Recently updated on September 16th, 2017
There are 20 verses in this surah and it was revealed in Makkah. Some scholars say that it was revealed in Madinah. It is narrated from the Holy Prophet SallALLAHU Alayhe Wasallam that a person who recites this surah will never face hard times, Insha ALLAH. This post is about the virtues, benefits and dua wazaif of Surah Muzammil Shareef.
بسم الله الرحمن الرحيم
Bismillah hirRahman nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Beneficent and The Merciful
Dua Waziaf
Benefits and Virtues of Surah Muzammil
Fawaid-o-Fazilat Surah Muzammil
Surah Al-Muzammil (The Wrapped)
There are 20 ayaat in this surah and it was revealed in Makkah. Some scholars say that it was revealed in Madinah. It is narrated from the Holy Prophet SallALLAHU Alayhe Wasallam that a person who recites this surah will never face bad times. The person who recites it in the Isha or Tahajjud prayers always remains pure of heart and even dies while he is in a pure state.
Imam Ja’far as-Sadiq AlayhisSalam said that a person who recites this surah properly will get a chance to meet the Holy Prophet Subhanahu Wata ‘Ala and if he prays for something from Allah Subhanahu Wata ‘Ala he will get it. Reciting surah al-Muzammil a hundred times on Thursday night leads to the forgiving of a hundred major sins and procures a hundred rewards. Recitation of this surah protects one from insanity and from being a slave to people.
The reading of “Al-Mughni” (The Enricher) 1100 times and Surah Muzammil 7 is very effective in acquiring sufficiency of the heart.
Surah Muzammil ke Fazail-o-Wazaif
Surah Muzammil Qur’an Shareef ki tehattarvin (73) Surah hai jo ke Parah number untees (29) mein maujud hai. Bayis (22) ayaat par mushtamil ye Surah bohat zyadah fazeelat-o-ahmiyat ki hamil hai.
Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya, “Jo shakhs Surah Muzammil ko museebat ke waqt mein parhega, ALLAH Ta’ala us se uski museebat ko dur kar dega.”
حضرت محمّد صلّ اللّٰه علیہ وسلّم نے فرمایا کہ جو شخص سورۂ مزمّل کو مصیبت کے وقت میں پڑھےگا اللّٰه تعالیٰ اس سے اسکی مصیبت کو دور کر دیگا۔
Surah Muzammil ki rozana tilawat ka bohat azar-o-savab milta hai. Is Mubarak Surah ke bohat se fazail hain ke insan agar is Surah ki tilawat ko apna ma’mul bana le tou use kisi mushkil ka samna bhi na karna parega.
AnHazrat SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya hai ke “jo shakhs is Surah ko parhega, ALLAH Azzawajal duniya-o-aakhirat mein use khush rakhega. Uska aflas dur ho jayega aur jis mushkil ke liye ye Surah parhi jayegi wo mushkil aasan ho jayegi.”
آنحضرت صلّ اللّٰه علیہ وسلّم نے فرمایا ہے کہ
جو شخص اس مبارک سورت کو پڑھے گا اللّٰه تعالیٰ اسے دنیا و آخرت میں خوش رکھے گا۔ اسکا افلاس دور ہو جایگا اور جس مشکل کے لئے پڑھی جائے گی وہ مشکل آسان ہوگی ۔
Misal ke taur par is Surah Mubarak ki tilawat mandarja zail suraton mein bohat faydah mand sabit hoti hai;
- Kisi bhi mushkil ka hal talash karne ke liye
- Kisi bhi hajat ki takmeel ke liye
- Kisi bhi marz ka elaj pane ke liye
- Rozi aur rozgar ke masail ke hal ke liye
- Aflas aur Tangdasti ke khatma ke liye
- Duniya-o-Aakhirat ki falah ke liye
- Shadi ke masail ke hal ke liye
- Deegar darpaish masail ke hal ke liye
Gharz ke har mushkil ka hal ALLAH Azzawajal ne is Mubarak Surah ki tilawat mein chupa rakha hai. Bus zarurat hai to us Paak Zaat par kamil yaqeen ki aur taqwa aur parhaiz gari ki. Sab se eham, aap ka maqsad jayez hona chahiye. Phir jo ALLAH Ta’ala par tawakkul kare to Insha ALLAH Azzawajal, use zarur kamyabi milegi.
Ab main Surah Muzammil Shareef ke kuch khas wazaif aap ki nazar karne ja raha hun, insha ALLAH aap ki mushkilat anqareeb khatam ho jayengi. Ameen!
Rasool ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam ki zeyarat-e-Mubarak ka amal
- Ye amal kisi bhi din aur kisi bhi behtar waqt shuru kar sakte hain;
- Paak saaf kapre aur taharat-e-kamil ki halat mein;
- Sab se pahle wuzu karein;
- Phir Surah Muzammil ki ek martaba tilawat karein;
- Phir Payare Aaqa Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam ki zeyarat Mubarak ki du’a karein;
- Is amal ko apna mamul bana lein;
Insha ALLAH, jald hi apko khawab mein Payare Rasool SallALLAHU Alayhe Wasallam ki zeyarat naseeb hogi.
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dino mein ye amal na karein.
پیارے آقا حضرت محمّد صلّ اللّٰه علیہ وسلّم کی زیارتِ مبارک
جو مومن پیارے آقا حضرت محمّد صلّ اللّٰه علیہ وسلّم کی زیارتِ مبارک کا خواہشمند ہو، اسے چاہیے که وہ روزانہ باوضو سورۂ مزمّل کی تلاوت کرے اور آقا محمّدؐ کی زیارت کی دعا کرے۔ انشاءاللّٰه جلد ہی اسکی یہ خواہش پوری ہو جائے گی اور خواب میں پیارے آقا محمّدؐ کی زیارتِ با سعادت نصیب ہوگی۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Har Marz ke liye Surah Muzammil ka Khas Taweez
- Sab se awwal taza wuzu bana lein;
- Kisi paak saaf qalam ki madad se safaid kaghaz par puri Surah Muzammil likhein;
- Ab us kaghaz ko taweez ki shakal mein teh kar lein, chahein tou plastic charha lein taa ke taweez kharab na ho;
- Ab is taweez ko mareez ke gale mein daal dein;
Insha ALLAH, is Mubarak Surah ki fazilat se mareez ko jald hi marz se shif’a naseeb hogi.
Tandrusti milne ki surat mein taweez utar sakte hain.
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dino mein ye taweez na likhein.
ہر مرض کے لئے سورۂ مزمّل کا خاص تعویذ
اگر کوئی شخص کسی مرض میں مبتلا ہو تو سورۂ مزمّل کا تعویذ بنا کر اسکے گلے میں لٹکانے سے مرض سے شفاء نصیب ہوگی۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ تعويذ نه لكهیں۔
Wazifa Surah Muzammil Taskheer ke Liye
Rabi-us-Sani ke maheena mein Surah Muzammil ka amal shuru karna taskheerat ke liye bohat mufid hai. Agar ye amal kisi aur maheene ke shuru mein bhi kiya jaye to koi muzaiqa nahi hai.
Amal karne ka tareeqa
- Nauchandi jummerat ko ye amal shuru karna hai;
- Sab se pahle ghusal kijiye aur naye kapre pehaniye;
- Jis makan mein ye amal karna ho us mein ood ki khushbu lagaiye;
- Phir iktalis (41) martaba koi sa bhi ek Durood Shareef parhiye;
- Phir iktalis martaba ye du’a parhiye;
يَا حَنَّانُ یَا مَنَّانُ اَنتَ الَّذِی وَسِعتُ كُلَّ شَئٍ رَحمَتهً وِّ عِلمًا يَا حَنَّانُ
- Phir iktaalis (41) martaba Surah Muzammil parhiye;
- Phir iktaalis (41) martaba ye du’a parhiye;
الَّلهُمَّ اِنِّى اَسئَلُكَ اَن تَسخَرِنِی خُدَّامَ هٰذِهِ السُّورَ ةِ الشَّرِیفَةٍ بِحَقِّ لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدُرَّسُولُ اللّٰهِ
- Phir iktaalis (41) martaba Durood Shareef parhiye;
- Phir apne maqsad ke liye khoob dil se du’a kijiye;
- Ye amal bila nagha chaalis (40) din tak kijiye;
Insha ALLAH, aap ke maqsad mein zarur kamyabi hasil hogi. ALLAH Ta’ala wo na’emat ata karega jo kabhi dekhi bhi na hogi.
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein. Wazifa karne ke dauran jo din choot jayen unhe aage jord lein.
وظیفہ سورۂ مزمّل تسخیر کے لئے
ماہِ ربیع الثانی میں سورۂ مزمّل کا یہ عمل تسخیرات کے لئے نہایت مفید ہے۔ نوچندی جمعرات کو غسل کر کے نئے کپڑے پہنیں اور جس مکان میں عمل کرنا ہو وہاں عود کی خوشبو لگایں ۔
اکتالیس بار درود شریف پڑھیے ۔
اکتالیس بار ”يَا حَنَّانُ یَا مَنَّانُ اَنتَ الَّذِی وَسِعتُ كُلَّ شَئٍ رَحمَتهً وِّ عِلمًا يَاحَنَّانُ“ پڑھیے ۔
پھر اکتالیس بار سورۂ مزمّل پڑھیے ۔
پھر اکتالیس بار “الَّلهُمَّ اِنِّى اَسئَلُكَ اَن تَسخَرِنِی خُدَّامَ هٰذِهِ السُّورَ ةِ الشَّرِیفَةِ بِحَقِّ لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدُرَّسُولُ اللّٰهِ” پڑھیے ۔
آخر میں دوبارہ اکتالیس بار درود شریف پڑھیے ۔
اور اپنے مقصد کے لئے عاجزی کے ساتھ دعا کیجئے ۔
یہ عمل بلا ناغہ چالیس یوم تک جاری رکھیے ۔
اللّٰه تعالیٰ آپکو وہ نعمت عطا کریگا جو آپ نے کبھی دیکھی نہ ہوگی ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Rizq ki Qillat dur Karne ka Aasan Amal
Agar aap rizq ki qillat se pareshan hain. Roz ba roz aap ke rizq mein kami ho rahi hai ya aap ko karobar mein koi nuqsan ho raha hai tou aap fauran ye amal shuru kijiye. Insha ALLAH, is amal ki fazeelat se aap ka karobar barhne lage ga. Rizq mein khatir khawah izafa hoga. Aur rizq ki qillat ka masla hamesha ke liye kahtam ho jayega.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi waqt aap ye amal shuru kar sakte hain;
- Behtar hai ke din ka ek waqt jo ap ke liye sab se mubasib ho, muqarrar kar lein aur rozana usi waqt ye amal kiya karein;
- Sab se pahle taza wuzu banayein, agar aap pahle se hi wuzu ki halat mein hain tou dubara wuzu karne ki zarurat nahi hai;
- Surah Muzammil 7 martaba parhein;
- Phir ALLAH Ta’ala se apne rizq ki qillat dur karne ke liye du’a karein;
- Ye amal rozana bila nagha karein yahan tak ke aap ke rizq ki qillat dur ho jaye;
Insha ALLAH, aap ke liye rizq ke darwaze khul jayenge aur aap ke rizq ki qillat hamesha ke liye khatam ho jayegi. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
رزق کی قِلّت دور کرنے كا آسان عمل
روزانہ کسی مناسب وقت با وضو سورۂ مزمّل کی سات مرتبہ تلاوت کرنے کا معمول بنا لیں۔ انشاء اللّٰه بہت جلد آپکے لئے رزق کے دروازے کھل جاینگے اور رزق کی قِلّت ہمیشہ کے لئے ختم ہو جائیگی ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Aasan Rozi ka Mufid Amal
Aasan rozi ke liye bohat mufid amal hai. Agar aap ko aasan rozi ke mawaqe nahi mil rahe aur aap apne halaat se pareshan hain tou ye amal shuru karein. Insha ALLAH, rozi ke masail khatam ho jayenge aur aasan rozi naseeb hogi.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi behtar waqt aap ye amal shuru kar sakte hain (zawal ka waqt na ho);
- Chahein tou is amal ke liye din ka ek waqt jo aap ke liye sab se munasib ho, muqarrar kar lein;
- Sab se pahle taza wuzu banayein, agar ap pahle se hi wuzu mein hain to dubara wuzu karne ki zarurat nahi hai;
- Surah Muzammil ki 41 bar tilawat karein;
- Phir apni rozi ki aasani ke liye ALLAH Ta’ala se khoob dil se du’a karein;
Insha ALLAH, aap ko aasan rozi ke beshumar mawaqe milenge aur kabhi bhi rozi ke masail ka samna nahi karna parega. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
آسان روزی کا مفید عمل
ہمیشہ اکتالیس بار سورۂ مزمّل کا ورد کیا جائے تو آسان روزی کے بيشتر موا قع میسّر ہونگے اور کبھی بھی روزی کے مسائل کا سامنا نہ کرنا پڑیگا ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Kashaish-e-Rizq ke liye Nehayet Mufid aur Mujarrab Amal
Ye amal Kashaish-e-Rizq ke liye nehayet mufid aur mujarrab amal hai. Agar rizq mein kami ho rahi ho tou fauran ye amal shuru kar dein. Aajzi aur bharpur tawajjuh ke sath ise parhein. Insha ALLAH aap ke rizq ki kami ghayeb ho jayegi.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi behtar waqt aap ye amal shuru kar sakte hain siwaye zawal ke waqt ke;
- Sab se pahle khoob ache tareeqe se wuzu kijiye;
- Awwal 11 bar jon sa Durood Shareef parhna chahein parhiye;
- Phir geyarah sou geyarah (1,111) bar‘ya Mughni’ parhiye, jo ke ALLAH Ta’ala ke Mubarak naamo mein se ek naam hai;
- Phir geyarah (11) bar Surah Muzammil parhiye;
- Aakhir mein phir geyarah (11) bar Durood Shareef parhiye;
- Ab apne rizq ke liye ALLAH Ta’ala se Khushu khuzu se du’a kijiye;
- Ye amal bila nagha chalis (40) din tak kijiye;
Insha ALLAH, aap ke liye rizq mein kashaish (rizq mein bohat zyadah izafa) hogi aur ALLAH Azzawajal Ghyeb se esi madad farmayega ke aap ko kabhi kisi ka mohtaj nahi hona parega. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwaari ke dauran ye amal na karein. Wazifa karne ke dauran jo din choot jayein unhe aage jord lein.
کشا ئشِ رزق کے لئے نہایت مفید اور مجرّب عمل
جو شخص با وضو چالیس روز تک اوّل گیارہ بار درود شریف، پھر گیارہ سو گیارہ بار یَاغَنِیُّ، پھر گیارہ بار سورۂ مزمّل اور آخر میں گیارہ بار درود شریف پڑھے گا تو اللّٰه تعالیٰ غیب سے اسکی مدد فرما ئے گا۔ کشا ئشِ رزق کے لئے نہایت مفید اور مجرّب عمل ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Tangi-e-Rizq dur karne ka Mujarrab Tareen Amal
Agar aap ke rizq mein achanak se tangi hone lagi hai, akhrajaat zyadah aur rizq kum hai tou ese mein ye mujarrab amal shuru kijiye, insha ALLAH aap ke rizq ki tangi dur ho jayegi aur itna rizq milna shuru ho jayega ke akhrajaat ba-aasani pure kar sakeinge. Ameen!
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi behtar waqt aap ye amal shuru kar sakte hain (zawal ka waqt nikal kar);
- Sab se pahle wuzu kijiye;
- 41 bar Surah Muzammil parhiye;
- Phir ALLAH Ta’ala se apne rizq ki tangi dur karne ki du’a kijiye;
- Jab tak aap ke rizq ka masla hal nahi ho jata, rozana baghair kisi nagha dale ye amal karte jaiye;
Insha ALLAH, anqareeb aap ke rizq ki tangi dur ho jayegi aur waafar miqdar mein rizq mayassar hoga. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
تنگئِ رزق دور کرنے کا مجرّب ترین عمل
ایک مجلس میں باوضو اکتالیس بار سورۂ مزمّل پڑھ کر جس جائز حاجت خصوصاً رزق کے لئے دعا کرینگے تو لازماً قبول ہوگی۔ رزق کی تنگی دور کرنے کے کا مجرّب ترین عمل ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Farakhi-e-Rizq ke liye Ajeebul asar Amal
Ye amal farakhi-e-rizq ke liye ajeebul asar aur bauhat mujarrab amal hai. Agar aap chahte hain ke aap ke rizq mein farakhi ho yani aap ke pas be panah rizq ho, kabhi kisi ka mauhtaj na hona pare, zarurat ke waqt kabhi kisi ke aage hath na phailane parein tou aap fauran ye amal shuru kar dijiye. ALLAH Ta’ala ke fazal se ye amal hairat angaiz taur par rizq ki farakhi ka saman paida karta hai aur halaat-e-zindagi ko khair ka paigham deta hai.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aap ye amal shuru kar sakte hain;
- Achi tarah wuzu kijiye;
- Fajar ki namaz ada kijiye;
- Bad salam Surah Muzammil 41 bar parhiye;
- Phir‘ya Mughni’ 41 bar parhiye;
- Phir farakhi-e-rizq ke liye khoob dil se du’a kijiye;
- Is amal ko rozana karte jaiye jab tak aap ko farakhi-e-rizq naseeb na ho jaye;
Insha ALLAH, bohat jald ghyeb se rizq nazil hona shuru ho jayega aur aap ko kabhi rizq mein kami ka samna nahi karna parega. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
فراخئِ رزق کے لئے عجیب الاثر عمل
فجر کی نماز کے بعد سورۂ مزمّل اکتالیس بار اور یٙا مُغنِی بھی اکتالیس بار پڑھنا رزق کی فراخی کا سامان پیدا کرتا ہے . یہ عمل فراخئِ رزق کے لئے عجیب الاثر اور مجرّب ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Har Qisam ki Deenvi Hajat ke liye ek Khas Amal
Har qisam ki deenvi hajat ke liye ye amal bohat hi khas ehmiyat rakhta hai. Agar aap kisi hajat ke pura hone ka intezar kar rahe hain tou aap ka intezar khatam hua, aap ‘ya ALLAH’ ka ye behtareen amal shuru kijiye aur kamyabi se hamkanar ho jaiye.
Shart: Shart ye hai ke aap ki hajat halal honi chahiye. yaALLAH.in ke kisi bhi wazifa ko haram maqsad ki niyat se karne ki ijazat nahi hai. Aur ALLAH Azzawajal pe yaqeen aur perhaizgari tou awwaleen sharait mein se hain.
Amal karne ka tareeqa
- Urooj-e-maah ( Islami mahine ki pahli tareekh jo ke maghrib ke baad shuru ho jati hai) mein ye amal shuru krna hai;
- Sab se pahle ghusal kijiye;
- Kisi bhi munasib waqt ye amal shuru kijiye;
- 100 bar ye Durood Shareef parhiye;
اََللَّهُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍوَّعَلٰی اٰلِ مُحَمَّدٍبِعَدَدِالمُزَمِّلِ وَالخَصَائِصِ
- Phir 100 bar Surah Muzammil parhiye;
- Phir apni hajat puri hone ke liye khoob dil se du’a kijiye;
- Iske baad rozana Surah Muzammil 41 bar parhte rahiye jab tak ke aap ki hajat puri nahi ho jati;
Insha ALLAH, jald hi aap ki hajat puri ho jayegi.
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
ہر قسم کی دینوی حاجت کے لئے ایک خاص عمل
عروجِ ماہ میں پہلے روز غسل کر کے سو بار یہ درود شریف پڑھیں
اََللَّهُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍوَّعَلٰی اٰلِ مُحَمَّدٍبِعَدَدِالمُزَمِّلِ وَالخَصَائِصِ
پھر سو بار سورۂ مزمّل پڑھیں۔ اسکے بعد روزانہ اکتالیس بار پڑھتے رہیں۔ کشائشِ رزق کے ساتھ ساتھ بہت سی دنیاوی حاجات بھی آسان ہو جاینگی۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Wazifa Surah Muzammil Kashaish-o-Fatuhaat ke liye
Har namaz ke bad 2 martaba aur isha ki namaz ke bad 3 martaba Surah Muzammil parhna kashaish-e-rizq aur fatuhaat ka sabab banta hai. Taa hum is amal ko apni zindagi ka mamul bana lijiye, kabhi rizq mein dushwari ka samna nahi karna parega. Rizq ke elawa kisi bhi jayez maqsad ke liye ye amal kar sakte hain. Insha ALLAH, fatah naseeb hogi.
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
وظیفہ سورۂ مزمل کشائش و فتوحات کے لئے
ہر نماز کے بعد دو بار اور عشاء کی نماز کے بعد تین بار سورۂ مزمّل پڑھنا کشائشِ رزق و فتوحات کا سبب بنتا ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Kushadgi-e-Rizq ke kiye Mu’assir Amal
Isha ki namaz ke bad rozana bila nagha Surah Muzammil ki 11 martaba tilawat Kushadgi-e-rizq ka mu’ajjib banti hai. Rizq ki kushadgi ke liye bohat hi aasan aur mu’assir amal hai. Agar aap rizq barhana chahte hain tou ye amal kijiye. Is se aap ka rizq kushadah hoga. Taa hum is mu’assir amal ki fazeelat se faydah uthane se mehrum na rahiye.
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
کشادگئِ رزق کے لئے مؤثر عمل
بعد نمازِ عشاء سورۂ مزمّل کی بلا ناغہ گیارہ مرتبہ تلاوت کشادگئِ رزق کا مؤجب بنتی ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Jayez Hajaat ki Takmeel ke liye Be Misal Amal
Ye amal har khas-o-aam hajat ke liye bohat maqbool aur mufid sabit hota hai. Agar aap ki koi bhi dili tamanna ho jise aap pura hote dekhna chahte hon ya koi bhi esa masla darpaish ho jiska hal aap talash kar rahe hon, tou ye wazifa kijiye. Insha ALLAH aap ki dili murad ese puri hogi ke aap khud hairan reh jayenge.
Mandarja zail suraton mein aap ye amal kar sakte hain:
- Agar ap kisi rozagar ki talash mein hain aur aap ko koi rozgar nahi mil raha.
- Agar aap ke rizq mein barkat ki kami ho rahi hai.
- Agar aap ki aamdani bohat qaleel hai.
- Agar aap imtehan mein kamyabi hasil karna chahte hain.
- Agar aap ki shadi mein koi masla darpaish hai.
- Agar aap kisi pareshani ka samna kar rahe hain.
- Agar aap apni kisi khawahish ho pura hote dekhna chahte hain.
Algharz, koi bhi pareshani ya koi bhi khawahish aap puri karna chahte hain to aap ye Surah Muzammil ka be misal amal kar sakte hain.
Shart: Aap ka maqsad ya khawahish jayez honi chahiye. Is mein kisi insan ka kisi bhi qisam ka nuqsan nahi hona chahiye. Kisi ko nuqsan pohanchane ki gharz se kiya jane wala amal apko nuqsan pohancha sakta hai.
Amal karne ka tareeqa
- Arooj-e-maah ( Islami Mahine ka pahla din/ Chand ki pahli raat) mein ye amal shuru karna hai;
- Sab se pahle khoob ehtamam se wuzu kijiye;
- Maghrib aur isha ke darmeyan 2 nafal kuch is tarah se parhne hain:
- Pahli rakat mein Surah Fatiha ke bad Surah Muzammil 21 martaba parhein;
- Dusri rakat mein Surah Fatiha ke bad Surah Muzammil 20 martaba parhiye;
- Phir intehayi aajzi aur inkasari ke sath rote huye ALLAH Ta’ala se apni jayez hajat ke liye du’a kijiye;
- Ek bhi din nagha na kijiye aur 41 yaum tak ye amal jari rakhiye;
Insha ALLAH, chilla pura hote tak aap ko is qadar fatuhaat hasil hongi jiska beyan nahi ho sakta. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal qatayi na karein. Amal karne ke dauran jo din choot jayein unhe aage jord lein.
جائز حاجات کی تکمیل کے لئے بے مثال عمل
مغرب و عشاء کے درمیان عروجِ ماہ سے دو نفل پڑھنا شروع کریں۔ پہلی رکعت میں سورۂ فاتحہ کے بعد سورۂ مزمّل اکیس مرتبہ اور دوسری رکعت میں سورۂ فاتحہ کے سورۂ مزمّل بیس مرتبہ پڑھیں اور اکتالیس یوم تک یہ ورد جاری رکھیں۔ چلّہ پورا ہو جانے پر اس قدر فتوحات حاصل ہونگی جسکا بیان نہیں ہو سکتا ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Ghani hone ka Behtareen Amal
Ye amal ghani hone aur rizq mein be-panah izafe ke liye bohat maqbool amal hai. Bohat aasan aur behtareen amal hai. Agar aap ghani hona chahte hain tou ye amal shuru kijiye. Insha ALLAH, zarur kamyab honge.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi behtar waqt aap ye amal shuru kar sakte hain;
- Behtar hai ke din ka ek waqt jo aap ke liye sab se munasib ho, muqarrar kar lein aur rozana usi waqt ye amal kiya karein;1
- Sab se pahle taza wuzu banaiye;
- 1100 martaba ‘ya Mughni’parhiye;
- Ho sake tou 40 martaba Surah Muzammil parhiye, agar itni martaba parhne mein dushwari ho tou 11 martaba lazmi parhiye;
- Phir apne rizq mein izafe ke liye khoob aajzi ke sath du’a kijiye;
- Ye amal bila nagha karte rahiye jab tak ke aap ke rizq mein izafa na ho jaye;
Insha ALLAH, is behtareen amal ki fazeelat se rizq mein izafa yaqeeni hai aur aap ghani ho jayenge. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
غنا ئے ولی و کشائشِ ظاہری کے لئے مجرّ ب عمل
جو شخص ہر روز گیارہ سو مرتبہ یٙا مُغنِی اور سورۂ مزمّل چالیس مرتبہ (اگر اس قدر نہ پڑھی جائے تو گیارہ مرتبہ لازماً) پڑھتا رہے . غنا ئے ولی و کشائشِ ظاہری کے لئے بہت مجرّب عمل ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Pareshani ke Khatme ka Yaqeeni Amal
Agar aap ko koi pareshani darpaish hai aur us ka koi hal nazar nahi aa raha tou esi surat mein aap ye amal kar sakte hain. Har tarah ki pareshani ke Khatme ke liye ek yaqeeni amal hai.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din ye amal shuru kar sakte hain;
- Sab se pahle taza wuzu banaye;
- Fajar ki namaz ki 2 sunnatein ada kijiye;
- Phir ek martaba Surah Muzammil ki tilawat kijiye ( Agar apko Surah Muzammil zubani nahi aati tou aap apni namaz parhne ki jagah ke qareeb Qur’an Majeed rakh lijiye aur dekh ke parh lijiye);
- Phir 2 farz ada kar ke namaz mukammal kijiye;
- Phir mazeed 2 martaba Surah Muzammil parhiye;
- Aur ALLAH Azzawajal se apni pareshani se nijat ke liye du’a kijiye;
- Phir sare din mein baqi ki 4 namazon mein se har namaz ki adaygi ke baad Surah Muzammil 2 martaba parhte jaiye, is tarah pure din mein kul 11 martaba aap Surah Muzammil parheinge;
- Aur har martaba Surah Muzammil parhne ke bad ALLAH Ta’ala se apni pareshani se nijat ke liye khushu khuzu se du’a kijiye;
- Ye amal rozana bila nagha kijiye yahan tak ke aap ko aap ki pareshani se nijat mil jaye;
Insha ALLAH, kuch hi dino mein aap ki pareshani ka yaqeeni taur par khatma ho jayega. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal na karein.
دفعیہِ پریشانی کا یقینی عمل
بعد نماز سنّت فجر سورۂ مزمّل ایک بار پڑھیں اور نمازِ پنجگانہ میں ہر نماز کے بعد دو دو بار پڑھیں۔اس طرح کل دن میں سورۂ مزمّل کی تعداد گیارہ ہوجائےگی۔ روزانہ بلا ناغہ یہ عمل کیا جائے تو پریشانی کا خاتمہ یقینی ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل نہ کریں۔
Museebat ko Talne ka Eham Wazifa
Museebat ke waqt mein parhne ke liye ye amal bohat ehmiyat rakhta hai. Agar aap kisi badi museebat ka samna kar rahe hain aur us museebat ke talne ka koi sabab dikhayi nahi de raha hai, tou ese mein ye eham wazifa aap ki museebat ko talne mein bohat madadgar sabit hoga.
Amal karne ka tareeqa
- Kisi bhi din aur kisi bhi behtar waqt ap ye amal shuru kar sakte hain (siwaye us waqt ke jis mein ibadat karna mana hai);
- Sab se pahle khoob ache tareeqe se wuzu banaiye;
- Awwal 25 martaba Durood Shareef ( jo ap parhna chahein) parhiye;
- Darmeyan mein 100 martaba لَا حَولَ وَ لَا قُوَّ ةَ اِلَّا بِاللّٰهِِ
Parhiye;
- Aakhir mein 25 martaba Durood Shareef jo ap ne shuru mein parha tha dubara parhiye;
- Ab apni museebat ko ALLAH ki bargah mein beyan karein aur iske hal ke liye girgira kar du’a mangein;
- Ye amal rozana bila nagha karna hai jab tak aap ki museebat tal nahi jati;
Insha ALLAH, jald hi apki museebat tal jayegi aur aap ki zindagi mein sakoon ho jayega. Ameen!
Ghaur talab: khawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal kar sakti hain.
مصیبت کو ٹالنے کا اہم وظیفہ
اوّل و آخر درود شریف پچیس پچیس مرتبہ اور درمیان میں لَا حَولَ وَ لَا قُوَّ ةَ اِلَّا بِاللّٰهِ سو مرتبہ پڑھنے سے بڑی سے بڑی مصیبت ٹل جاتی ہے ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل كر سكتى هیں۔
Sakht Mushkil ke Hal ke liye Aazmuda Amal
Ek shakhs ne maulvi Fakhar-ud-Deen Rehmatullah Alayh se apni pareshani ka zikar kiya tou aap ne farmaya ke 100 martaba ye Durood Shareef parho,
بِسمِ اللّٰهِ الرَّحمٰنِ الرَّحِیمِ ۔ اََللَّهُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰی اٰلِ مُحَمَّد
Phir 500 martaba ye zikar karo,
لَا حَولَ وَ لَا قُوَّ ةَ اِلَّا بِاللّٰهِِ
Aur aakhir mein dubara 100 martaba Durood Shareef parho.
Us shakhs ne is tarkeeb par amal kiya aur ALLAH Azzawajal ke fazal se uski mushkil hal ho gayi.
Ye amal sakht se sakht mushkil ke liye bohat mufid sabit hota hai. Bohat aasan aur aazmuda amal hai.
Ghaur talab: Kkhawateen haiz/maahwari ke dauran ye amal kar sakti hain.
سخت مشکل کے حل کے لئے آزمودہ عمل
ایک شخص نے مولوی فخرالدین رحمتہ اللّه علیہ سے اپنی پریشانی کا ذکر کیا تو آپ نے فرمایا کہ سو مرتبہ بِسمِ اللّٰهِ الرَّحمٰنِ الرَّحِیمِ ۔ اََللَّهُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰی اٰلِ مُحَمَّد پڑھ کر پانچ سو مرتبہ لَا حَولَ وَ لَا قُوَّ ةَ اِلَّا بِاللّٰهِ پڑھو اور آخر میں دوبارہ سو مرتبہ درود شریف پڑھو ۔ اس شخص نے اس ترکیب پر عمل کیا اور اللّٰه کے فضل سے اسکی مشکل حل ہو گئی ۔
غور طلب : خواتین حیض/ ماہواری کے دنوں میں یہ عمل كر سكتى هیں۔
Aslkm immu bhai apne kaha s muzammil 1st rakah me 21 nd me 20 yehi corrct hai ya 20 aur 5 sahi hai?aur agr hajat puri hojaye tab bhi 41days karna h?
Pahli rakat mein 21 aur dusri rakat mein 20 martabah Surat Muzammil parhni hai. Hajat puri hone ki surat mein bhi ap 41 din tak amal pura karein.
yaALLAH Follower banne ke liye ap yaALLAH Website ko is link ke zariye follow karein- https://www.yaALLAH.in/follow-us aur yaALLAH.in Fb page ko zarur like and rate karein- https://m.me/yaALLAHyaRasul
Follower bante hi apko tmam yaALLAH Dua Wazaif ki ijazat mil jayegi.
Assalamualekum bhai Al-Mughni 1100 martaba or 7 martaba surah muzammil padhni hai ye kis time or kaise padhni hai.. Plz Reply..
Ap rozana Fajar time perh liya karein. yaALLAH Community ko join karen jahan Hazaron ki tadad mein Musalman ek dusre ki madad kar rahe hain.
Join Now!!- https://www.facebook.com/groups/yaALLAHU
#yaALLAHcomments
AOA bhaiya, Surah muzammil ko sirf ek baar hi Nuachandi jumerat ko padhna hai ya jabtak hajat puri na ho tab tak? read only once kahin nahi likha hai aapke post main.. aur 2 -2 rakat karne namaaz padhna hai ya 2 rakat namaaz ki niyat baandhna hai aur surah fatiha ke baad 20 time Surah muzammil, pir ruku sajda pir suah fathiha -5 time surah muzammil..kiya ye tarika sahi hai? JALDI bata dey aap please..
Bahiya Obligarty pray – nafil hoti hai kiya?
Kitne din padhna hai – not mentioned
Nauchandi jumerath kab hai April main ?
Merey husband diabetic aur hypertensive hen. Pichle 4 saal se kidneys ki beemaari kashikar hen. 2 din pehley test karway to beebaari ki aakhri stage he. Koi aesa kalam bataen k wo ddialysis aur transplant se bach jaaen aur Allah pak unhen seht o zindagi bakhsh de. Boht mashkoor hon ge.
Aoa
Bhai
Mera masla yah hai kay mairay kaam nahi bantay kafi time sai paraishaan hon 8 saal sai mustaqil paraishani ki shikaar hon is 8 saal kay duraan mairay walid ki death hogae walid ki death k baad aik admi pechay lag gaya zabardasti shadi kay liyah mujah na tuo pasand tha na main os nafsiyati insaan sai shadi karna chati thi buhat zada paraishaan ho kay oar izzat janay kay dar sai apni umar sai 20 saal baray admi sai shadi ki per kismat main sakoon nahi tha so shohar ki buhat zada sakti maar pit ki waja sai devorce leni pari oar devorce kay baad mainay job ki oar mustaqil kamanay main lagi rahi 3 saal kay baad aik jaga baat teh hoi waha bhi dhoka mila mujah majboran os jaga sai baat khatam karni pari kyu kay waha zina oar drink aam thi so mainay is rishtay ko khatam kia main bhai kabi bhi kisi ki madad sai pichay nahi hati jab jis nay jasi madad mangi ki paiso sai apni zaat sai humaisha achay akhlaq sai mili maa behan bhai sab kay liyah humaisha dill bara kia per bhai sab nay just paiso kay matlab sai pocha kyu kay kamati thi jab tak paisay hotay hain main achi hoti hon jo hukum daitay hai pora karti hon ab jab paisay nahi hain tuo koi nahi pochta ab ja kay mairay liyah aik jaga sai rishta aya hai per ghar walay serious nahi jis shaks nay shadi ki baad ki woh mujah last 5 saal sai jantay hai muj per kia guzri sab pata hai unhai mainay istakhara kia tuo khuab maim oos sabza oar barish dakhi per bhai main paraishaan hon isliyah ab kahin koi nahi paraishani na ajahai ghar walay serious nahi lay rahai oar ab na hi maira koi zarya amdani hai ghar walo ki taraf sai paraishaan mali paraishani oar is rishtay ko khonay ka dar mujah mazeed tension dai raha hai pls koi dua ya wazifa batahain k ab ALLAH mairi azmaish khatam kardain abbi mairi umar 29 saal hai last 8,9 saloo sai paishani dakh rahi hon pls madad karain
Awwal ap ‘ya ALLAH Nikah isitkhara’ kijiye is link se: http://goo.gl/258rNY ye positive ayega insha ALLAH to me apko wazifa bhi dunga. #yaALLAHcomments #Quran #Dua #MuslimMarriage #Matrimony
Aslamoalikum brother hope you fine bro can you tell me a wazifa for luck mera koi kaam nhi hota jis kaam ki taraf hath bharti hu sub ulta hojata hy aginst hojata hy mere rishtey ki bat ho ya koi bhi kaam chotay se ly kr baray kaam tak even jis k sath bhi dosti kru wo bhi dushman ban jata
i pray and make dua now i know little because u send me dua it is very nice of u and i pray for u and u will get allthe good thing Inasha ALLAH