارشادِ مبارک ہے،
کیا میں تمہیں وہ عمل نہ بتاؤں جو دشمنوں سے بچائے اور تم پر بھرپور روزی كے دروازے کھول دے۔
دعاکیا ہے؟
دعا کی قبولیت كے لیے متبرک لمحات
Powerful Taweez To Get Back Lost Love yahan dekhein.
دعاؤں كے اثرات
دعا کی فضیلت
اللّٰه تعالیٰ نے ہر بیماری کا علاج نازل فرمایا ہے
گناہ کسے کہتے ہیں؟
ملاقات کے آداب
اللّٰه کا سہارہ ڈھونڈو
Method of Khatme Khwajagan yahan dekhein.
Hum bachnpan sy karachi m rehty hain ab parents shift ho rahy Hain Lahore or hum 3ino sister ki shdi b wanhe krna chahty Hain or hum Karachi krna chahti Hain Mera sawal h k koi dua ya wazifa bta dyn k humry parents dil sy man jyn..or humry achy ghr m rishty hojyn…
Ap ye wazifa karein- https://www.yaallah.in/category/duas-wazaif/spiritual-healings/top-wazaif/surah-fatiha-amal/
Assalamoalekum,
Janab Imran Bhai.
Mujhe Allah ne Beta Ata Farmaya hai
us ka nam rakhna hai
Dt. 22. Nov.2017. 2.Rabiul Awal.
Day. Wednesday. Budh ka din.
Time. 3.20.pm
Aap se Guzarish hai k mere bete k liye naam Sujest karye.
Shukriya.
Khawaja Shoebullah Khan.
Sab se pahle to apko bete ki bohat-bohat mubarakbaad bhai. ALLAH apke bete ko lambi zindagi aur achha naseeb ata kare, ameen. Ap yahan se apne bete ke liye apni pasand ka naam select kar lein- https://www.yaallah.in/2015/04/09/naming-the-child-in-islam/
Assalamoalaikum imran bhai
Mjhe aap se zaruri baat kehni hai….near about more than one yr bck i started box wala wazeefa pasand ki shadi ke liye….ab tk meri shadi nahi hui na baat strt bhi hui hai….isliye mai dusra wazeefa krna chahti hu kyunki jisse shdi krni hai uski job lgne me rukawat aa rhi hai bht …..plz mjhe btaye ki mai box wala wazeefa stop kr du kya aur uss likhi hui ayat ka kya kru….kahin stop krne se bd effect to nhn ayega na….plz do reply…..mjhe jldi result chahiye
Box wale amal ko ap jari rakhein aur uske sath mein ek aur amal shuru kar dein agar apka istikhara positive hai sis.
Mai dusra wazeefa kar rhi hu usme shart hai ki mai koi aur wazeefa nahi kar skti isliye box me rakhi hui ayat ko kya mai dafan kar du…dafan krne se kuchh bura asar to nhn hga na
Kar dein dafan, aur salatul taubah ada kar lein- https://www.yaallah.in/beautiful-islamic-quotes-with-prayer-of-forgiveness/
Insha ALLAH, nuqsan nahi hoga.
Please follow the Website- https://www.yaALLAH.in/follow-us/ and also like and rate your stars on https://m.me/yaALLAHyaRasul and https://www.fb.me/alimraanraza
salaam imran bhai kisi insaan se pichha chhodane ka koi wazifa bataiye
Yahan se ek amal kar lein ap- https://www.yaallah.in/category/duas-wazaif/worldy-problems/remove-enemies/