Recently updated on September 10th, 2017
Death, this word shivers you when you feel from the core of your heart. Who is on the death bed is aware what he is going through. In Islam, what happens during and after death, you will get to know when curtain comes down. Do good deeds to make this opportunity golden and balmy. May ALLAH forgives entire Ummah and those who are reading this, Ameen.
Facts and Secrets After When a Man Dies
﷽
Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Maut ke Raaz-o-Haqiqat
Malik-ul-Maut Hamare Sath Kya Karti Hai?
What Happens After Death in Islam, Facts & Truths
Islam Mein Maut ki Haqiqat
Roman English version
Maut ek aisi raah hai jis se har zi-ruh ko guzarna hai. Ibtada-e-afreenash (is kayenaat ke aghaaz) se qaza-o-qadar ka silsila jari hai. Aur har zi-ruh ko maut ka zaiqah chakhna hai. Maut ek atal haqiqat hai jis se koi inkar nahi kar sakta. Lekin har shakhs ke zehan mein ye saval paidah hota hai ke maut kya hai? Ruh kya hai? Aur marte waqt insan par kya guzarti hai? Aur marne ke ba’ad kya hota hai? Hamare mazhab Islam mein in tamam baton ke javab maujud hain. Read about the lovely personality of our Beloved Prophet Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Maut ke ba’ad har shakhs ko apne a’imal ke mutabiq ALLAH Ta’ala ki jaza aur saza ka maza chakhna hai. Chahe wo qabr mein mile ya Roz-e-Mahshar mein. Ham mein se har shkahs ko qabr mein bhi apne achhe aur bure a’imal ki javab-dahi ke liye tayar hona hai.
Har gunahgaar shakhs ko qabr mein azab hota hai. Aur har nek shakhs par qabr mein ALLAH Ta’ala ki taraf se ina’amaat nazil hote hain. Agarchah insani ankh use dekh nahi sakti. Yahan se dekhiye Masjid-e-Nabvi ki Khubsurat tasaavir
Zail mein barzakh ke ahwaal, qabron ke halaat, qabron ki zyarat aur mayyat ke aisal-e-savab se mutaliqa amur aur qabr ke azab-o-rahat par mushtamil waqeyaat bayan kiye ja rahe hain. In waqeyaat ka maqsad sirf ye hai ke tamam musalman inhe padh kar nasihat aur ibrat hasil karen aur apni aqbat achhi banane ka mauqa hath se na jane dein. Kaaba Shareef ke dilkash wallpapers dekhiye.
Maut ki haqiqat kya hai?
Ahal-e-ilm ka irshad hai ke maut sirf fana hone ka nam nahi hai. Maut tou ruh ke taluq ke khatme ka nam hai. Aur ek hijab/pardah hai jo ruh aur badan ke darmeyan qayam ho jata hai. Goya ek ghar se dusre ghar intaqaal kar jane ka nam maut hai. Parhiye Prayer for Forgiveness Astaghfar in Islam
Ek Wa’az
Abul Sheikh ne apni tafsir mein aur Abu Naeem ne Bilal bin Sa’ad se riwayat kiya hai ke unho ne apne wa’az mein kaha.
“Ae dayemi zindagi ke talibo! Tum fana ke liye takhliq nahi kiye gaye. Tum abdi zindagi ke liye takhliq kiye gaye ho. Ek ghar se dusre ghar ki janib muntaqil hone ke liye takhliq kiye gaye ho.”
Tibrani ne Kabir mein, Hakim ne Mustadrak mein Hazrat Umar bin Abdul Aziz se riwayat kiya hai ke.
“Tum hamesha ke liye takhliq kiye gaye ho. Ek ghar se dusre ghar ki taraf intaqaal kar jate ho.”
Maut Momin ke liye Tauhfah hai
Maut momin ke liye ALLAH Ta’ala ki taraf se ek taufah hai. Kyunke momin maut ke bayes akhirat ke ajar-o-savab ka haqdaar ban jata hai.
“Hazrat Abdullah bin Umru Radi ALLAHU Anhu riwayet karte hain ke Rasool ALLAH SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya ke momin ke liye maut tauhfah hai.”
(Sha’abul Imaan)
Ibn Abi Shibah ne apni tasnif mein Hazrat Abdullah bin Umru Radi ALLAHU Anhu se riwayat kiya hai ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya ke,
“Duniya momin ke liye qaid khana aur kafir ke liye jannat hai. Jab momin wasal kar jata hai tou uska rasta kushadah kar diya jata hai. Wo bahisht mein jahan chahta hai sair-o-seyahat karta hai.”
Maut ki Sakhtiyan
Imam Bukhari Rahmatullah Alayh ne Hazrat Ayesha Radi ALLAHU Anha ki ye riwayat naqal ki hai. Wo farmate hain ke,
Rasul ALLAH SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya,
“ALLAH ke siwa koi Ma’abud (haqiqi) nahi, beshak maut ki bauhat sakhtiyan hain.”
(Sahih Bukhari, kitab al-mughazi, Hadees 4449)
Popular Readings
- How to Get your Prayers Answered by ALLAH-Ask Accept Dua
- Rights of Women in Islam Muslim Khawateen Ke Huqooq
Maut ke ba’ad Jism ki Halat
1- jandal Bijli Radi ALLAHU Anhu riwayat karte hain ke maut ke ba’ad sab se pahle insan ka pet sad kar badbu-daar ho jata hai.
(Bukhari Shareef)
2- Wahab bin Munabbah Radi ALLAHU Anhu riwayat karte hain ke agar ALLAH ne jism murdah ka sadna muqaddar na kiya hota tou log murdah ko ghar mein rakh lete.
(Abu Naeem)
3- Zaid bin Arqam Radi ALLAHU Anhu riwayat karte hain ke ALLAH Ta’ala ne farmaya,
“Maine teen batein muqarrar kar di hain. Maine murdah par keedon ko muqarrar kar diya hai. Agar ye bat na hoti tou log apne badshahon ko sone chandi ki tarah khazane mein rakhte aur jism be-ruh ka bigadna aur sadna bhi muqaddar kar diya hai. Agar ye bat na hoti tou koi aziz apne kisi aziz ko dafan na karta aur maine gamgeen ka gham dur kar diya hai. Agar ye na hota tou kisi ko apne aziz ki maut ke gham se kabhi rahayi na milti.”
(Ibn-e-Asakar)
4- Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu riwayat karte hain ke Huzoor Akram SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya,
“Maut ke ba’ad har azu gal jata hai. Sirf ek haddi baqi rahti hain, usi se qayamat ke din takhliq hogi.”
(Muslim Shareef)
Maut se pahle apne Muqam ka Mushahda karna
Ibne Marduya aur Ibne Mandah ne Hazrat Ibn Abbas Radi ALLAHU Anhu se riwayat ki hai ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya,
“Jab tak koi admi apna muqam jannat ya dozakh mein na dekh le tab tak wo duniya se rukhsat nahi hota.”
Phir farmaya,
“Jab admi aalim-e-naza mein hota hai tou Malayka ki do safein khadi ho jati hain. Unke chehre suraj ki tarah roshan hote hain. Tou wo murdah unhe dekhta hai aur koi nahi dekh sakta. Agarchah tum yahi samjhte ho ke murdah tumhari janib dekhta hai.” yaALLAH ke tamam short wazaif dekhiye.
Maut ke Waqt Momin aur Kafir Farishton ko dekhte hain
Alama Ibn Jarir ne apni tafsir mein Hazrat Ayesha Radi ALLAHU Anha se riwayat naqal ki hai ke Huzoor Akram SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka irshad hai ke,
“Maut ke waqt momin farishton ko apni ankhon se dekhta hai. Wo farishte kahte hain ke agar tumhari khawahish duniya mein rahne ki ho tou ham tumhen duniya mein rahne dein. Momin kahta hai nahi nahi, main duniya mein nahi rahna chahta. Mujhe tou Khuda ke han le chalo. Aur kafir se jab yahi bat kahi jati hai tou wo khawahish karta hai ke agar duniya mein wapas chala jaon tou nek a’imal karon.” Surah Yaseen sat mubeen ka behad mujarrab amal dekhiye.
Marte waqt Admi ki Zuban kyun Band ho jati hai?
Riwayat ke mutabiq marte waqt farishton ko dekh kar admi ki zuban band ho jati hai tou char farishte us ke pas aate hain aur salam kahte hain.
Pahla farishta salam karne ke ba’ad kahta hai. Ae ALLAH ke bande main tere rizq par moakil tha. Main tamam zamin par talash kar aya hun, mujhe tere rizq ka luqma kahin nahi mila.
Uske ba’ad dusra farishta salam karta hai ke main tere pani par moakil tha. Main tamam zamin par talash kar aya magar tere nasib ka ek qatrah pani mujhe nahi mila.
Tisra farishta kahta hai ke main teri sans par moakil tha, magar ab zamin par kahin bhi ek sans nazr nahi ayi.
Phir chautha farishta kahta hai ke main teri umr par moakil tha. Ab zamin par teri umr ka koi hissa maujud nahi.
Iske ba’ad nama-e-a’imal usko dikhate hain. Us waqt mayyat ki ankhon se ansu jari ho jate hain. Wo dayen bayen dekhta hai aur nama-e-a’imal parhne se darta hai. Iske ba’ad mulk-ul-maut uski ruh qabz kar lete hain. Dekhiye king of all wazifa.
Har sal murdon ka nam likha jata hai
1- Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU Anhu se murawi hai ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya ke,
“Is sha’abaan se agle sha’abaan tak sal bhar mein marne walon ke nam likh diye jate hain. Ek admi shadi karta hai, phir aulad bhi paidah hoti hai. Lekin use ye malum nahi ke uska nam bhi isi sal marne walon mein likha ja chuka hai.”
(Delmi)
2- Hazrat Ayesha Radi ALLAHU Anha se riwayat hai ke Rasool ALLAH SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam maah-e-Sha’abaan mein ek do din chod kar baqi pure mahine ke roze rakhte the. Maine iski wajah dareyaft ki tou Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya,
“Is mahine mein ALLAH Ta’ala un tamam logon ke nam likh deta hai, jo sal bhar mein wafaat payenge. Isliye meri khawahish hai ke jab marne walon ki fahrist mein shamil kiya jaon tou roza ki halat mein hun.”
(Abu Ya’alaa)
3- Hazrat Ataa bin Yasa Radi ALLAHU Anhu bayan karte hain ke Sha’abaan ki pandarhwin rat mulk-ul-maut ko ek sahifa diya jata hai aur hukm hota hai ke jin logon ke nam is sahife mein darj hain, unki ruhein qabz karo. Log bagh lagate hain. Shadiyan karte hain. Makanaat ta’amir karte hain. Halanke unka nam bhi marne walon ki fahrist mein likha ja chuka hota hai.
(Ibn Abi al-duniya)
4- Hazrat Rashid bin Sa’ad Radi ALLAHU Anhu se riwayat hai ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya,
“Sha’abaan ki pandarhwin rat ko ALLAH Ta’ala mulk-ul-maut ki taraf ek wahi nazil karta hai. Jis mein ye hukm hota hai ke falan falan ashkhaas ki ruhein is sal qabz kar lo.”
5- Hazrat Mu’hammad Hajadah Radi ALLAHU Anhu se murawi hai ke ALLAH Ta’ala ne arsh ke niche ek darakht paidah kiya hai. Tamam makhluqaat mein se har har fard ke liye us darakht mein ek ek patta mutayyan hai. Jab koi patta girta hai tou jis fard ke nam ka wo patta hota hai uski ruh fauran qabz kar li jati hai.
(Tafsir Abul Sheikh az Maulana Ahmad Saeed Rahmatullah Alayh)
Insan ke Teen ghar
Hazrat Alama Ibn Qaim Rahmatullah Alayh ne bayan kiya hai ke, ALLAH Ta’ala ne teen ghar banaye hain. Pahla duniya,dusra barzakh aur teesra ghar daar-ul-qaraar. Har ghar ke liye alag alag amur makhsus farma diye hain. Aur har ek ke liye makhsus ahkaam hain. Duniya ke ahkaam badan par warid hote hain aur ruh badan ki taab’e qaraar di gai hai. Yahi wajah hai ke shari’at ke ahkaam aiza-e-zaheri se taluq rakhte hain. Aur isi par kufr-o-Islam ka hukm lagaya jata hai.
Aur barzakh ke jo ahkaam hain wo ruhon par warid hote hain aur badno ko iske taab’e kiya gaya hai. Jis tarah duniya ke andar ruhein badno ke taab’e hain. Aur badno ki rahat-o-kulfat (aram aur taklif) se ruhon ko bhi rahat-o-kulfat hoti hai. Aur badan hi savab-o-atab ke asbaab se taluq rakhte hain. Surah Fatiha ka asardaar amal dekhiye.
Maut ke waqt Bure aur Achhe dono A’imal pesh kiye jate hain
Hazrat Hanzalah bin Aswad Radi ALLAHU Anhu ka bayan hai ke,
“Mera ek ghulam tha. Jab wo marne ke qarib hua tou us ne ye ajib harkat ki ke ek bar munh dhakta aur phir munh khaulta tha. Main ne uski is harkat ko Mujahid Radi ALLAHU Anhu se bayan kiya tou unho ne faramaya ke momin jab maut ke qarib hota hai tou uske achhe aur bure a’imal us par pesh hote hain. Achhe a’imal dekhta hai aur bure a’imal se nazr bachata hai.”
(Ibn Abi Al-duniya)
Achhe kam ki Jaza Duniya mein hi mil jati hai
Waheeb bin Dard Rahmatullah Alayh ne Hadees-e-Qudsi bayan ki hai ke ALLAH Ta’ala ka irshad hai ke,
“Jis bande ko main duniya se utha kar us par raham ka iradah karta hun, uske sath Mera ye bartaw hota hai ke us bande ne jitne gunah duniya mein kiye hain unki padaash mein jismani marz, aal-o-aulad ki musibat aur rizq-o-mua’ash ki tangi paidah karta hun. Aur agar in duniyawi badlo ke bawajud uske kuch gunah baqi rah jate hain tou Main us par maut ki sakhti paidah kar deta hun. Chunache wo gunaho se pak saf ho kar Mere pas ata hai jaise paidayesh ke waqt be-gunah tha.
Qasam hai Meri Izzat ki, jab Main kisi bande ko duniya se utha kar azab deta hun tou uski har neki ki jaza duniya mein hi de deta hun. Jismani sehat, rizq mein kushadgi aur aish mein farawani paidah kar deta hun. Agar in sab ke bawajud us bande ki kuch nekiyan baqi rah jati hain tou unka badla is tarah chuka deta hun ke us par maut ko asaan kar deta hun.
Phir is hal mein wo Mere pas aata hai ke jahannum se bachne ke liye us ke pas koi neki nahi rah jati.”
(Majaalsa-e-Dinvari)
Most Effective yaALLAH Dua Wazaif
Maut ke waqt A’imal-e-Saleh Adhe aate hain
Hadees Shareef mein hai ke jab mulk-ul-maut jab kisi momin ki ruh qabz karne jata hai aur wo chahta hai ke munh ki taraf se uski ruh qabz kar lun tou fauran zikr-e-ilahi samne aa kar khada ho jata hai. Aur mulk-ul-maut ko qarib aane se ba’az rakhta hai. Kahta hai ke ye bandah hamesha zikr-e-ilahi karta raha hai. Lehaza tum munh ke raste se apna kam nahi kar sakte.
Mulk-ul-maut Bargaah-e-Rabubiyat mein sara hal suna kar hukm hasil karta hai ke jao kisi dusre azu ke raste se apna kam karo. Mulk-ul-maut hath ki taraf se ruh qabz karna chahta hai,
Us waqt sadqah samne aa kar khada ho jata hai aur kahta hai ke is shakhs ne hamesha sadqah diya hai. Is shakhs ne yatimon ke saron par hath phera hai. Is shakhs ne kuffaar par jahaad kiya hai. Jao hathon par tumhara koi charah nahi.
Phir pairon ki taraf aana chahta hai tou pair adhe aa jate hain. Kahte hain ke in pairon se ye shakhs padhne ya jahaad karne jata raha hai.
Phir kan aur nak ki taraf aane ki koshish karta hai. Magar ye a’izaa apne apne a’imal-o-ibadat ka hawala de kar maut ko aane se rauk dete hain.
Mulk-ul-maut majbur ho kar Bargaah-e-Khudavandi mein arz guzar hota hai ke ab kya karun.
Hukm hota hai ke apne hath par Mera nam likh kar le jao aur us bande ko dikha do. Ruh khuda ka nam dekhte hi fauran jism se nikal jati hai. Dekhiye wazifa to get concentration in studies
Ek Hadees Shareef ke Mutabiq
Umr bin Habib Radi ALLAHU Anhu riwayat karte hain ke do admi Bani Israeel ke nehayat abid the. Muddaton tak ibadat karte karte apni jagah se ghabra gaye the. Ek roz dono ne itfaq kiya ke qabrastan mein jayen aur wahan rah kar ibadat karen. Shayed kisi mayyat se kalaam karne ka mauqa mil jaye. Phir dono qabrastan mein qayam kar ke ibadat karte rahe. Ek roz ek murdah qabr se nikla aur kaha ke main assi baras se mara hua hun. Lekin ab tak maut ki taklif baqi hai. Dekhiye Dua for peace and happiness
Maut ke Waqt Kafir ki Duniya ki taraf Wapas aane ki Khawahish
ALLAH Azzawajal ka farman hai,
Tarjuma: “Hatta ke jab in (kafiro) mein se kisi ki maut aane lagti hai tou kahta hai, Ae mere Rab! mujhe wapas lauta de ta ke main is duniya mein ja kar nek a’imal karun jise main chod ke aya hun. (ALLAH Ta’ala ki taraf se javab diya jata hai) har giz nahi! Ye tou sirf ek kalma hai jise wo kah raha hai aur uske pas-e-pusht ek pardah hai dubara ji uthne ke din tak.”
(Surat Al-Mu’minon, Ayaat 99-100)
Maut ke Waqt Kafir ka Imaan Qubool nahi hota
Ibn Abbas Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke Rasool ALLAH SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya,
“Jab ALLAH Ta’ala ne Fir’aon ko gharq kiya tou wo kahne laga
“Main is bat par imaan rakhta hun ke Us Hasti ke siva koi ma’abud (haqiqi) nahi jis par Bani Israeel imaan laye.”
Jibraeel Alayhis Salam ne kaha,
“Ae Mu’hammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam! Agar (Ap wahan hote tou) mujhe dekhte ke main darya ki sayah bad-budaar mitti le kar us ke munh mein ghused raha tha ke kahin ALLAH ki rahmat use aghosh mein na le le.””
(Tirmazi, kitab tafsirul Qur’an, Hadees 3107, Hadees Husn/ Raqmul Hadees: 5083 fi Sahih al-jame)
Khatma Bil-Khair ki Alamaat
Hazrat Salman Farsi Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke main ne Rasool-e-Mu’azzam SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se ye suna hai ke jis shakhs ki maut ka waqt qarib ho tou us mein teen alamatein ghaur se dekho.
1- Agar uski peshani arq alud ho.
2- Ankhein pur-nam ho jayen. (Yani ankhon mein ansu hon)
3- Aur nak ke nathne phul jayen.
Tou samjho ke us par ALLAH ki rahmat ho gai. (Goya ye achhi alamaat hain)
Dekhiye wazifa for good luck
Maut ke waqt Momin aur Gunahgaar ki 6 Nishaniyan
Hazrat Salman Farsi Radi ALLAHU Anhu farmate hain ke main ne Rasool-e-Mu’azzam SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam se ye suna hai ke jis shakhs ki maut ka waqt qarib ho tou us meon teen alamatein ghaur se dekho.
- Agar uski peshani arq alud ho.
- Ankhein pur-nam ho jayen. (Yani ankhon mein ansu hon)
- Aur nak ke nathne phul jayen.
Tou samjho ke us par ALLAH ki rahmat ho gai.
Aur
- Agar is tarah khar-khar karne lage jaise oont gala ghautne ke waqt karta hai.
- Agar uska rang surkh ho jaye.
- Aur uski bachain rakh ke rang ki ho jayen
to samajh lo us par ALLAH ki taraf se azab nazil hua.
(Nawadarul Asul)
Sakraat aur Jaan-kuni ki Pahchan-o-Alamaat
- Mariz ka chehra zard pad jata hai.
- Sans jaldi jaldi chalne lagti hai.
- Nak ka bansa tedha ho jata hai.
- Ankhein uper ko chadh jati hain.
- Hath paon thande pad jate hain.
- Tangein kamzor ho jati hain aur unke khade hone ki taqat khatm ho jati hai.
- Hont khushk ho jate hain.
- Dadhi ke bal khul jate hain yani bikhar jate hain.
Jab mariz par is qisam ki alamaat zaher hone lagein tou jo log us ke aas pas maujud hon ya marne wale ke warsa ko chahiye ke mariz ka munh qibla ki taraf kar dein. Aur jis tarah zindagi mein sidhi karwat par letna mustahib hai, usi tarah marne wale ko bhi lita dein, basharteke use taklif na ho.
Ya bilkul sidha lita dein aur uske paon qible ki taraf kar dein. Aur sar ke niche pak takiya rakh kar sar zra uncha kar dein ta ke munh qible ki taraf ho jaye. Dekhiye wazifa for confidence gaining
Mariz mein jab ye kaifiyaat zaher hon tou samajh lena chahiye ke ab maut ka waqt qarib aa chuka hai. Us waqt uper di gai hidayeyaat par amal karna chahiye.
Watch ‘ya ALLAH Dua Wazaif’ Awesome Videos!
Subscribe YouTube Channel Now!
What Happens After Death in Islam Facts Truths
Urdu Version
اسلام میں موت کی حقیقت
موت ایک ایسی راہ ہے جس سے ہر ذی روح کو گزرنا ہے۔ ابتدائے آفرینش سے قضا و قدر کا سلسلہ جاری ہے۔ اور ہر ذی روح کو موت کے ذائقہ سے ہمکنار ہونا ہے۔ موت ایک اٹل حقیقت ہے جس سے کوئی انکار نہیں کر سکتا۔ لیکن ہر شخص کے ذہن میں یہ سوال پیدا ہوتا ہے کہ موت کیا ہے؟ روح کیا ہے؟ اور مرتے وقت انسان پر کیا گزرتی ہے اور مرنے کے بعد کیا ہوتا ہے؟ ہمارے مذہب اسلام میں ان تمام باتوں کے جوابات موجود ہیں۔
موت کے بعد ہر شخص کو اپنے اعمال کے موافق اللّٰه تعالیٰ کی جزا اور سزا کا مزہ چکھنا ہے۔ چاہیے وہ قبر میں ملے یا روزِ محشر میں۔ ہم میں سے ہر شخص کو قبر میں بھی اپنے اچھے اور برے اعمال کی جوابدہی کے لئے تیار ہونا ہے۔ ہر گنہگار شخص کو قبر میں عذاب ہوتا ہے۔ اور ہر نیک شخص پر قبر میں انعاماتِ الٰہی نازل ہوتے ہیں۔ اگرچہ انسانی آنکھ اسے دیکھ نہیں سکتی۔ اسلام میں قیامت کی حقیقت کے بارے میں پڑھئیے۔
ذیل میں احوالِ برزخ، قبروں کے حالات، قبروں کی زیارت اور میت کے ایصالِ ثواب سے متعلقہ کچھ معلومات پیش کی جا رہی ہیں۔ ان واقعات کو لکھنے کا مقصد صرف اور صرف یہ ہے کہ عوام الناس ان کو پڑھ کر نصیحت و عبرت حاصل کریں۔ دیکھیئے اپنے ایمان کی حفاظت کیسے کی جائے۔
موت کی حقیقت کیا ہے؟
اہلِ علم کا ارشاد ہے کہ موت عدم محض اور فناءِ صرف کا نام نہیں ہے۔ موت تو روح کے تعلق کے خاتمے کا نام ہے۔ اور ایک حجاب ہے جو روح اور بدن کے مابین قائم ہو جاتا ہے۔ یعنی ایک گھر سے دوسرے گھر کی جانب انتقال کر جانے کا نام موت ہے۔ گناہِ کبیرہ و صغیرہ کی معافی طلب کرنے کا طریقہ دیکھیے۔
ایک وعظ
ابوالشیخ نے اپنی تفسیر میں اور ابو نعیم نے بلال بن سعد رضی اللّٰه عنہ سے روایت کی ہے کہ انہوں نے اپنے وعظ میں کہا۔
اے دائمی زندگی کے طالبو! تم فنا کے لئے نہیں تخلیق کیے گئے، تم ابدی حیات کے لئے تخلیق کیے گئے ہو۔ ایک گھر سے دوسرے گھر کی جانب انتقال کرنے کے لئے تخلیق کیے گئے ہو۔
طبرانی نے کبیر میں ،حاکم نے مستدرک میں حضرت عمر بن عبد العزیز سے روایت کی ہے کہ
تم ہمیشہ کے لئے تخلیق کیے گئے ہو۔ ایک گھر سے دوسرے گھر کی طرف انتقال کر جاتے ہو۔
موت مومن کے لئے تحفہ ہے
موت مومن کے لئے اللّٰه کی طرف سے تحفہ ہے۔ کیونکہ مومن موت کے باعث آخرت کے اجر و ثواب کا حقدار بن جاتا ہے۔
عن عبد اللّٰه بن عمرو قال قال رسول اللّٰه صلی اللّٰه علیہ وسلم تحفة المؤمن الموت
حضرت عبد اللّٰه بن عمرو رضی اللّٰه عنہ روایت کرتے ہیں کہ رسول اللّٰه صلی اللّٰه علیہ وسلم نے فرمایا مومن کے لئے موت تحفہ ہے۔
(شعب الایمان)
ابن ابی شیبہ نے اپنی تصنیف میں حضرت عبد اللّٰه بن عمرو رضی اللّٰه عنہ سے روایت کیا ہے کہ حضور علیہ الصلٰوۃ والسلام نے فرمایا۔
دنیا مومن کے لئے قید خانہ اور کافر کے لیے جنت ہے۔ جب مومن وصال کر جاتا ہے تو اس کا راستہ کشادہ کر دیا جاتا ہے۔ وہ بہشت میں جہاں چاہتا ہے سیر و سیاحت کرتا ہے۔
موت کی سختیاں
امام بخاری رحمۃ اللّٰه علیہ نے حضرت عائشہ صدیقہ رضی اللّٰه عنہا کی یہ روایت نقل کی ہے۔ وہ فرماتے ہیں کہ رسول اللّٰه صلی اللّٰه علیہ وسلم نے فرمایا۔
اللّٰه کے سوا کوئی معبود (حقیقی) نہیں، بے شک موت کی بہت سختیاں ہیں۔
(صحیح بخاری، کتاب المغازی، حدیث 4449)
موت کے بعد جسم کی حالت
سے مروی ہے کہ موت کے بعد سب سے پہلے انسان کا پیٹ سڑ کر بدبودار ہوتا ہے۔
(بخاری شریف)
وہب بن منبہ سے روایت ہے کہ اگر اللّٰه نے جسم مردہ کا سڑنا مقدر نہ کیا ہوتا تو لوگ مردہ کو گھر میں رکھ لیتے۔
(ابو نعیم)
زید بن ارقم رضی اللّٰه عنہ سے مرفوعِ روایت ہے کہ اللّٰه نے فرمایا، میں نے تین باتیں مقدر کر دی ہیں۔ میں نے مردہ پر کیڑوں کو مقرر کر دیا ہے۔ اگر یہ بات نہ ہوتی تو لوگ اپنے بادشاہوں کو سونے چاندی کی طرح خزانے میں رکھتے اور جسم بے روح کا بگڑنا اور سڑنا بھی مقدر کر دیا ہے۔ اگریہ بات نہ ہوتی تو کوئی عزیز اپنے عزیز کو دفن نہ کرتا اور میں نے غمگین کا غم دور کر دیا ہے۔ اگر یہ نہ ہوتا تو کسی کو اپنے عزیز کی موت کے غم سے کبھی رہائی نہ ملتی۔
(ابن عساکر)
حضرت ابو ہریرہ رضی اللّٰه عنہ سے مروی ہے کہ حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم نے فرمایا۔
موت کے بعد ہر عضو گل جاتا ہے۔ صرف ایک ہڈی باقی رہتی ہے، اسی سے قیامت کے دن تخلیق ہو گی۔
(المسلم)
موت سے پہلے اپنے مقام کا مشاہدہ کرنا
ابن مردویہ ابن مندہ نے حضرت ابن عباس رضی اللّٰه عنہ سے روایت کی ہے کہ حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم نے فرمایا کہ
جب تک کوئی آدمی اپنا مقام جنت یا دوزخ میں نہ دیکھ لے تب تک وہ دنیا سے رخصت نہیں ہوتا۔
پھر فرمایا کہ
جب آدمی عالمِ نزع میں ہوتا ہے تو ملائکہ کی دو صفیں کھڑی ہو جاتی ہیں۔ ان کے چہرے سورج کی طرح روشن ہوتے ہیں تو وہ مردہ انہیں دیکھتا ہے اور کوئی نہیں دیکھ سکتا۔ اگرچہ تم یہی سمجھتے ہو کہ مردہ تمہاری جانب دیکھتا ہے۔ موت کے وقت مومن اور کافر فرشتوں کو دیکھتے ہیں۔
علامہ ابن جریر نے اپنی تفسیر میں حضرت عائشہ صدیقہ رضی اللّٰه عنہا سے روایت نقل کی ہے کہ حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم کا ارشاد ہے کہ موت کے وقت مومن فرشتوں کو اپنی آنکھوں سے دیکھتا ہے۔ وہ فرشتے کہتے ہیں کہ اگر تمہاری خواہش دنیا میں رہنے کی ہو توہم تمہیں دنیا میں رہنے دیں۔ مومن کہتا ہے نہیں نہیں، میں دنیا میں نہیں رہنا چاہتا۔ مجھے تو خدا کے ہاں لے چلو۔ اور کافر سے جب یہی بات کی جاتی ہے تو وہ خواہش کرتا ہے کہ اگر دنیا میں واپس چلا جاؤں تو نیک عمل کروں۔ دیکھیئے دعا کیسے مانگی جائے؟
مرتے وقت آدمی کی زبان کیوں بند ہو جاتی ہے؟
روایت ہے کہ مرتے وقت فرشتوں کو دیکھ کر آدمی کی زبان بند ہو جاتی ہے تو چار فرشتے اس کے پاس آتے ہیں اور سلام کہتے ہیں۔
پہلا فرشتہ سلام کرنے کے بعد کہتا ہے۔ اے اللّٰه کے بندے میں تیرے رزق پر مؤکل تھا۔ میں تمام زمین پر تلاش کر آیا ہوں۔ مجھے تیرے رزق کا لقمہ کہیں نہیں ملا۔
اسکے بعد دوسرا فرشتہ سلام کرتا ہے کہ میں تیرے پانی پر مؤکل تھا۔ میں تمام زمین پر تلاش کر آیا مگر تیرے نصیب کا ایک قطرہ پانی مجھے نہیں ملا۔
تیسرا فرشتہ کہتا ہے کہ میں تیری سانس پر مؤکل تھا۔ مگر اب زمین پر کہیں بھی ایک سانس نظر نہیں آئی۔
پھر چوتھا فرشتہ کہتا ہے کہ میں تیری عمر پر مؤکل تھا۔ اب زمین پر تیری عمر کا کوئی حصہ موجود نہیں۔
اسکے بعد نامہ اعمال اسکو دکھاتے ہیں۔ اس وقت میت کی آنکھوں سے آنسو جاری ہو جاتے ہیں۔ وہ دائیں بائیں دیکھتا ہے اور نامہ اعمال پڑھنے سے ڈرتا ہے۔ اس کے بعد ملک الموت اسکی روح قبض کر لیتے ہیں۔ ہمارے پیارے آقا محمد صلی اللّٰه علیہ وسلم کے بارے میں پڑھیئے۔
ہر سال مردوں کا نام لکھا جاتا ہے
حضرت ابو ہریرہ رضی اللّٰه عنہ سے مروی ہے کہ حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم نے فرمایا کہ اس شعباں سے اگلے شعبان تک سال بھر میں مرنے والوں کے نام لکھ دئیے جاتے ہیں۔ ایک آدمی شادی کرتا ہے، پھر اولاد بھی پیدا ہوتی ہے لیکن اسے یہ معلوم نہیں کہ اس کا نام بھی اسی سال مرنے والوں میں لکھا جا چکا ہے۔
(دیلمی)
حضرت عائشہ صدیقہ رضی اللّٰه عنہا سے روایت ہے کہ حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم ماہ شعبان میں ایک دودن چھوڑ کر باقی پورے مہینے کے روزے رکھتے تھے۔
میں نے اسکی وجہ دریافت کی تو آپؐ نے فرمایا۔ اس مہینے میں اللّٰه تعالیٰ ان تمام لوگوں کا نام لکھ دیتا ہے جو سال بھر میں وفات پائیں گے۔ اسلئے میری خواہش ہے کہ جب مرنے والوں کی فہرست میں شامل کیا جاؤں تو روزہ کی حالت میں ہوں۔
(ابو یعلیٰ)
حضرت عطاء بن یسار رضی اللّٰه عنہ بیان کرتے ہیں کہ شعبان المعظم کی پندرہویں رات ملک الموت کو ایک صحیفہ دیا جاتا ہے اورحکم ہوتا ہے کہ جن لوگوں کے نام اس صحیفے میں درج ہیں، ان کی روحیں قبض کرو۔ لوگ باغ لگاتے ہیں، شادیاں کرتے ہیں، مکانات تعمیر کرتے ہیں۔ حالانکہ ان کا نام بھی مرنے والوں کی فہرست میں لکھا جا چکا ہوتا ہے۔
(ابن ابی الدنیا)
حضرت راشد بن سعد رضی اللّٰه عنہ سے روایت ہے کہ حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم نے فرمایا۔
شعبان کی پندرہویں رات کو اللّٰه تعالیٰ ملک الموت کی طرف سے ایک وحی نازل کرتا ہے۔ جس میں یہ حکم ہوتا ہے کہ فلاں فلاں اشخاص کی روحیں اس سال قبض کر لو۔
(دینوری)
حضرت محمد حجادہ رضی اللّٰه عنہ سے مروی ہے کہ اللّٰه تعالیٰ نے عرش کے نیچے ایک درخت پیدا کیا ہے۔ تمام مخلوقات میں سے ہر فرد کے لئے اس درخت میں ایک ایک پتہ متعین ہے۔ جب کوئی پتہ گرتا ہے تو جس فرد کے نام کا وہ پتہ ہوتا ہے اسکی روح فوراً قبض کر لی جاتی ہے۔
(تفسیر ابو الشیخ از مولانا احمد سعید رحمتہ اللّٰه علیہ)
انسان کے تین گھر
حضرت علامہ ابن قیم رحمۃ اللّٰه علیہ نے بیان کیا ہے کہ اللّٰه تعالیٰ نے تین گھر بنائے ہیں۔ پہلا دنیا، دوسرا برزخ اور تیسرا گھر دارالقرار۔ ہر گھر کے لئے الگ الگ امور مختص فرما دئیے ہیں۔ اور ہر ایک کے لئے مخصوص احکام ہیں۔ دنیا کے احکام بدن پر وارد ہوتے ہیں اور روح بدن کی تابع قرار دی گئی ہے۔ یہی وجہ ہے کہ شریعت کے احکام اعضائے ظاہری سے تعلق رکھتے ہیں۔ اور اسی پر کفر و اسلام کا حکم لگایا جاتا ہے۔ اور برزخ کے جو احکامات ہیں وہ روحوں پر وارد ہوتے ہیں اور بدنوں کو اسکے تابع کیا گیا ہے۔ جس طرح دنیا کے اندر روحیں بدنوں کے تابع ہیں ۔اور بدنوں کی راحت و کلفت سے روحوں کو بھی راحت و کلفت ہوتی ہے۔ اور بدن ہی ثواب و عذاب کے اسباب سے تعلق رکھتے ہیں۔ آپکا وظیفہ کام کیوں نہیں کر رہا؟ جانیئے۔
موت کے وقت برے اور اچھے دونوں اعمال پیش کیے جاتے ہیں
حضرت حنظلہ بن اسود رضی اللّٰه عنہ کا بیان ہے کہ میرا ایک غلام تھا۔ جب وہ مرنے کے قریب ہوا تو اس نے یہ عجیب حرکت کی کہ ایک باد منہ ڈھانکتا اور پھر منہ کھولتا تھا۔ میں نے اس کی حرکت کو مجاہد رضی اللّٰه عنہ سے بیان کیا تو انہوں نے فرمایا کہ مومن جب موت کے قریب ہوتا ہے تو اسکے اچھے اور برے اعمال اس پر پیش ہوتے ہیں۔ اچھے اعمال دیکھتا ہے اور برے اعمال سے نظر بچاتا ہے۔
(ابن ابی الدنیا)
کافر اور گنہگار کو اس کے اچھے کام کی جزا دنیا میں ہی مل جاتی ہے
وہیب بن درد رحمۃ اللّٰه علیہ سے حدیث قدسی مروی ہے کہ اللّٰه تعالیٰ کا ارشاد ہے کہ
جس بندے کو دنیا سے اٹھا کر اس پر رحم کا ارادہ کرتا ہوں اس کے ساتھ میرا یہ برتاؤ ہوتا ہے کہ اس بندے نے جتنے گناہ دنیا میں کیے ہیں ۔انکی پاداش میں جسمانی مرض، آل و اولاد کی مصیبت اور رزق و معاش کی تنگی پیدا کرتا ہوں۔ اور اگر ان دنیاوی بدلوں کے باوجود اس کے کچھ گناہ باقی بھی رہ جاتے ہیں تو میں اس پر موت کی سختی پیدا کر دیتا ہوں۔ چنانچہ وہ گناہوں سے ایسا پاک صاف ہو کر میرے پاس آتا ہے جیسے پیدائش کے وقت بے گناہ تھا۔ قسم ہے میری عزت کی۔ جب میں کسی بندے کو دنیا سے اٹھا کر عذاب دیتا ہوں تو اس کی ہر نیکی کی جزا دنیا میں ہی دے دیتا ہوں۔ جسمانی صحت، رزق میں کشادگی اور عیش میں فراوانی پیدا کر دیتا ہوں۔ اگر ان سب کے باوجود اس بندے کی کچھ نیکیاں باقی رہ جاتی ہیں تو ان کا بدلہ اس طرح چکا دیتا ہوں کہ اس پر موت کو آسان کر دیتا ہوں۔ پھر اس حال میں وہ میرے پاس آتا ہے کہ جہنم سے بچنے کے لئے اس کے پاس کوئی نیکی نہیں رہ جاتی۔
(مجالسئہ دینوری)
موت کے وقت اعمالِ صالحہ آڑے آتے ہیں
حدیث شریف میں ہے کہ جب ملک الموت کسی مومن کی موت قبض کرنے جاتا ہے اور وہ چاہتا ہے کہ منہ کی طرف سے اس کی موت قبض کر لوں تو فوراً ذکرِ الٰہی سامنے آ کر کھڑا ہو جاتا ہے۔ اور ملک الموت کو قریب آنے سے باز رکھتا ہے۔ کہتا ہے کی یہ بندہ ہمیشہ ذکرِ الٰہی کرتا رہا ہے۔ لہٰذا تم منہ کے راستے سے اپنا کام نہیں کر سکتے۔
ملک الموت بارگاہِ ربوبیت میں سارا حال سنا کر حکم حاصل کرتا ہے کہ جاؤ کسی اور عضو کے راستے سے اپنا کام کرو۔ ملک الموت ہاتھ کی طرف سے روح قبض کرنا چاہتا ہے۔ اس وقت صدقہ سامنے آ کر کھڑا ہو جاتا ہے اور کہتا ہے کہ اس شخص نے ہمیشہ صدقہ دیا ہے۔ اس شخص نے یتیموں کے سروں پر ہاتھ پھیرا ہے۔ اس شخص نے کفار پر جہاد کیا ہے۔ جاؤ ہاتھوں پر تمہارا کوئی چارہ نہیں۔
پھر پیروں کی طرف آنا چاہتا ہے تو پیر آڑے آ جاتے ہیں۔ کہتے ہیں کہ ان پیروں سے یہ شخص پڑھنے یا جہاد کرنے جاتا رہا ہے۔
پھر کان اور ناک کی طرف سے آنے کی کوشش کرتا ہے۔ مگر یہ اعضاء اپنے اپنے اعمال و عبادت کا حوالہ دے کر موت کو آنے سے روک دیتے ہیں۔
ملک الموت مجبور ہو کر بارگاہِ خداوندی میں عرض گزار ہوتا ہے کہ اب کیا کروں۔ حکم ہوتا ہے کہ اپنے ہاتھ پر میرا نام لکھ کر لے جاؤ اور اس بندے کو دکھا دو۔ روح خدا کا نام دیکھ کر فوراً جسم سے نکل جاتی ہے۔ دیکھئیے اللّٰه تعالیٰ سے اپنی دعا کیسے قبول کروائی جائے؟
ایک روایت کے مطابق
روایت ہے عمر بن حبیب رحمۃ اللّٰه علیہ سے کہ دو آدمی بنی اسرائیل کے نہایت عابد تھے۔ مدتوں تک عبادت کرتے کرتے اپنی جگہ سے گھبرا گئے تھے۔ ایک روز دونوں نے اتفاق کیا کہ قبرستان جائیں اور وہاں رہ کر عبادت کریں۔ شاید کسی میت سے کلام کرنے کا موقع مل جائے۔ پھر دونوں قبرستان میں قیام کر کے عبادت کرتے رہے۔ ایک روز ایک مردہ قبر سے نکلا اور کہا کہ میں اسّی سال سے مرا ہوا ہوں۔ لیکن اب تک موت کی تکلیف باقی ہے۔ نظرِ بد سے حفاظت کا وظیفہ دیکھئیے۔
جب کافر کو موت آتی ہے تو وہ دنیا کی طرف واپس آنے کی خواہش کرتا ہے۔
ارشادِ باری تعالیٰ ہے۔
ترجمہ: حتیٰ کہ جب ان (کافروں) میں سے کسی کی موت آنے لگتی ہے تو کہتا ہے۔ اے میرے رب! مجھے واپس لوٹا دے تاکہ میں اس دنیا میں جا کر نیک اعمال کروں جسے میں چھوڑ آیا ہوں۔
(اللّٰه تعالیٰ کی طرف سے جواب دیا جاتا ہے)
ہرگزنہیں! یہ تو صرف ایک کلمہ ہے جسے وہ کہ رہا ہے اور اس کے پسِ پشت ایک پردہ ہے دوبارہ جی اٹھنے کے دن تک۔
(سورت المؤمنون، آیات 99-100)
موت کے وقت کافر کا ایمان قبول نہیں ہوتا
ابن عباس رضی اللّٰه عنہ فرماتے ہیں کہ حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم نے فرمایا۔
جب اللّٰه تعالیٰ نے فرعون کو غرق کیا تو وہ کہنے لگا، میں اس بات پر ایمان رکھتا ہوں کہ اس ہستی کے سوا کوئی معبود (حقیقی) نہیں جس پر بنی اسرائیل ایمان لائے ہیں۔
جبرائیل علیہ السلام نے کہا۔ اے محمد ﷺ! (اگر آپؐ وہاں ہوتے تو) مجھے دیکھتے کہ میں دریا کی سیاہ بدبودار مٹی لیکر اس کے منہ میں گھسیڑ رہا تھا کہ کہیں اللّٰه کی رحمت اسے آغوش میں نہ لے لے۔
ترمذی، کتاب تفسیر القرآن حدیث 3107، حدیث حسن/رقم الحدیث 5082 فی صحیح الجامع
خاتمہ بالخیر کی علامات
حضرت سلمان فارسی رضی اللّٰه عنہ فرماتے ہیں کہ میں نے رسولِ معظم صلی اللّٰه علیہ وسلم سے یہ سنا ہے کہ جس شخص کی موت کا وقت قریب ہو تو اس میں تین علامتیں غور سے دیکھو۔
اگر اسکی پیشانی عرق آلود ہو۔
آنکھیں پُر نم ہو جائیں (یعنی آنکھوں میں آنسو ہوں)۔
اور ناک کے نتھنے پھول جائیں۔
تو سمجھو کہ اس پر اللّٰه کی رحمت ہو گئی۔ (گویا یہ اچھی علامتیں ہیں)۔ یااللّٰه ویبسائٹ کے تمام آزمائے گئے طاقتور وظائف کی لسٹ دیکھئیے۔
موت کے وقت مومن اور گنہگار کی چھے نشانیاں
حضرت سلمان فارسی رضی اللّٰه عنہ کا بیان ہے کہ میں نے حضور اکرم صلی اللّٰه علیہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ جس کی موت قریب آئے تو اس میں تین علامتوں کو غور سے دیکھو۔
اگر اسکی پیشانی عرق آلود ہو۔
آنکھیں پُر نم ہو جائیں (یعنی آنکھوں میں آنسو ہوں)۔
اور ناک کے نتھنے پھول جائیں۔
تو سمجھ لو کہ اس پر اللّٰه کی رحمت ہو گئی۔
اور
اگر اس طرح خرخر کرنے لگے جیسے اونٹ گلا گھونٹنے کے وقت کرتا ہے۔
اگر اس کا رنگ سرخ ہو جائے۔
اور اس کی باچھیں راکھ کے رنگ کی ہو جائیں تو سمجھ لواس پر اللّٰه کی طرف سے عذاب نازل ہوا۔
سکرات اور جان کنی کی پہچان و علامات
مریض کا چہرہ زرد پڑ جاتا ہے۔
سانس جلدی جلدی چلنے لگتی ہے۔
ناک کا بانسہ ٹیڑھا ہو جاتا ہے۔
آنکھیں اوپر کو چڑھ جاتی ہیں۔
ہاتھ پاؤں ٹھنڈے ہو جاتے ہیں۔
ٹانگیں کمزور ہو جاتی ہیں اور ان کے کھڑے ہونے کی طاقت ختم ہو جاتی ہے۔
ہونٹ خشک ہو جاتے ہیں۔
داڑھی کے بال کھل جاتے ہیں یعنی بکھر جاتے ہیں۔ قرآن مجید پڑھنے کا طریقہ جانیئے۔
جب مریض پر اس قسم کی علامات ظاہر ہونے لگیں تو حاضرین مجلس یا مرنے والے کے ورثاء کو چاہیئے کہ مریض کا منہ قبلے کی طرف کر دیں اور جس طرح زندگی میں سیدھی کروٹ پر لیٹنا مستحب ہے اسی طرح مرنے والے کو بھی لٹا دیں۔ بشرطیکہ اس کو تکلیف نہ ہو۔ یا چت لٹا کر اس کے پاؤں قبلے کی طرف کر دیں۔ اور سر کے نیچے پاک تکیہ رکھ کر سر ذرا اونچا کر دیں تاکہ منہ قبلے کی طرف ہو جائے۔ کفارہ قضائے عمری کے بارے میں پڑھیئے۔
مریض میں جب یہ کیفیات ظاہر ہوں تو سمجھ لینا چاہیئے کہ اب موت کا وقت قریب آ گیا ہے۔ اس وقت اوپر لکھی گئی ہدایات پر عمل کرنا چاہیئے۔
Soon in English…
Assalamu alaikum bhai, mera sawal hai ki kya mai ek hi time ek se jayada wazifa kar sakti hu alag alag maqsad ke liye? Aur ek sawal baby gora paida hone ke liye pregnancy ke dauran konsa wazifa karna chahiye? Khuda hafiz.
Ji han kar sakti hain ap alag purposes ke liye ek sath alag wazaif. Yahan se dekhiye wazifa – https://www.yaallah.in/category/duas-wazaif/bodily-healings/mother-child/ #yaALLAHcomments
Please translate in English, I am a suscriber of you site but It is getting had to take a benefit of it because not much is now translate in English. Thank you for understanding
I thank you for this feedback we are working on this now and Insha ALLAH you will see this in a couple of days.
YES PLEASE TRANSLATE IN ENGLISH , DONT UNDERSTAND HINDI
ok Insha ALLAH.